Reading Mode

Update 32

“ye sab akhir ho kya raha hai ye log koun the “

Ham thode dur chale gaye the , ghane jangal wo bahut hi sahaj tarike se aage badh rahe the , meri bat ka unhone koi bhi jawab nahi diya thodi hi der me wanha unke hi jaise aur bhi kai log aa chuke the , wo ek vishal samuh tha jisme kuchh 50 couple the , ham bas ankhe fade sabhi ko dekh rahe the , thodi der me wo hame ek gufa numa sthan par le gaye , masalo se hi wo gufa roshan thi bahar chidiya bol rahi thi aur pedo se chhanti hui wo shital hawaye , mousam bada hi suhana tha aur prakriti ki god me aisi shanti ki man hi ram jaye , lekin bahari shanti ka koi asar hamare mansik kolahal par nahi ho raha tha , ham ab bhi bechain the , main to ek shikari ko dhundhane nikal tha jo hamari madad kar sake lekin ynha to uske sath mujhe ke chudail bhi mil gayi aur un jaise kai aur bhi …

“shant ho jao ajay thoda aaram kar lo fir bat karte hai “

Shikari ne bade hi pyar se mujhse kaha

“lekin akhir wo log the koun ,aur wo aisa kyo bol rahe the ki unhone hame banaya hai … aur hamare dost wahi rah gaye hai unki suraksha ??”

Mere utawalepan ko dekh kar wo bas muskura utha

“kuchh nahi hoga un logo ko , ha wo jarur is chinta me rahenge ki tum dono kaha chale gaye , aur jo log hame pakadne ki koshis kar rahe the wo log bhi shikari aur chudail hi hai , jaise ki ham .. aur unme se ek ne hi tumhe banaya hai aur unhi chudailo ke samuh me se kuchh ne Ridhima ko banaya hai …”

“lekin wo log yanha kyo??? “

“jab tak tumhara prem mukammal nahi tha tab tak unhe tum logo se koi matlab nahi tha , tum unke liye waise hi the jaise baki hote hai lekin jaise hi ridhima aur tumne  apne ko ek dusare ke prati samarpit kar diya un logo ke liye tum aam se khas ho gaye … unhone to tumhe aam `shikari aur chudail hi banaya tha lekin tum dono ne apne prem ke bal par khud ko khas bana liya ..

Ab bhi tumhare ander wahi hawas hai aur ab bhi Ridhima ke ander wahi jalan jo kisi shikari ke sambhog se hi mit sakti hai , lekin na to tum na hi Ridhima dono hi ek dusare ka istmaal khud ke liye nahi kar rahe aur yahi tumhari takat ban gayi ….

Wo to achcha hua ki tum dono ke bich abhi tak koi sambhog nahi hua , aur jab tum dono ek dusare ke prati samarpit hue ham tum tak pahuch gaye , warna us anthin hawas se thodi rahat pane ke liye wo log tum dono ko utha lete aur ek vishes kriya tum dono ko upper karke tumhe apne sammohan me le lete , aur fir hawas ka khel chalta ……..

Sabhi shikari Ridhima se aur sabhi chudail tumhare sath sambhhog karte , kriya ke dwara tumhare man ko bandh diya jata jisse tum dono ko yahi lagta ki tum apne prem se hi sambandhh bana rahe ho , aur usi samarpan ka fayada Utha kar wo log apni aag hamesha ke liye kuchh kam kar pate ..”

Mera aur Ridhima ka muh khula ka khula rah gaya tha …….

“wo log aisa kaise kar sakte hai ??”

Ridhima to ye sunkar sakte me aa gayi thi , abhi sath aayi chudail ne bade hi prem se uske balo ko sahlaya

“hawas ki aag jitani manmohak dikhai deti hai usse kahi jyda pida Dayak hai , jab koi is aag me jalta hai to wo khud ka aapa hi kho baithta hai ,ye to tumne samany jivan me hi dekha hoga … ab socho ki shikariyo ki hawas ki aag samany manushya se saikado guna jyda hoti hai waise hi ek chudail ki shikari se apni haws shant karne ki ikchha bhi samanny mahila se saikado guna jyda hoti hai … ham un logo ko dosh nahi dete , wo bhi bechare is bimari ke maare hai aur aanthin sambhog bhi unhe santusht nahi kar pata , santushti ka ek hi rashta hai wo hai prem ….

Wo tum dono se usi prem ki halki si jhalak aur ahsass ke liye sambandh banana wale the , taki us prem ki halki si aahat se bhi unke jism ke aag ko thodi thandak mile …

Wo aisa har us shikari aur chudail ki jodi ke sath karna chahte hai jo ki prem me padkar samarpan ke bhaaw se ek dusare ke ho jaate hai ..”

Ridhima aur main dono hi shant ho gaye the …

“ab ham kya kare …???”

Ham dono ka ek hi prashan tha ..

“bas sahi ghadi ka inttjaar jab tum dono ko niyam ke sath ek kiya ja sake , tum dono ke bichh us prem ki ghadi me sambhog ho jaye to tumhare pas aisi shaktiya aa jayegi jisse tum un logo se hamesha bach paoge … “

“wo log bhi to hamare jaise hi hai , fir wo kyo is pida me jal rahe hai , kya aap logo ko unke liye kuchhh karna nahi chahiye ..”

Ridhima ki bat sunkar main janha ashchary se use dekhane laga wahi dono muskura rahe the

“prem kisi ke man me dali nahi ja sakti , wo to bas hota hai , aur insaan kitani bhi koshis karke bhi kisi ke prem me nahi pad sakta … jab prem hi nahi hoga wo samarpan ka to sawal hi nahi uthata , aur jab prem aur samarpan na ho to jo hota hai use soudebajji kaha jata hai , saoudebaji kabhi santusti nahi deti , bas aag ko aur bhadka deti hai ……”

Unki bat sunkar ham bas sahmati me sar hilate rah gaye , unhone hame aaram karne ke liye akele chhod diya tha ……

Please complete the required fields.