Reading Mode

Update 149

Veer ko thoda thoda hosh a raha tha.Sabh uske taraf dekh raha tha.Veer aapna sar pakad kar ankh khola.Jabh woh Ravi ko dekha toh hairan reh gaya ki yeh yaha kaise a gaya.

Veer- Tu phir a gaya.

Ravi ghusse se jakar Veer ka collar pakad leta hai aur kehta hai.

Ravi- Saala jabh bhi main badla lene ata hoon toh tu thik ho jatah hai.Lekin aaj tu marega mere hath se.

Yeh kehkar Ravi ne Veer ke muh par ek ghusa mara.Veer piche ki taraf chala gaya.Uske muh se khoon nikalne lagah.Veer ghusse se uthkar Ravi ko marna chaha ki Karma ne kahan.

Karma- Aisi galti maat karna nahi toh inn logon ki khopdi khol dunga.

Veer bachchon ki upar gun taane dekh kar piche hath gaya.Ravi ne ek qatilana muskaan diya.Komal Pari aur bachche bahot khush the ki Veer ko sabh yaad a gaya hai.Aab Ravi Veer ko marne lagah.Lekin Veer kuch nahi kar pa rahaa tha.Komal aur Pari minnate mang raha tha lekin Ravi toh ghusse se pagal ho gayya tha.

Payal-Mere papa ko maat maro.

Aditya- Papa ko chhod do.

Par Ravi Veer ko maare ja raha tha.Veer ka halat kharav ho raha tha.Veer aab aapna dimagh lagane lagah.Agar yeh mujhe maar bhi de phir bhi yeh meri parivaar ko nahi chhodega.Isliye usne dimagh lagaya.

Ravi Veer ko maar raha tha toh Veer jaanbujh kar idar udar gir raha tha.Uska plan tha kisi bhi tarah ek ki hath se gun lekar Ravi par taan sake.Ravi usko maar raha tha aur Veer idhar udhar girte girte Karma Lakhan aur Ramu ke pas a gaya.Ravi ne ek laat mara ki Veer jakar Ramu ke upar gira.Ramu ne usko pakad liya.Veer ke hath mein jaise hi gun aya usne gun chin liya aur tezi se jakar Ravi ke kaan patti mein laga diya.Ravi toh hakka bakka reh gaya.Karma Ramu aur Lakhan fatte ankhon se Veer ko dekhne lagah.

Veer- Aapna aapna hatiyar niche fenk doo.

Sabh Ravi ke taraf dekha Ravi ne kahan.

Ravi- Fenk doo niche.

Sabh aapna aapna hatiyar fenk diya.Komal Pari aur bachche Veer ke pas a gaye.

Veer- Komal inke hatiyar le lo.Adi jakar store room se rassi lekar ayo.

Komal fatafat unke hatiyar le liya.Adi jakar rassi le aya.

Veer- Tum logh jakar dinning table ke kursi par beth jao.

Ramu Lakhan aur Karma jakar dinning table mein beth gaya.

Veer- Komal inko band doo.

Komal fatafat jakar unko band diya.Jabh teeno ko band na ho gaya tabh Ravi ne dekha Veer ki nazar unn par hai tabh Ravi ek jhatka mara Veer ke hath ko.Gun chutkar dhur jakar gira.Aab Veer aur Ravi aapme samne tha.

Ravi- Itne asani se tu mera khel nahi bigad sakta.Aaj tera story mein band karke rakhunga.

Veer ke muh se khoon beh raha tha woh aapna hath ke hateli se khoon pohoncha aur ghusse se kahan.

Veer- Mujhe bhi tera kissa khatam karna hai.Aaja aav mard ke tarah ladh.

Yeh kehte hi Ravi uske taraf jhapta ki Veer ne usko pakad liya aur ek mukka mara Ravi ke muh par.Ravi ke muh se khoon behne lagah.Ravi ko aab aur ghussa aya aur woh Veer par randomly baar karne lagah.Kehte hai kuch bhi karo lekin thande dimagh se.Lekin Ravi ka dimagh garam ho chuka tha.Usko kuch dikhai nahi de raha tha.Woh randomly marne lagah.Jisse Veer ko faida huya.Veer bachkar marne lagah Ravi ko.Ravi jyada takat lagah raha tha jisse Ravi ka stamina khatam ho raha tha.Veer ka halat toh pehle se kharab tha isliye Veer jyada takat nahi lagah raha tha bas aapne jagah par reh kar Ravi ko mar raha tha.Komal Pari aur bachche bol rahe the aur marne ke liye.

Veer Ravi ka bhura halat kar diya.Ravi ghusse se daud kar aya ki Veer ne ek jordar mukka mara ek kilo ka.Jisse Ravi dhur jakar gira aur behosh ho gaya.Veer ne aapna sharir ka jitna bhi stamina baaki tha sabh lagah diya.Veer waha par hi zameen par beth gaya.Sabh Veer ke taraf daud kar aye.

Komal- Veer tum thik toh ho na.

Ananya- Papa aap thik toh ho na.

Veer ka halat kharab tha.Khoon beh raha tha uska.Pari ne Aarav ko Komal ko diya aur daud kar upar chali gayi.Aapne kamre se first aid box lekar ayi thi.Veer ko sofe ke upar betha kar malam fatti kar diya.Tabhi Ravi ko hosh ane lagah.Veer ladhkhadate huye waha par gaya aur Ravi ko kahan.

Veer- Maine tera zindaghi barbad nahi kiya tha.Tune aapna zindaghi barbad kiya tha.Agar koi jimedar hai tera zindaghi ke bareme woh hai tu.Bas aapne andar jank kar dekh ki kosur baar kyon hai.Phir tujhe malum padega asli maine mein kyon saja ke hakdar hai.

Ravi Veer ka baat sunkar sochne lagah.Jabh woh Veer ka baat ko sahi tarike se socha toh usko malum padah ki wohi aapna zindaghi ke kasoor baar hai.Ravi khoob jor jor se roune lagah.Veer usse dhur khada hokar Ravi ka bebasi dekh raha tha.

Ravi- Route huye….Mujhe maaf kar dena.Main hi aapna zindaghi ke liye kasoor baar hoon.Pitaji mujhe maaf kar dena.

Tabhi usne waha par padah huya gun utha liya aur aapni kaan patti par lagah liya.Jabh Veer yeh dekha woh usko rokna chaha hi tha ki usne triggar dabah diya aur wohi par uska maut ho gaya.

Yeh dekh kar bachche darke maare Komal aur Pari se lipat gaya.Woh roune lagh gaye.Komal aur Pari ka bhi ek hi haal tha.Woh bhi darr gaye.Ramu Lakhan aur Karma bhi darr gaye.Veer bas Ravi ka bejan lash ko dekh raha tha.Bas yehi sooch raha tha ki isko zindaghi mein khushi hi nahi mila bas badle ki aag ne jeene nahi diya.Veer Komal aur Pari ke pas gaya aur unko gale se lagah liya.Komal aur Pari bhi usko gale lagah liya kaske.

Veer- Tum dono bachchon ko lekar upar jao.Main police ko phone karta hoon.

Komal aur Pari bachchon ko lekar upar chala gaya.Veer police ko khabar diya.Police 30 min ke andar pohonch gaye.Police ko Veer ne sari sachai batah diya.Police bayan lekar Ramu Lakhan aur Karma ko lekar chala gaya.Ravi ka lash ko ambulance lakar le jaya gaya.Waha ki khoon ki dabbe police ne saaf kar diya.Aav subah bhi ho gaya tha.Veer ghar lock karke upar chala gaya.Bachche dari sehmi si bethe the.Veer ne unke pas jakar bola.

Veer- Kya huya mere bachchon ko.

Payal dari seehmi si boli.

Payal- Papa woh ganda uncle maar gaya kya.

Veer ne ek halki si muskrahat dekar kahan.

Veer- Haan woh uparwale ke pas chale gaye.

Payal- Kyu?

Veer Payal ko ghod mein bethakar bola.

Veer- Kyu ki unke zindaghi mein aab kuch bacha nahi tha.Chalo inn sabh chhodo aab kuch der sou jao.

Par inko aab nind kaise ati.Isliye Veer ne teeno ko aapne sath sula diya.Teeno Veer ko kaske pakad kar sou gaye.Veer bhi sou gaya.Komal aur Pari aapni kamre mein sou gaye.

Please complete the required fields.