Update 28
Idhar
Ridhima jab Ajay se ladkar apne kamre me wapas aagyi to uske pichhe Dr. randi bhi aa gayi ……
Dr. bas Ridhima ko ghur kar dekh rahi thi , Ridhima ki sanse tej thi wo khud ko samhalne me lagi hui thi …
“tum ager mujhse bate chhipaogi to main tumhari madad kaise kar paungi .. tum us ladke se pyar karti ho ??? ya tum khud ek Chudail ho ..”
Dr. ki bat sunkar Ridhima kuchh der tak bas unhe nisabd dekhte rah gayi ..
Fir ek gahri sans chhodte hue boli ..
“dono …”
Dr. randi bas uske pas jakar uske pith ko sahlane lagi aur Ridhima unse lipat kar ro rahi thi …….
Ridhima ne unhe sab kuchh fir se bataya ki kaise jamuna ne use Chudail banaya tha , aur ye bhi ki wo Ajay se bachpan se pyar karti hai lekin sirf Chudail hone ke karan usse dur rahna chahti thi , lekin jab wo uske bare me sochati hai to use ye bardast nahi ho pata …
“Ridhima prem dudhari talwar ki tarah hota hai aur kabhi kabhi ye khud ha hath bhi kaat leta hai , tum to aur buri tarah se fansi hui ho , ek taraf to tum uske bina jina bhi nahi chahti aur dusari taraf ager tumhara prem anjaam tak pahucha to tum apne jivan ki malkiyat se hi hath dho baithogi , yanha tumhe khud ka samman bhi bachana hai aur prem bhi nibhana hai …. Badi samsya ho gayi hai ye to ..”
Dr. ye bol kar thodi chinta me pad gayi wahi Ridhima unhe dekh kar muskurane lagi ..
“meri chhodiye aap kyo Dr. chutiya ka sunkar yu boukhla jati hai “
Dr. randi ne chhoti si simile ke sab bas ek gahri sanse li ..
“jo tumhare sath ho raha hai wahi mere sath bhi hua , prem to tha lekin bat samman ki thi , adhikaro ki thi ,khair chhodo ladane ka bhi apna hi maja hai , aur prem sharir ki duri ko nahi dekhta balki man se karib hone ko manta hai , ham kitana bhi lad le main uske uper kitana bhi gussa dikha du lekin asal bat to yahi hai ki ham dono hi ek dusare se jude hue hai … “
Dr. randi jaise kisi khwab me kho gayi thi , use dekhkar Ridhima ki ankhe badi ho gayi ..
“how romantic Dr. sahiba , fir aise kyo pesh aati ho bechare Dr. se “
Dr. khilkhilakar hasane lagi
“kyoki wo chutiya hamesha se chutiya hi tha, use duniya ki itani padi rahti hai ki mera khyal hi nahi rahta tha , aur uske kaam … ooff .. hamesha aise kaam karta hai jisse mujhe chidh hoti hai , ek to uski secretory ko dekhkar mera khoon jal jata hai aur dusari uski wo shishya Kajal , sab kaminiyo ko to khud usne hi paal kar rakha hai “
“achcha to aap bhi to bade ko sath lekar ghumati ho “
“lekin bade bechara to masoom hai , us marry ki bachchi ne use kitana ghumaya hai , wo to tab bhi itani hi kamini thi jab shadi suda thi , wo Dr. ke ek dost imraan ki patni hai aur bade imraan ka sharp shooter hua karta tha , imraan ek jana mana don tha ,aur ye Sali marry ne bechare masoom bade ko hi fansa liya , aur wo chutiya Dr. usne bhi in dono ko support kiya aur use apni secretory bana liya … mujhe to tabhi man kiya tha ki use wahi maar du ..”
“aapka man kiya aur aapne unhe mara nahi ye to ho nahi sakta
“ Ridhima muskurane lagi
“ha Dr. do mahine tak hospital me bharti tha “ dono hi thahake maar kar hasane lagi thi…
“Dr. aap logo ki love story to aise hi chalne wali hai , lekin mujhe apni love life barbad nahi karni , mujhe to mera Ajay bhi chahiye aur mera samman bhi , main uski gulam ban kar nahi uski premika bankar rahna chahti hu ..”
“hummm abhi to bas aise hi chalne do , ha use khud ko mat soupana warna fir samhalna muskil ho jayega, use badalne de mujhe lagta hai ki wo badal jayega aur ager wo badal gaya to tum bhi badal sakti ho .. aise chahre me thoda gussa rakhna ladkiyo ke liye jaruri hota hai , warna log unhe kamjor hi samjh lete hai “
Idhar
Jab meri ankhe khuli to wanha koi bhi nahi tha , khidakhi se suraj ki tej kirane kamre me aa rahi thi, main alsayi si aangdai lene laga , jakhamo me halke se dard ki anubhuti se main thoda sajag hua ..aur kal ki yaad karke hotho me ek muskan aa gayi ..
Kal ka din ya kahu ki aaj ki subah (rat12 baje ke bad se ) mere liye bahut hi achchi rahi thi , ek taraf mujhe Ridhima ke pyar ka ahsaas mila to dusari or meri bahane fir se mere paas aa gayi , bas mujhe apni hawas par control rakhna tha ..
Lekin kya hawas ko control karna sahi hoga ??
Aur kaise ye sambhaw ho payega …??
Dono ka ek hi jawab mere jehan me ghum raha tha , shikari baba jinhone khud ko is abhishrap se mukt kiya hai …
Main jaldi se taiyar hokar Dr. ke pas pahuch gaya .. aur unhe shikari baba ke bare me bataya ..
“thik hai chalte hai , lekin wo milenge kaha “
“mujha kya pata ??? suna hai ki jangalo ke ander kahi wo mil sakte hai “
“thik hai chalte hai , lekin tumhare jakham ”
“uski chinta mat kijiye ye to mere liye mamuli bat hai thik ho jayega “
Dr. ne thode ashchary se mujhe dekha ..
“thik hai kal chalte hai Parimal ko bhi sath le lena kisi aourat ko nahi le jayenge ..”
Maine ha me sar hilaya
******************
Ham dusare din subah se hi jangal ki or nikal pade , jana kaha tha aur jisse milna tha wo koun hai ye kuchh bhi hame pata nahi tha , bas ham ek manyatta ke pichhe chal rahe the jiska or-chhor bhi hame nahi pata tha ..

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.