Reading Mode

Update 23

Ridhima do dino se akhade me aa rahi thi lekin use na to Parimal dikha na hi Ajay , jigyasha ke karan wo rekha aur rani se milne chali gayi ..

“koun Dr. chutiya ??”

Ridhima unki bat sunkar thoda chouki ..

“are wo hamare pita ji dost hua karte the, suna hai bahut bade psychologist aur philosopher hai sath hi jasoos bhi ..”

“jasoos ???”

Ridhima ki ankhe badi aur kaan khade ho gaye

“ha mashoor jasoos Kajal ko to janti hogi , wo uske guru hai “

Ridhima ne Kajal ke bare me kabhi kabhi pepar me padha tha ..

“Kajal ke guru ??”

Wo ashchary me bhar kar boli

“ha , pita ji ne bataya mujhe “ rekha bol uthi

“lekin wo dono unse milne kyo gaye hai ??”

“mujhe kya pata , hoga koi kaam “

Ridhima ke chahre me pasina sa aa gaya , use kisi anhoni ki aahat hone lagi thi , Ridhima ne Ajay ka pyar thukraya tha, kya Ajay is bat se bhadak gaya hoga …?? Nahi mera Ajay aisa to nahi hai ..

Lekin fir use jamuna ki yaad aayi ..

“wo dono akele hi gaye hai ??”

“nahi wo tumhari jamuna kaki bhi to sath gayi hai , aaj kal wo Ajay ke ghar me rahti hai , majra kya hai “

Rani ne apne Chanchal naiyna matkaye

“kuchh nahi bas unse thodi ladai ho gayi thi , wo chhodo ye batao ki kab tak aayenge wo log “

“hame kya pata , Parimal bol raha tha ki koi bahut jaruri kaam hai “

“Gajraaj kaka ne kuchh bataya?? “

“nahi wo to bas Dr. sahab ki badai hi karte rahte hai , unhi ke kisse kahaniya sab .. “rekha bol hi rahi thi ki rani bol uthi

“are aaj to Parimal ne phone kiya tha ki Dr. aur unki secretary unke sath hi yanha aayenge , secretary ka naam sunte hi bapu ke chahre me ek ajib si khushi aa gayi thi , maine apni ankho se dekha “ rani ki bat sunkar Ridhima ka shaq aur bhi gahra gaya ..

Wo log Dr. ko pakd kar kyo aa rahe hai , ek jasoos ko apne sath lane ka kya prayojan ho sakta hai , mera Ajay to aisa nahi karega ,mere sath kuchh galat nahi karega lekin ye jamuna ..

Ye jamuna jarur koi sajis rach rahi hogi , akhir uske karan hi main yanha fans gayi hu ..

Ridhima ke man me na jane kitani bate chalne lagi thi

“kya hua Ridhima aise kis soch me padh gayi “

“soch rahi hu ki kahi Ajay is Dr. ko meri  barbadi le liye to nahi laa raha hai “

“matlab ..ajay bhaiya aise kaise kar sakte hai ” dono bahane ek sath chouk gayi

“matlab saf hai , mera jamuna se bahut jhagada hua ,ho sakta hai ye Ajay ki nahi balki us jamuna ki koi chaal ho , use bhi to mujhse badala lena hoga na … aur aise bhi Ajay ne mujhe propose kiya tha maine mana kar diya, kya isi bat ko lekar jamuna ne use bhadkaya hoga “

Ridhima ki bat sunkar dono bahane awak rah gayi

“tune Ajay bhaiya ko mana kar diya , pagal hai kya re tu ,kitane handsome hai wo aur ab to shikari bhi hai , suna hai shikari bahut sexy hote hai “rani Ridhima ko chhedate hue boli

“chup kar besharm , aur maine usi ke karn use mana kiya wo ek shikari hai pata nahi kaha kaha muh marta hoga “

Ridhima chidate hue boli

“kaas mujhe propose kar leta “ ek siski si lete hue rani acting karte hue bolne lagi , rekha ne use halki si chapat lagai

“Sali bhai bolti hai unhe aur aise soch rahi hai …”

“are to kya din me bhaiya rat me shaiya , suna nahi hai kya “ rani khilkhilane lagi wahi Ridhima aur rekha dono ne use muh bigadate hue gusse se dekha

“chhiii kitani gandi ho gayi hai ye “ dono ek sath bol uthe the ..

“Ridhima tu sahi kah rahi hai ye ho bhi sakta hai , kyoki pita ji bata rahe the ki Dr. ko koi chhote mote kaam ke liye yaad bhi nahi karta jarur kahani me koi twist lana hoga tabhi Dr. ynha aa rahe hai “

Rekha ki bat sunkar Ridhima soch me pad gayi ..

“ager aisa hai rekha to tum dono kisi taraf rahoge , ager Ajay mere ya sahanpur ke khilaf kuchh kare to “

Dono ladkiyo ne pahle to ek dusare ke chahre ko dekha aur fir Ridhima se ja lipati

“pagal hai kya ? hamesha teri taraf hai ham , tu hamari best friend hai “ dono ek sath bol uthi …

Unke pyar ko dekhkar Ridhima ke hotho me muskan to aa gayi lekin wo abhi bhi is soch me thi ki ager kuchh aisa situation banta hai to fir use kaise handle kiya jaaye , janha ek or Ajay ganw ki jimmedariyo se bahut door ho chuka tha wahi uske vipreet Ridhima ganw ki jimmedari ko apna kartawya manti thi, aur uski soch bhi kisi mukhiya ki tarah hone lagi thi …

“kya soch rahi hai tu fir se ??”

“yahi ki ager Ajay ne Dr. chutiya ka upyog hamare khilaf kiya to ham kya karenge “

Rani uski bat sunkar joro se hans padi Ridhima use na samjhne ke bhaw se dekh rahi thi

“are bahut simple hai randi ko bula lo “

“what ??” Ridhima buri tarah se chouki …

“ye kya bak rahi hai tu ..”Ridhima ne thoda chillate hue kaha

“ye sahi kah rahi hai Ridhima hamne sun rakha hai ki Dr. chutiya ko ager koi maat de sakta hai to wo hai Dr. randi “

“Dr. randi ??? ye kaisa naam hai ??”

“waisa hi jaise ye Dr. chutiya hai matlab Dr. chunnilal Tiwari yarwadawale , waise hi Dr. randi hai Dr. rani najiya disooja “

“rani najiya disooja ??? ye kaisa naam hua “ Ridhima bahut hi confuse ho rahi thi

“are asal me unhe unke 3 mama ne pala hai jo ki unki maa ke muh bole bhai the, to teno ne apne hisab se naam rakh diya, ab Dr. sahiba ko apne mamao se itna pyar tha ki wo sabhi naam ka upyog karti hai …”

“oohh lekin ye hamari madad karegi …??” Ridhima ne apni shanka jatayi

“bilkul , pita ji kah rahe the ki ager bat Dr. chutiya ka samna karne ki ho to ye hamesha taiyar rahti hai .. aise bhi tere pas bhi to karan hai na ki tu inki madad le , aur ye hamare aur tumhare pita ki dost bhi thi jab hamare pita ji , tumhare pita ji , Ajay ke pita ji aur Dr. chutiya dost hua karte the … mujhe to lagta hai ki tumhari bat sunkar wo jarur tumhari madad karegi “

Ridhima ke chahre me thodi rahat ke bhaw aaye

“to fir kal hi chalte hai inse milne ……..” Ridhima bol uthi …

***************************

Ridhima aur rekha rani ek clinic ke samne pahuche jiske bord me likha tha Dr. randi (M.B.B.S. , M.D.(Gynecology))

Bahar kuchh jyda bheed nahi thi bas ek do patient baithe hue the  , thodi hi der me sabhi ander the …

“ji bataiye ham aapki kya madad kar sakte hai “

Ek doodh si gori saree me lipati hui nari ankho me chasma lagaye wanha baithi hui thi ,ek najar uthakar usne 3no ko dekha, ankhe badi badi aur bahut hi akarshak thi , unke baju me unka koi assistant type ka adami khada tha , uski bhujaye uske t-shirt me fadak rahi thi , wo koi assistant kam aur body gurd jyda lag raha tha ..

“madam main sahanpur se aayi hu “ Ridhima ne bade hi adar se wanha baithate hue kaha

“sahanpur se itani door ??”

“ji main tara Singh ki beti hui , aur ye dono garjraaj ji ki betiya hai “

Ridhima ki bat sunkar jaise Dr. sahiba uchhal padi

“itane dino ke bad , kaise hai wo dono , aur ager mere pas tum log aaye ho matlab kuchh to gadbad hoga .. to shidha mudde par aate hai batao kya problem hai “

Ridhima ne use batana shuru kiya , kissa shuru hua Ghughar ki maidan me chal rahi us ladai se aur fir Sulabh ka kand aur Ajay ka shiskari banna , Ridhima ka dar (Ridhima ne Chudail wali bat ko chhipa diya) , college ki ladaiya aur fir Ajay ka Ridhima ko propose karna aur Ridhima ka mana karna , jamuna ki kisi bat par Ridhima se ladai(yanha kis bat par use Ridhima ne chhipa diya bas ye kaha ki usne mujhe dhokha diya ) aur fir jamuna ka Ajay se ja milna aur fir Ajay ka jamuna aur Parimal ke sath Dr. chutiya ke pas chale jana ….

Ridhima ne apna dar bataya ki ho na ho Ajay Dr. chutiya ki madad se kuchh to gadbad karne wala hai , aur lagta hai ki ye sab jamuna ka dimag hoga ..

Dr. chutiya ka naam sunkar Dr. randi uchhal padi thi

“wo kamina chutiya …. Sala chunnilal use to main is bar nahi chhodungi , bade gadi nikalo ham aaj hi sahanpur ke liye rawana honge , tum fikar mat karo beti wo Ajay aur wo chutiya dono milkar bhi tumhara aur tumhare ganw ka kuchh nahi bigad payenge …”

Dr. ki bat sunkar Ridhima khush ho chuki thi ..

“ha isse milo ye mera assistant hai bade .. bade landwale “

Teeno ladkiya buri tarah se chouki ..

“landwale ..??”

Rani choukate hue boli , jispar Dr. hasane lagi

“ha jab Dr. chutiya ho sakte hai aur uski secretory meri marlo ho sakti hai  to landwale kyo nahi , asal me landwale inka surname hai aur badelal iska naam hai , to ham ise bade hi kahte hai “

“ooohhhh” tenoo ek sath boli

“bade gali nikaal asala barud rakh le , is bar sale chutiya ko wahi bhunj denge “

Dr. boli lekin bade jaise kisi khayal me gum tha ..

“bade , bade “

Wo bad diwal ko hi dekh raha tha , Dr. uthi aur uske galo me ek jor ka tamacha maar diya , wo hadbadaya

“ji madam ..”

“sale tu chutiya ka naam sunte hi marlo ki yaad me kho gaya , soch le ager tune use najar utha kar dekha bhi to “

Bade ke chahre me masyusi ke badal chha gaye the , wo bas apne galo ko sahlata hua ha me sar hila raha tha ……….

Please complete the required fields.