PW7
Shaam ko jaise hee ghar main aya usne mehsus kiya ki ghar ki vatavaran roz se kuch alag hai, acche khane ki khusboo aa rahi hai, shayad bahar se mangaya gaya tha, maharajin k banaye khane se bhi aisi khusboo nahi aati thi. Naman ko bahar ka khana pasand nahi ata tha, vo bahut baar dekh chuka tha ki swad badhane k liye bahut se high-fi restaurants chemicals milate they ya mirch masale jada daal dete they, usko ghar ka bana khana hee pasand tha, jabki uske ulat Maya aur bacche hafte main 2 baar bahar ja kr khate ya parcel mangwa lete. Maa ki help karte time thoda bahut khana banana sikha tha to maharajin k na rahne pr Naman kaam kayak khud bana leta tha, khas Maya k na rahne pr
Room main jakr pehle fresh hua kapde badle fir bahar aya to dekha dinning table pr sab uska wait kr rahe they, aisa to bas mehmaan aane k time hota tha, Naman shant baith k apna khana lagane laga, usne sirf stuffed kulcha aur achaar liya
Maya boli ‘Surabhi se baat hui, vo ready hai’
Naman ‘maine pata lagaya hai uski financial condition acchi nahi hai, jaisi shaadi tum chahti ho vo nahi kr payegi, aur fir shaadi k baad bhi bahat see rasme hoti hain to vo kaise karegi’
Maya ‘arey puri baat to suno, vo apni dono betiyon ki shaadi humare dono beton se karna chahti hai, maine to haan kr dee isse accha offer….’
Naman ne khana rok usko ghoor k dekha fir Varun ko
‘Tumko lagta hai Varun abhi shaadi k layak hai? dono bacche hain, roz k jhagde honge aur fir abhi to padhai bhi…’
Maya ‘ohhhooo tumko to mere bacchon se…. dekho sab baat kr lee maine dono behne ek ghar main rahengi to sambhal lengi, maine to jaban de dee hai’
Naman ‘theek hai batane k liye thanks, aage ka kya programme hai?’
Maya ‘panditji ko bula kr sagai aur shaadi ki date nikalwani hai’
Naman ‘theek hai bula leta hun kal’
Maya ‘tumko khushi nahi hui apne baccho ki shaadi ho rahi hai?’
Naman ‘chinta jada hai Varun abhi mature nahi hua to ghar main aaye din ladayi na ho, Inder to kama raha hai pr koi choti bahu ko bolega ki uska pati kya karta hai to kya jawab degi?’
Sab chup ho gaye, Inder bola
‘Baat to theek hai Varun yaar kuch ghante roz papa k sath unke store pr jana chalu kr le’
Varun ‘aur wahan petiyan utarun, laadun majduri karun? Bhai mujhse nahi hoga ye sab, office main ye baithne nahi denge, mai apne dost se baat karta hun uske yahan manager ki post khaali hai’
Naman ‘ok all the best, Maya Surabhiji ka number mujhe bhej dena kon sa program kab kaise karna hai mai baat kr lunga, shayad koi function unko apne ghar main karne ka mann ho’
Maya ne ok main sar hilaya, Naman 1 kulcha kha kr uth gaya, kisi ne bhi usse dusra lene ko nahi bola. Naman ko abb pakka tha ki ye log aise nahi sudharenge vo jo plan bana raha hai wahi theek hai. Idhr Maya ko laga ki Naman raaji nahi hai kahi Surabhi ko kuch ulta na bol de ki rishta toot jaye. Dono ladkiya bahut hee sunder thi, smart bhi thi aur fir uske bhai ne bataya tha ki sanskari bhi hain. Maya ye mauka khona nahi chahti thi, to usne decide kiya ki kaise bhi Naman ko mana legi. Usne Inder aur Varun ko khane k baad apne apne manzil pr jaane ko bola aur jab tak Naman tv pr news dekh raha tha vo sajdhaj k ready ho gayi
Maya aur Naman k bich abb sex nahi k barabar hota tha, Naman ne uske sath sex karna chhor diya tha, sex k time Maya uske maa baap behen behnoi sabko bura bhala kahti thi aur sex aise karti thi jaise ehsaan kr rahi ho. Pichle 3-4 baar se unke bich kaafi bahas hui, har baar game adha rah gaya tha, dono ne ek dusre ko khoob bura bhala kaha aur pichle 2 saal se dono k bich kuch nahi hua tha, na dono ne kosis ki samjhauta karne ki
Dress 8 saal purani thi, Naman ne naye ghar main aane pr kayi dresses main se ek ye bhi gift ki thi jisko Maya ne kabhi nahi pehna tha. Black colour ka top aur mini skirt tha top sleeveless tha aur usme se aadhe boobs bahar aate they, skirt bas 10 inch lambi thi, beech ka hissa pura khula tha.
Maya ne aaj pehna to abb vo dress kafi tight thi, Naman ne jab uss time pehenne ko bola tha to Maya ne rookha sa jawab diya tha
‘Ye dress pehna kr mujhe sadakchaap randi banana chahte ho kya?’
Uss din k baad se naman ne uske kiye koi gift nahi kharida bas paise de deta tha. Bedroom ka door band kr k abhi bed pr baitha hee tha ki Maya ithlati itrati hui pass ayi, muskura k Naman ki or dekha to Naman bola
“Sadakchaap randiyon main interest ussi din se khatam ho gaya tha, abb to kisi cheez main koi interest nahi bacha”
Maya ka chehra dekh kr Naman ko saaf dikha ki uski baat Maya ko zahar ki tarah lagi hai, vo fir bola
“Ye sab karne ki jarurat nahi, mujhe dono betiyan pasand hain, bas tumhari fikar thi ki dono mature nahi hain to ghar main roz bawal na ho”
Gusse aur apmaan main sulaghti Maya ko ye baat sunn kr badi rahat mehsus hui, vo vapas wardrobe room main gayi, kabhi kabhi usko lagta tha ki uska vyahaar Naman k prati theek nahi rahta, usko bura bhi lagta tha pr apni aadat se majboor thi, aur phir Naman usko gairjimmedaar aur kamchor hone ka ehsaas dilata rahta tha.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.