Reading Mode

Update 15

Koi 2 saptah bite honge , main college nahi gaya tha , subah se sham tak bas akhade me mehnat karta rahta aur rat ko chachiyo ke sath maje karta , mere ghar me akhada jane ki parampara sadiyo se chali aa rahi thi isliye ghar walo ko pata tha ki ek pahalwan ki diet kya honi chahiye , meri puri diet hi change kar di gayi thi aur maa ne sahi kaha tha akhade me vargis(exercise) karne se mere ander kuchh alag hi Parivartan ho rahe the , main apni hawas me kabu pa raha tha lekin wahi stamina aur bhi jyada badhne laga tha, main apne ander khoon ke parwah ko bhi mahsoos kar sakta tha (jo log regular exercise karte hai wo isse ittefaak rakhte honge, nasho me khoon ka bahana bhi pata chalta hai heavy weight exercise ke bad  )

Jene ka apna alag hi maja aa raha tha , aur mere muscles bhi teji se bad rahe the , aise pita ji ke karn main bachpan se hi exercise karta aa raha tha lekin ab main rules ko bhi follow karne laga tha jaisa ki ynha ke pahalwan karte the , aur mere pariwar ke mayano me wo pahlawan yodhdha kahlate the ..

Subah subah ka waqt tha main Parimal ke sath kusti lad raha tha, aise to main 2 saptah me hi achche achche pahalwano ko past kar de raha tha lekin Parimal bhi kam nahi tha usne to bachpan se hi iski training li thi isliye wo mere samne tik pata tha ..

Ek dusare ko utha kar patakane me hame bahut maja aata , sharir mitti se sana hua tha aur pasine se bheega hua , ye akhada mandir ke pas hi tha aur wahi thodi dur me Gajraaj chacha ka ghar tha , hame ek gadi unke ghar ki or jate hue dikhai di ..

Sabhi ki najare us gadi par thi ..

“ye to Ridhima ki gadi hai “ kisi ne kaha aur ham sabhi ki nigahe us or chali gayi , gadi teji se wanha se nikal gayi , usme Ridhima ke alawa ek adhed umra ki aourat bhi baithi hui thi jo hame hi ghure ja rahi thi ..

Hamne is or jyda dhyan nahi diya aur fir se apne kaam me lag gaye , wahi thodi der bad hi maine dekha ki wo adhed umra ki aourat hamase kuchh dur par hi khadi hai aur hame hi dekhe ja rahi hai , thodi hi der bad Ridhima bhi wanha aayi aur aate hi mujhe aur Parimal ko dekhkar usne hath hilaya , maine bhi jawab me hath hilaya ,ise dekhkar us aourat ne Ridhima se kuch puchha aur fir uske chahre ke bhaw achanak se badalne lage , main aur Parimal uski or hi ja rahe the lekin ab wo aourat dari hui lagne lagi , meri nigahe uske jism me chali gayi thi aur mere ander ka hawas bhi jagane laga tha , lekin wo aourat aise bhagi jaise koi bhoot dekh liya ho ..

“he bhagwan mujhe bacha le , ye mujhse kya ho gaya ..”

Wo bar bar yahi chilla rahi thi , uski bat ko sunkar na sirf ham log balki Ridhima bhi use ajib nigaho se dekh rahi thi …….

Wo doudate hue sidhe car me ja ghusi ..

“ye koun hai aur ise kya ho gaya “

Parimal bol utha tha

“ye hamare ghar ki noukrani hai lekin meri maa jaisi hai , jamuna kaki “

Ridhima ne halke awaj me kaha , uski nigahe mere sharir koi ghur rahi thi , main mitti me sana hua tha aur pasine se nahaya hua tha , mere sharir pasine se chamakne laga tha , Ridhima ki ankho se hi pata chal raha tha ki mera sharir uske ander kuchh badal raha hai ..

“mujhe bhi chalna chahiye “ wo bhi teji se palati aur car ki or bhagi , pichhe se Gajraaj kaka chillate rahe lekin fir car teji se wanha se nikal gayi thi …….

“in dono ko kya ho gaya , aisa laga ki koi bhoot dekh liya ho “Parimal chintit dikh raha tha

“ham dono bhoot se kam bhi kaha dikh rahe hai “ meri bat sunkar Parimal joro se hans pada tha …

Idhar

Ridhima roj hi college jati lekin use na to Parimal dikhai deta na hi Ajay , na hi rakhi rekha na devaanad aur na hi Shirin use dikhai di ,use Ajay ke health ki chinta hone lagi thi ..

Ajay ke hospital me bharti karaye 2 saptah ho chuke the , usne hospital me pata kiya tha to use pata laga ki Ajay ko usi din raat tak chhutti mil gayi thi …

Ridhima  ne Gajraaj ke ghar jakar rakhi rekha se milne ki sochi , shayd usse use Ajay ke bare me pata chal sake ..

Wo jamuna kaki ko lekar Gajraaj ke ghar ki or nikal padi , rashte me unhe wo akhada dikhai diya jisme pahalwan vargis kar rahe the , aur ek dusare ke sath kushti khel rahe the ..

“wah kaise mast mast jawan aur takatwar log hai , inme se ek koi mil jaaye to Chudailo ki di gayi takat ka istmaal kar lu , maja hi aa jayega “

Jamuna ne akhade ki or dekhte hue kaha ..

“kya kaki aap bhi jab dekho bas yahi sab bate “

Ridhima ka dimag aise bhi kharab tha aur ab jamuna ki bate sunkar wo aur bhi chidh gayi thi

“are beti tujhe bhi samjh aayega , ek bar jab tera koumarya bhang hoga to tujhe bhi samjh aayega ki prem ka milan kya hota hai , aur uska sukh kya hai .. fir tu bhi uske pichhe bhagegi :D “

Jamuna ki bat sunkar Ridhima buri tarah se chidh gayi ..

“chhiii aap hi karo ye sab , aur ager aapne fir se aisi bat ki na to dekhna main apse bat hi nahi karungi “

Jamuna Ridhima ke gusse ko samjh gayi thi isliye wo chup rah gayi ..

Jamuna ko kabhi ek Chudail ne ek sakti di thi ki wo kisi bhi ek mard ko apni or akarshit kar sakti hai aur isse wo mard uske liye diwana ho jayega uski har bat manega , jamuna ne iska prayog karke Sulabh fansa liya tha , iske badale use ek ladki ko Chudail banana tha jo jamuna ne Ridhima ke jariye pura kar diya , isse Chudail fir se khus hokar use fir se wo sakti de di thi ki wo fir se kisi ek ladke ko apni or akarshit kar sakti thi ..

Jamuna ne jab un mardo ko ladate hue dekha to uske sine me dabi wo ikchha fir se aangdai lene lagi,

Ridhima Gajraaj ke gahr ke ander thi wo jamuna akhade tak aa gayi aur apne sapno ke Rajkumar ki talash karne lagi , usne ab koi jawan mard ko fasane ki soch li , aur samne do jawan mard ek dusare se lad rahe the mitti aur pasine me beege hue unke badan ko dekhkar jamuna ke yoni me pani aane laga tha , wo unke sharir ki lachak aur bajuo ki takat ko dekhkar hi machal rahi thi ..

Lekin wo dono me faisala nahi kar pa rahi thi ki wo kise chune dono hi mast lag rahe the ..

Tabhi use dono me se ek ka wo daw pasand aa gaya jisme usne samne wale ko pura utha kar jamin me patka tha ..

“aah kya takt hai iski aur sharir , waah iske sharir me aaya hua pasina dekh kar hi mera man dol raha hai , yahi wo jawan mard hai jise mujhe fansana hai “

Jamuna ne tay kar liya tha aur usne mantra ka prayog karke jadu chala diya , ek bar us ladke ne jamuna ki or dekha ,

Jamuna khush ho gayi thi ki use uska sathi mil gaya jo uski har pyas ko bhujhayega , lekin tabhi use pata nahi kyo dil me ek ghabrahat si hone lagi , wo samjh nahi paa rahi thi ki use aisa kyo ho raha hai , aisa laga jaise wo khud us mard ki taraf trivra akarshan se bhar rahi hai ,

Tabhi un dono mardo ne apna hath  uthaya , jamuna jab pichhe dekhi to Ridhima unhe hi hath dikha rahi thi , Ridhima bhi us tak pahuchi ..

“tum in dono ko janti ho “

“ha ye Gajraaj kaka ka beta Parimal hai … aur wo …”

Ridhima ki najare Ajay ke jism par pad chuki thi , uska daba hua akarshan fir se jaag gaya tha use apne hi aap sharm si aane lagi thi ..

Uske jism ka har kataw dekh kar Ridhima Ajay ke banho me jane ke liye machalne lagi thi

“are wo dusara koun hai jaldi bata …”

Jamuna ki sanse jaise ruk si gayi thi

“are wahi to hai Ajay tum use nahi janti kya ???”

“kya ..?? “ jamuna awak rah gayi thi usne Ajay ko fir se ek bar dhyan se dekha , usne pichhli bar jab Ajay ko dekha tha tab wo chhota tha ab to wo pura mard ban gaya tha wo bhi tagda mard jise dekhkar uski vasana tak jaag gayi thi …

Wahi Ajay bhi use vasana se bhari nigaho se dekh raha tha , jamuna ko samjh aa chuka tha ki uske hawas ki aag ne use fansa diya hai , wo aane wale waqt ki sochkar buri tarah se ghabra gayi thi

“he bhagwan mujhe bacha le , ye mujhse kya ho gaya ..”

Wo rote hue bhagi ..

“are ise kya ho gaya ..” Parimal aur Ajay kuchh samjhne ki koshis karne lage , wahi Ridhima bhi jamuna ke is vywhar se vichlit ho uthi thi ……….

Parimal aur Ajay Ridhima ke najdeek aa chuke the , Ridhima Ajay ke nange jism ko dekhkar bas kho si gayi thi , use pasine aur mitti se bhare Ajay ke badan ki Khushboo pagal kar rahi thi , wo ynha uski salamati janne hi aayi thi lekin fir bhi wo Ajay se koi bat nahi kar pa rahi thi ..

Ager thodi der wo aur wanha ruk jati to shayad khus ko control hi nahi kar pati aur Ajay se chipak jati ..

Usne jaldi se wanha se nikalna hi thik samjha aur jakar car me ghus gayi aur teji se car chala diya …

“kaki kya buri chij me fansa diya tumne , jab jab Ajay ke samne hoti hu to pata nahi kya ho jata hai “

Ridhima gadi chalate hue apni sanso ko samhal rahi thi , lekin jamuna chup hi baithi thi

“kya ho gaya kaki tum aise murdo jaise kyo baithi ho aur wanha se aise chillate hue kyo bhagi jaise tumhara sab kuchh lut gaya ho “

Jawab me jamuna rone lagi thi , use rote hue dekh kar Ridhima buri tarah se dar gayi

“kya hua kaki batao to sahi “

Lekin jamuna ka rona band nahi hua ..

“meri vasana ne mujhe barbad kar diya beti , main ab us Shikari ki gulam ban jaungi wo mujhe jaise chahe waise upyog me layega , mujhse apni vasana shant karega “

Jamuna ke chahre me pura dar fail gaya tha, wahi Ridhima ne joro se break laga diya

“matlab … matlab tumne us sakti ka upyog Ajay ke uper kiya “

Jamuna ne haa me sar hilaya aur Ridhima joro se hans padi ,hans hans kar uske pet me dard uthane laga tha ,

Jamuna use pagalo ki tarah hasate hue dekh rahi thi lekin uske chahre me koi bhi Parivartan nahi tha ..

Jamuna ke chahre par faile dard ko dekhkar Ridhima ne khud ko roka

“to fikar kyo kar rahi ho , tum to yahi chahti thi na ki koi tumhare sath aisa kare waisa kare , ye to achcha hi hua na , ab to Ajay tumhe puri tarah se santust kar dega ..”

Ridhima ne use chheda , lekin jamuna ke chahre par ab bhi khushi nahi thi

“maine apni takat ka galat upyog kiya hai beta isliye mujhe ye saja mili hai , jivan bhar ek Shikari ki gulam banne ki saja , agar main kisi dusare ki uper ye istmaal karti to wo mera gulam ban jata lekin wo ek Shikari hai aur Chudailo ka jadu Shikari par kaam nahi karta wo ulta hi pad jata hai aur main koi Chudail bhi nahi hu ki is jadu se pichha chhudwa pau ..

Maine apne jism ki vasana ko mitane ke liye kya kya nahi kiya, shulabh ke jane ke bad se main tadaf rahi thi , isliye maine ye faisala kiya aur tumhe ….”

Itana bol kar wo achank se chup ho gayi

Ridhima ab bhi use ghur rahi thi ..

“aur mujhe kya kaki , tumne apni hawas mitaane ke liye mera istmaal kiya ??? tumne is sakti ko pane ke liye mujhe Chudail banwa diya ???”

Ridhima ki awaj gusse aur dard se bhar gayi thi , jamuna ko apni galti ka ahsaas ho gaya tha usne Ridhima ke samne apne hath jod liye

“mujhe maaf kar do beti , ek to main pahle se hi ek karj me bandhi hui thi aur fir Sulabh ka jana , main kamjor ho gayi thi beti , main andhi ho gayi thi … “ jamuna ka rona badh gaya tha

“tumne apna karj chukane aur apni hawas puri karne ke liye mujhe bali par chada diya … kaki maine tumhe apni maa mana tha aur tumne mere hi jivan ke sath khela “

“nahi beti , tujhe bhi to iski jarurat thi na “

“tumne Ajay ko dekha , tumhe lagta hai ki wo kabhi badla lega .. tumne mere dimag me ye dala tha ki wo badala lega , tumne mujhe daraya tha tumne mere dimag se khela , mere jasbato se khela aur mujhe ye sochane par majboor kar diya “

“mujhe iski saja mil gayi beti ,main ab jivan bhar ek shikari ki gulam ban kar rahungi “

Jamuna ki bat sunkar Ridhima joro se hans padi lekin uski us hansi me bhi dard tha ..

“shikari ki gulam , ya Vaishya .. aur tumhe to isme bhi maja hi aayega ,tum yahi to chahti thi na ki koi tumhare jism ki pyas bujhaye , tumhari to aish ho gayi kaki , jao jao apne malik ke pas ban jao uski randi , rakhail ya jo bhi tum banna chaho .. jao yanha se “

Ridhima chilla uthi thi usne car ka darwaja khol diya tha

Jamuna bas subakte hue use dekh rahi thi ..

“kaki isse pahle ki main gusse me aakar kuchh galat kar jau , chale jao ynha se … tumko maine apni maa ki tarah mana hai isliye main tumhe koi nuksan nahi pahuchana chahti , bhala isi me hai ki abhi meri najaro se dur ho jao “

Ridhima ki ankhe jal rahi thi , gussa uski ankho se hi dikhai de raha tha ……

Jamuna rote hue niche utar gayi thi aur Ridhima ne gadi teji se wanha se nikaal di ……

Please complete the required fields.