Update 6
Ridhima rat me apne balkani me bechaini se ghum rahi thi , uske dimag me ganw walo ka dar aur gajraaj ki bate thi ..
“kya hua Ridhima beti bahut chinta me dikh rahi ho “
Ye jamuna kaki thi, jamuna Ridhima ke liye maa saman hi thi , jab se hosh samhala tha tab se wo use is ghar me dekh rahi thi , kahte hai ki uska pura pariwar hi Ridhima ke ghar me noukar tha , ye kai pidhiyo se aisa hi tha , ki pita bhi wahi noukar the aur uske bad unke bachche bhi wahi noukar bane … lekin itane salo ki imandari ke karn Ridhima ka pariwar jamuna ke pariwar ka samman bhi bahut karta tha …
“bas kaki unhi bato ko soch rahi hu jo ganw me chal rahi hai ,kya ye sab afwahe hai “
Kaki hans padi
“nahi beta ye afwahe nahi hai , maine apne pardada se bhi ye kahaniya suni thi wo to kahte the ki unhone ek shikari aur ek chudail ke bich ka sambhog bhi dekha hai “ jamuna muh bada kar hasane lagi
“kya kaki aap bhi na “
“are to isme kya ho gaya tu ab badi ho chuki hai in sabhi bato ko samjhne ke layak “
Itane chinta ki manodasha me bhi Ridhima ke hotho me ek muskan aa gayi
“chachi lekin ajay koi shikari ki bimari kaise lag sakti hai wo to shikari nahi hai “
“ha lekin ek shikari ne use apni dawa pilakar jivandaan diya hai wo bhi uske maa se wachan lekar isse wo shikari ab mukt ho gaya aur ye bimari ab ajay ko lag jaayegi ..”
“to kya ye bimari galat hai ??”
Ridhima ke masoom se chahre me ek ajib sa bhaaw aa gaya tha
“beta takat kabhi galat ya sahi nahi hota , lekin takat ka abhimaan galat jarur hota hai sath hi takat pane ke liye jo mol dena padta hai kabhi kabhi wo bahut hi bada hota hai , na jane ajay ki maa ne kya mol chukaya hoga “
Dono hi shant ho gaye the
“to kya ajay hamare ganw walo ko bhi nuksan pahuchayega , gajraj kaka to kah rahe the ki usne ajay ke maa se bat kar li hai “
Jamuna hans padi
“beti takat aane ke bad ka kya bharosha hai , ham logo ki jindagi to ab uske maherbani se hi chalegi , kya pata kab uske dimag me badla lene ke kida aa jaye aur wo pure sahanpur ko tabah kar de , ab to tere pita aur chacha bhi nahi hai is tufan se hamari raksha karne ke liye “
Jamuna ne jis swar me ye kaha tha usse Ridhima ki chinta aur bhi badh gayi thi
“kaki shikariyo ki takat ko kaise roka ja sakta hai “
Jamuna ne ek najar bharkar Ridhima ko dekha , nowyowan ki sundarta dekh kar ek bar jamuna bhi mohit si ho gayi , sharir ke kai hisso me ubhar aa rahe the aur us par wo masoom sa chahra , usne man hi man kuchh dudbudaya
“kya hua chachi aise kyo dekh rahi ho “
Kaki ke hotho me muskan aa gayi
“shikariyo ki takat ko to kewal chudail hi rok sakti hai , aur main dekh rahi hu ki tujhse khubsutat ladki koun milegi “
Ridhima ko uski bat thodi ajib lagi
“aap kahna kya chahti ho kaki ??”
Jamuna ne apna sar jhatka
“ager tujhe ajay ko rokana hai to tujhe chudail banna padega “
Ridhima ke to pairo se jaise jamin hi khisak gayi thi
“ye aap kya bol rahi ho “
“ha beta , tu khubsurat hai jawan hai tu ajay ko apne akarshan me fansa sakti hai , tu hi use rok sakti hai .. tere hi kandhe me ab pure ganw ki jimmedari hai , tu hi pure ganw ko uske atank se bacha sakti hai “
“lekin .. lekin ye kaise ho sakta hai ?? main .. main kaise .. wo to ek jati hai ??”
“ha jaise shikariyo ki ek jaat hoti hai waise hi chudailo ki bhi ek jaat hoti hai lekin , jaise ek shikari ko wachan dekar kisi dusare ko shikari banaya ja sakta hai waise hi chudailo ko bali dekar kisi ko bhi chudail banaya ja sakta hai “
Jamuna ki bat sunkar Ridhima buri tarah se chouk gayi
“bali …?? Kiski bali “
Jawab me jamuna ke hotho me ek katilana muskan aa gayi
“wo sab tujhe sochane ki jarurat nahi nahi , bas tu alagi amawashya ko taiyar rahna “
“amawashya ???”
Ridhima ke pure sharir me jaise jhurjhuri si doud gayi
“ager tujhe apne ganw ko bachana hai to tujhe chudail banna hi padega Ridhima , kuchh mat soch ki ye kaise hoga , teri ye jamuna chachi sab ka intjaam karegi , tu bas aaram kar aur amawashya ka intjaar kar “
Jamuna ne bade hi pyar se Ridhima ke galo ko sahla diya …

