Update 150
“2 YEARS LATER”
Aaj Veer ke liye sabse badah khushi ka din hai.Aaj uska pyaari bahen Priya bapas a rahi thi doctor bankar.Veer subah se tyaar betha tha shahar2 jaane ke liye.Priya ka flight sham ko ane wala hai lekin Veer bechain ho gaya.Kyu na ho itnee saalon ke baad Priya jo a rahi thi.Veer hall mein beth kar paper padh raha tha aur baar baar ghadi dekh raha tha.Tabhi waha par Pari a gayi Aarav ko lekar.
Pari- Aise baar baar ghadi dekhne se sham nahi ho jayega.
Veer ne Aarav ko aapni ghod mein lekar kahan.
Veer- Kya karoon itne saal baad Priya a rahi hai.
Pari- Tum shanti se betho aur Aarav ke sath khelo dekhna samay nikal jayega.
Veer ne bas halka sa muskuraya.Pari aapne kamo mein lagh gayi.Aaj Priya ke pasand ki khana banah rahi thi.Komal aaj rehna chahti thi lekin uski aaj important meeting thi.Veer Aarav ke sath khelne lagah.Bachche school gaya tha.Aarav aab beth sakta hai aur hathon ke sahare chal sakta hai.
Aarav aur Veer hall mein zameen par beth kar khelne lagah.Charo taraf Aarav ka khelne ki chize se bhara huya tha.Khelte khelte samay ka patah bhi na lagah.Dopeher ho chuka tha.Aditya Ananya aur Payal bhi school se a gayee the.Woh akar Aarav ke sath khelne lagah.Pari ne unko kapde badalne ko kehkar upar bhej diya.Kuch der mein hi Komal bhi a gayi.
Sabh khana khane mein lagh gye.Veer kisi tarah khana khaya.Khana khakar sabh tyaar ho gaya shahar2 jaane ke liye.Veer apna badah wala car nikala.Veer drive karne lagah.Veer ke pas Komal bethi huyi thi.Pari Aarav ko lekar piche beth gayi.Aditya Ananya Payal ek sath beth gaye.Veer car ko hawa mein udhane lagah.
Komal- Veer kya kar rahe ho ahista chalao.Abhi bhi samay hai Priya ki flight ane mein.Hum dhire bhi jayenge toh pohonch jayenge flight ke pehle.
Veer aab thoda sa speed kaam kiya.Phir a gaya shahar2.Woh logh sidha airport ki taraf jaane lageh.Woh logh traffic mein fasa huya tha ki unn logon ne Sahil ko dekha aapni car ke pas khada.Woh kaafi pareshan lagh raha tha.Sahil aab aapni papa ka buisness sambhal ta hai.Veer ne Sahil ko call kiya.
Sahil- Hello bhaiya.
Veer- Sahil tujhe pareshan kyu lagh raha hai.Kya huya.
Sahil toh hakka bakka reh gaya ki Veer ko kaise malum padah ki woh pareshan hai.
Sahil- Aapko kaise malum.Aap astrology bhi jante ho.
Veer- Tera chehra dekh kar koi bhi batah sakta hai.
Sahil- Aap waha se mera chehra dekh sakte hai.
Veer- Aabe gadhe samne dekh.
Sahil samne dekhne lagah toh Komal hath hilane lagah.Sahil ne unn logon ko dekh liya.Sahil unke pas chala aya.
Sahil- Bhaiya aap logh yaha.Kahin jaa rahe hai kya.
Aditya- Chachu hum bua ko receive karne ja rahe hai.
Sahil ko yaad nahi hai ki Veer ka koi bahen bhi hai.
Sahil- Bua kahan se a gaya.
Veer ne uska sar mein ek tapli mara.
Veer- Aabe Priya ke baat kar raha hai.
Aab Sahil ka dimagh ka batti jalah.
Sahil- Woh Priya a rahi hai.Woh doctor bann gayi kya.
Komal- Haan baan gayi hai.
Veer- Tu pareshan kyu khada tha.
Sahil- Kya bataun bhaiya.Ghar ja raha tha lekin car kharab ho gaya.Aab iss dhup mein pareshan nahi hoon toh kya karoon.
Komal- Hamare sath chalo.Hum Airport ja rahe hai.Baad mein tumhe ghar drop kar denge.
Sahil- Thik hai bhabi.
Komal samne se utarkar Pari ke pas chali gayi.Sahil Veer ke sath jakar beth gaya.Veer car chalane lagah.
Pari- Baise devarji aap shaadi kabh kar rahe hai.
Iss baat par Sahil sharma gaya.
Komal- Hay hay yeh toh sharma gaya.
Sahil- Bhabi abhi tak koi nahi mila.
Pari- Are aise kaise nahi mila.
Sahil aab bhabi ke sath majak karne ke mood mein a chuka tha.
Sahil- Kaise milega bhaiya ne duniya ki dono ladki le liya.
Mere liye kuch nahi baaki rakha.Aap logh jaisi milegi toh kar lunga.
Komal aur Pari sharma gayi.
Veer- Oye meri biwiyon par nazar kyu deta hai.Yeh duniya mein sirf ek hi piece hai.
Sahil kuch nahi kahan.Aise idhar udhar ki baate karte karte airport a gaya.Sabh car se utarkar airport ke pas chala gaya aur dekhne lagah ki flight ayi ki nahi.Flight land ho chuka tha.Sabh gate ki taraf dekhne lagah.Sahil bhi idhar udhar dekhne lagah.Woh charo taraf dekh raha tha koi pasand ata hai ki nahi.
Tabhi usne ek apsara ko dekha.Zindaghi mein pehli baar uske dil mein ghanti bajah.Woh bas uss ladki ko dekhta reh gaya.Woh bas dekhne lagah.Tabhi uss ladki ne smile diya jisse dekh kar Sahil ka kaleza mein hulchul mach gaya.Woh ladki bhag kar uske taraf a rahi thi.Usko lagah woh ladki akar uske seene se lagh jayegi.Woh aapne aap aapni bahen fela di.Lekin yeh kya uss ladki usko cross karke piche chala gaya.Usne piche mudhkar dekha toh hairan reh gaya.Woh ladki Veer ke gale lagh gayi.Acha toh yeh Priya hai.Sahil ke chehre par muskurahat a gaya.
Veer Priya ko kaske gale lagah liya.Kuch der baad woh alagh huyi.
Veer- Kaisi hai meri gudiya.
Priya- Main toh bahot achi hoon bhaiya.Aap kaise hai.
Veer- Bas tujhe dekh kar aur acha ho gaya.
Komal- Agar bhaiya se mil liye toh bhabi bhi hai.
Priya jakar Komal aur Pari ki gale lagh gayi.
Payal- Bua hum bhi hai.
Priya muskurakar Aditya Ananya aur Payal ko gale lagah liya.Phir aya Aarav ki bhari.Aarav toh baat nahi kar sakta tha lekin usko patah bhi nahi hai ki yeh kyon hai phir bhi Aarav Priya ki ghod mein jaane ke liye hulchul macha diya.
Pari- Are bhai mera beta bhi aapni bua se milna chahta hai.
Priya Aarav ko ghod mein le li.Aarav uske ghod mein jakar Priya ke baal se khelne lagah.Priya uske gaal mein kiss kiya.Sahil bas Priya ko dekh raha tha.Tabhi Veer ne Sahil ko hilake kahan.
Veer- Tujhe kya ho gaya.Aise ghur ke kya dekh raha hai.
Sahil hadbadakar kahan.
Sahil- Kuch nahi.
Phir sabh airport se bahar akar car mein beth gaye.Sahil looking mirror mein dekhne lagah Priya ko.Priya piche aapni bhabiyon ke sath baat kar rahi thi.Sahil usko bas dekhe ja raha tha.Tabhi car ko Veer ne break marah.
Sahil- Kya huya bhaiya car kyu rokh diya.
Veer- Tera ghar a gaya.
Sahil samne dekhne lagah ki uska ghar a gaya.Woh bahot dukhi mehsus kiya.Woh ek baar Priya ki taraf dekh kar utar gaya.
Sahil- Bhai ghar ayi na.
Veer- Aaj nahi phir kabhi.Gaon bhi janah hai.
Sahil last try kiya lekin kaam nahi banah.Veer nikal gaya waha se gaon ki taraf.Veer aaj bahot khush tha aapni bahen ko pakar.Woh logh jaldi aapne ghar pohonch gaye.Priya ka kamra baisa ka baisa hi hai.Woh jakar fresh ho gayi.Phir sabh khane mein mile.Priya aaj bahot khush thi aapni ghar akar.Sabhne der raat tak baat ki.Priya ne sabhke liye gift layi thi.Woh sabh ko gift dene laghi.Yeh sabh karte karte bahot raat ho gaya.Phir sabh aapne aapne kamre mein chale gaye.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.