Reading Mode

Update 20

Sulekha ke samne wo din wapas aane lage the ,

Sulekha Ghughar ke mukhiya ke pariwar se thi , rishte me Gajraaj ki door ki bahan hoti thi , aur usi ke ghar me jamuna ka pariwar noukar hua karta tha , dono ek hi umra ki hone ke karan dono me dosti ho gayi ..

Lekin fir jamuna ki shadi sahanpur me aur sulekha ki lakhanpur ke mukhiya ke bete se hui ,

Sulekha janha lakhanpur ke mukhiya ki bibi bani wahi jamuna sahanpur ke mukhiya ke ghar hi noukar ban gayi ..

Kabhi mayake me dono mila karti thi dosti ab bhi wahi thi lekin dono ke bich bahut hi gahri khai thi samajik diwar jo dono ko alag kiye hue thi , fir bhi sulekha jamuna ko apni sabse achchi Saheli manati thi , mayake me jab bhi dono akele hote to sath khoob gappe ladaya karte , apna sukh dukh bataya karte , unhi douran ek bar jamuna ne sulekha ko bataya tha ki wo Chudailo se mili aur use ek sakti mili hai jisse usne Sulabh ko apne jaal me fansa liya ..

Sulekha ko kabhi uski bat par yakin nahi aaya lekin jab usne pata karwaya to ye bat sahi nikali ki Sulabh jaisa insan jamuna ke aage pichhe Dolata rahta hai .. ye bat bhi aayi gayi ho gayi lekin waqt ne ek mod liya aur sulekha ko dorahe par lakar khada kar diya bete ki jaan aur pariwar ki ijjat dono ab sulekha ke samne chunouti si ban gayi thi , wo to bhala ho ki uski devraniyo ne uske bete ko samhal liya tha lekin isi douran use jamuna ki yaad aayi , uske kahe bat ki , us wade ki jo jamuna ne Chudailo se kiya tha ek ladki ko Chudail banane ka wada ……

Sulekha ko is wade me apne sabhi takleefo ka samadhan dikha , use laga ki ager jamuna kisi ladki ko Chudail bana paye aur wo ladki ager Ajay ki sangani ban jaye to Ajay ki sari takleefo ka ilaaj use mil jayega ..

Sulekha ne jamuna se madad mangi use wo wada yaad dilaya ki use ek ladaki ko Chudail banana tha , jamuna ne khoob socha aur uske dimag me jo naam nikal kar aaya usse to sulekha bhi chouk gayi..

Jamuna ne Ridhima ko apni beti ki tarah pala tha , lekin Ajay ke liye ager ko sabse sahi sangi thi to wo Ridhima hi thi , sulekha ne bhi jamuna ki ha me ha mila diya , lekin use kya pata tha ki takdeer fir se ek khel khelega , jamuna ko fir se wahi takat mili aur usne uska prayog Ajay ke uper hi kar dala , ye bat sulekha ko tab pta chali jab wo uske ghar me aayi …….

Apni Saheli ko is halat me dekhna ab sulekha ki majboori ban gayi thi , use pta chala ki uska beta Ridhima se kitna pyar karta hai aur aaj rat ki batchit ko sunkar uske mathe me chinta ki aur bhi lakire khich gayi ..

Subah Ajay ne jo kiya usse wo kaanp hi gayi , usne kabhi nahi socha ta ki uska beta vasana ka itana andha ho jayega ki rishto ko bhi bhool jayega , lekin wo Ajay ki majboori ko bhi samjhti thi ..

Ab uske dimag me bas ek hi bat aa rahi thi , kisi bhi tarah Ajay ko is dard se mukti dilana , ya fir Ridhima ko manana , ye kaam jamuna kar sakti thi lekin ab Ridhima ke man se jamuna ka viswash hi uth chuka tha , wo kya kare wo bas isi udhedboon me baithi rahi ……..

Idahr

Soni aur Hina apne hi khayalato me dube hue the ,

“kya wo sach me ek shikari hai “Hina ne apni bat rakhi

“jaisa hamne dekha tha mujhe to us ladke ki bat sach hi lagti hai , warna itna maar khane ke bad koi kaise jinda rah sakta hai “

“hame bhaiyo aur papa ko bata dena chahiye ??”

“mujhe nahi pata aise bhi wo jaafer aur kundan ki mout se bade hi pareshan hai , unke katil ka bhi abhi tak koi pata nahi chala “

“kya wo jaay hi katil ho sakta hai ??”

“mujhe to nahi lagta, aise bhi inspector ne kaha tha ki postmortem  ki report se lagta hai ki unhe kisi sharit katil ne mara hai , ye aam insan ka kaam nahi ho sakta koi bhi sabut nahi mila , aur katal ka tarika waisa hi hai jaisa ganwo ki kahaniyo me Chudail ke liye bola jata hai  , jarur wo Chudail hi hongi “

“lekin ye sab sach kaise ho sakta hai yaar “ Hina ke chahre par ajib si udasi chha gayi

“kyo nahi ho sakta ager shikari ho sakta hai to fir Chudail bhi jarur hogi “

“lekin kya ye shikari wali kahani sahi hogi ,uske ganw ke to sabhi log yahi kahte hai ki Ajay ko kisi shikari baba ne bachaya hai aur uske bad wo bhi ek shikari ban gaya hai lekin …….”

“lekin kya Hina , tune dekha nahi us din jab ham use dande se maar rahe the lekin uska wo to … main to abhi bhi soch kar sihar jati hu ki ye kaisa adami hai … lekin ab samjh aa raha hai ye shikari hi hai aur shikari Chudail ki kahaniya bhi sahi hai … aur hamare dono bhai ko kisi Chudail ne hi mara hai “

“hame kya karna chahiye Soni “

“mere khyal se hame sabko bata dena chahiye ki unka mukabla is bar kinse hai “

Soni ki bat sunkar Hina ne bhi haa me sar hilaya …

Idhar

Main jamuna se apni hawas bhujhane ke bad apne bister me pada tha din nikal chuka tha lekin main bister ko chhodne ko taiyar nahi tha ,aisa nahi tha ki main nind me tha, main rat bhar se jagta raha tha lekin dimag me ajib si bate chal rahi thi ..

Hawas ka tufaan khatm ho jane ke bad se hi main bas isi soch me tha ki kya main ise kabhi kabu kar paunga ..??

Aaj main hawas me dubkar itana andha ho gaya ki duniya ke sabse pawatra rishte ko bhi khatm karne me tula tha ..

Is hawas ne mujhse kya nahi chhin liya , mere rishte, mera pyar sab iski bhet chad gaye the ,main khud me kabu bhi nahi kar paa raha tha , mujhe aourat bas ek jism si dikhai deti hai , nahi mujhe apne is bimari se nijaat pana hi hoga , mujhe us shikari ko dhundhana hi hoga …

Lekin kaise ..??????

Mere dimag me ek naam gunja jo kabhi pita ji ke achche dost hua karte the , aur pita ji ne unke bare me mujhe bataya tha ..

Mujhe yaad aaya ki pita ji ne unka no. mere mobile me save kiya tha ,

Maine turant hi apna mobile nikala aur type kiya unka naam mere samne tha …. Dr. chutiya ….

Please complete the required fields.