Update 51
Dusare din ke news paper mein front page ki head lines … – **** ke junglon mein bomb blast, do manav shariron ke ang blast sthal par chat-vicchat awastha mein pade paaye gaye.
Ghatna sthal ke dusari taraf kisi ne do logon ki goli maarkar hatya kar di hai, jismein ek isi shahar ka hai naam hai aslam,
uske gharwalon se police pucch-tachh kar rahi hai.
Puchh-tachh se abhi tak koi natiza nahi nikala hai, maktool ke pariwaar ka kahna hai, ki unka ladka kal dopahar se lapta tha.
Ashanka jatayi jaa rahi hai ki ye koi bahut badi aatanki shazish thi, jise ho sakta hai asalam aur uske dost ne asafal karne ki koshish ki aur apni jaan ganwadi.
Police tehkikaat mein lagi hai, aur city SP ne aswast kiya hai ki jald hi iss mamle ko suljha liya jayega. Udhar mritak pariwaar shok santapt hai.
Khabar padh kar mere hothon par muskan aagayi, apne office mein baitha me soch raha tha ki dekho, ye police aur media milkar logon ko kis had tak bewkoof bana sakte hain,
jis baat ka door-2 tak koi nata nahi hai use logon tak paros dete hain, aur logon ka kya..?
wo to bas khabar padhi, paper se gaand ponchh kar kachare ke dibbe mein dala, fir lag gaye apne rojmarra ke kaamo mein.
Pure din me apne office ke kaamo mein laga raha, sham ko office se seedha kamre par aaya,
fresh hokar scooter uthaya aur chal diya shahar ki ore.. mere pass ek second hand bajaj supar scooter tha jo mene yahi aakar liya tha.
Hotel mein khana khaya aur ghus gaya ek telephone booth mein. SP ka number milaya…
ek baar ring bajati rahi, kisi ne phone nahi uthaya, dobara try kiya to 3-4 ring bajane ke baad hi udhar se phone utha liya..
Hello… kon..?
Me- kya me SP saab se baat kar sakta hoon..?
SP- me city SP narang bol raha hoon..! aap kon bol rahe hain..?
Me- naam mein kya rakha hai SP saab apko to kaam se matlab hona chahiye…!
SP- kya kahna chahte ho..?
Me- wah SP saab ! kya kahani banayi hai aapne media se milkar, ek deshdrohi ko hero bana diya aur use shahid ka darza bhi dediya..!
SP- kya matalb..?
Me- asalam aatankwadi tha.. ! sacchai janana chahte ho to uske baap ko pakdo… sab ugal dega..
thoda dhang se sewa hogi to, vaise to ye kaam bhi me hi karne wala tha, par aapki khabar padh kar irada badal diya..
SP- iska matalb..wo sab….???
Me- sahi socha rahey hain aap..!
SP- lekin apna parichay to do..!
Me – ek deshbhakt ka koi personal parichay nahi hota, pura desh uska ghar hai, aap bas apna kaam kariye… aur me apna…
jaldi hi aapko aur bhi khabar milne wali hain… aur itna bolkar phone cut kar diya..
Dusare din ki news ekdum ulat thi, jismein asalm aur uske pariwar ko deshdrohi bataya gaya tha, uske baap ne maulana ka naam chhodkar sab kuchh Kabul kar liya tha,
log khabar padh kar sann rah gaye, ki kis tarah se ek badi durghatna hone se bach gayi, par kaise bachi ye kisi ko kuchh pata nahi tha.
Police ki sargarmiyan tej ho gayi thi, iske liye nahi ki ek aatankwadi ghatna hone se bach gayi,
balki isaliye ki ise bachane wala kon hai ? kyonki media baar-2 ye sawaal utha raha tha, ki aakhir ye hua kaise, kon hai wo deshbhakt jisane ye sab kiya…??
Udhar Pakistan mein baithe maulana ke aaka, baukhalaye huye they, aur wo uspar dabav dal rahey they ki ye hua to kaise hua aur kisne kiya..? jo abhitak khud police ki samajh se bhi pare tha.
Me maulana ko janta nahi tha, lekin janana to tha, aur jab tak wo yahaan sakriya hai, koi na koi desh virodhi gatividhi firse jarur karega jisase wo apne aakaon ko punah vishawas mein le sake.
Rampur mere shahar se 60-65 km dur tha, ek Sunday subah-2 scooter uthaya aur chal diya us maulana se milne.
Jab mein us masjid mein pahuncha to wahaan dopahar ki namaz chal rahi thi, 50-60 ki sankhya mein log katar baddh namaz ata kar rahe they,
sab logon ke saamne ek vyakti koi 50-55 saal ka khichadi lambi dadhi safed traditional kapdon mein, alag thalag namaz ata kar raha tha.
me samajh gaya yahi maulana hoga.
Me bahar khada hokar namaz khatam hone ka intezar karne laga, kyonki apne ko to ye sab aati nahi thi, us samay mene bhi aise kapde pehan rakhe they sar par ek safed rumal bandh liya,
ab pehli nazar mein koi ye nahi kah sakta tha ki me in logon mein se nahi hoon.
Namaz khatam huyi, uske baad maulana ne kuchh urdu mein acchi-2 baatein ki logon ke sath,
me mann hi mann usko gaali deta hua soch raha tha ki dekho saala kitna bada nautankibaaz hai ye,
abhi kitani acchi-2 baatein kar raha hai, aur saale ke kaam to dekho…!!
Agar in logon ko iski asaliyat pata lag jaaye to kya hashra hoga iska ? allah hi jaane.
Dheere-2 sab log jaane lage, jab sab log nikal gaye to me ander aaya aur maulana ko salam walekum kaha.
Maulana ne bhi jabab mein walekum assalaam kaha aur ghum kar meri ore dekhte huye bola – tum kon ho barkhurdaar..? aur yahaan kyon khade ho..? gaye kyon nahi abhi tak..?
Me- Janab maulana saab, abhi-2 aapka kuchh sabak suna, dil ko accha laga, ki apne maulana maulvi inshaniyat ke baare mein kitna accha sochte hain,
Agar aisa hakiqat mein ho to hamari ye sar-jamin kitani haseen ho jaaye..kyon maulavi saab.. sahi kah raha hoon na me..?
Wo kuchh chonkanne bhav lakar bola – haan ye to tum sahi kah rahey ho miyaan, aur hamari koshish bhi rahati hai ki is babat amal bhi ho.
Me- to fir abhi abhi ****** shahar mein jo wakiya hua wo kya tha..?
Maulana – kya farma rahe ho miyaan..? hamara us vakiyat se kya taalluk ?
Me- lekin noor mhd. ka kahna hai ki use aapne 50000/- diye they is kaam ki madad ke evaj mein..!
Maulana- abbal to wo aisa bol nahi sakta,… aur tum kon ho ? aur kis hasiyat se ye sab malumaat kar rahey ho..?
Me- isase kya fark padta hai maulvi saab ki me kon hoon..? farak isase padta hai ki iss desh ke ek mazahabi imarat ka rahnuma jiske upar ek samaaj ke atma samman ka jimma hai,
wo dushman desh se milkar iss desh ko nuksaan pahuchana chahta hai..!
Maulavi – ye sarasar bebuniyadi aur behuda ilzaam hai ham par, hum abhi logon ko bulakar unhein batayeinge ki kis tarah ye aadmi hamein aur hamare mazahab ko badnaam karna chahta hai.
Me- shauk se bulayiye ! jab unhein aapki sacchai pata lagegi jiska mere pass pukhta sabut hain, sochiye aapka kya hashra hoga..?
Maulana ke hath pair fool gaye.. wo bagalein jhaankne laga. Jab use bachne ka koi rasta nazar nahi aaya to wo mujhe andar le jaane laga..
Me – bhool jao maulana ki tum mera kuchh bigad sakte ho !
me hi wo inshan hoon jisane tumahare mansubon ko matiya met kar diya aur ab tumhara ant nikat hai,
yaad karlo apne khuda ko aur maafi maanglo apne gunahon ki jo tumne uski ibaadat ki aad mein kiye hain.
Maulana – tum abhi bacche ho mere saamne, aur kahte hi na jaane kahaan se uske hath mein revolver nazar anne lagi jiska rukh meri ore hi tha.
wo aage bola- me itane dino se soch-2 ke pareshan tha ki aakhir ye sab kisne kiya hoga, khuda ne ghar baithe hi tumhein meri jholi mein daal diya.
Me – abey haramzaade abhi bhi khuda ka hi naam lega ? kuchh to darr usase..?
aur rahi baat mujhe khatam karne ki to koshish karke dekh le, agar tu kamayab hua to kuchh din aur jee lega.
Chal nikaal le apne armaan, karle koshish….,
Usane aav na dekha taav aur goli chala di mere upar.. sang aart ka to me mahir tha, jhukai dekar uske vaar ko nishfal hi nahi kiya, sath hi uske revolver wale hath par ek jabardust kick maar di.
Revolver chhitak kar usake hath se door jaa giri, me uske saamne khada muskara raha tha.. jisane uske gusse mein gee ka kaam kiya,
aur usne mere upar jump lagadi, me side mein hat gaya aur wo apni hi jhonk mein jameen par aundhey muh gira.
Mene uski peeth par jute ki ek bharpur thokar lagayi, uski pasliyan chatakh gayi,
wo cheekh maar kar palat gaya, jaise hi palta, ek aur jordar kick uske bagal mein padi,
fir to mene usse apne jute ki nok par rakh liya, masjid mein uski cheekhein goojne lagi,
ye masjid ka andruni hissa hone ki wajah se koi bhi awaj bahar jaane ka koi sawal hi nahi tha.
Pitate pitate maulana behosh ho gaya fir mene ek note likh kar uske seene par chipakaya ki ye deshdrohi hai,
iska sabut ***** police ki hirasat mein majud noor mhd naam ka vyakti hai, jo iski sachchai janta hai.
aur uske mathe par surakh bana kar shanti purvak me wahaan se nikal aaya.
Sham ki namaaz ke waqt jab log masjid mein ikattha huye, to unhone wahaan mulla ko mare huye paya,
Logon ne police ko khabar kar di, police ne aakar wo note baramad kiya.
aanan faanan mein hawalat mein band, noor mhd ko firse interrogate kiya gaya,
shuru mein to wo ghumata raha, jab 3rd degree istemaal kiya to sab bak diya.
Saari hakiqat logon ke saamne aa gayi, aur ek aatankwadi sazish, jo Pakistan dwara rachi gayi thi, fail ho gayi thi,
jab diplomatic taur par Pakistan se puchha gaya to wo saaf mukar gaya, ab koi sabut to tha nahi.
Police anjaane deshbhakt ki talaash karti rahi, lekin na kuchh hath aanewala tha so nahi aaya.
Is ghatna ko beete mahino gujar gaye, me apne kaam aur dhyan mein doob gaya.
Tabhi ek din Brij Bihari bhiaya, jo ek university mein professor hain, aur ye university mere present shahar se matra 25km door hai,
aa dhamke mere office mein aur mujhe agle Sunday university mein sthit unke awas par aane ka bol kar chale gaye.
Ab sage bhai hain, kya kaam hai ? dekhna to padega hi so agle sundey le scooter pahunch gaya ukne ghar.
Wahaan jaakar pata laga ki meri shadi ki baat chal rahi hain, unke hi staff ke ek sajjan ki mama ki ladki ke sath,
BA BED karke kisi school mein teacher thi, mene socha to ab mujhe kisi mastarni ke gale baandhane ki koshish chal rahi hai yahaan to.
Mene kasam khayi thi Rinki ki maut ke baad, ki me ab bhavishya kisi aur se shadi nahi karunga,
lekin ye baat mere ghar mein kisi ko pata nahi thi, aur na hi bata sakta tha. ab inko direct mana to nahi kar sakta, to ab kya karun….?
Tabhi mere dimag mein idea aaya, pakka ye aisi family hai jo apni beti ka bhavishya kisi surakshit hathon dena chahte hain,
inhein me nahi ek rozgaari engineer dikhayi de raha hai. agar me ye job chhod ke ghar baith jaaun to… to shayad ye log peechhe hat jaayenge.
Par seedhe-2 kaise chhodun.. isi udhed bun mein kuchh din aur gujar gaye, ladki wale roz khabar bhejein ki ladki dekhne kab aa rahe ho.
Tabhi billi ke bhag chheenka tut gaya- —
Increament ka time tha, meri itani acchi performanance ke baad bhi mujhe dusare logon se kam increament diya management ne,
bas fir kya tha, bhid gaya apne boss se, wo bechara vaise bhi seedha-sada aadmi tha, usne mujhe MD ke saamne khada kar diya,
MD pinnaki tha, chid gaya meri baat par, mene wahin baithe-2 resignation likha aur maar diya uske muh par.
Dusare din hisaab liya aur aa gaya apne gaon sab jhola danda taang kar.
Ghar mein sabhi log ekdum se is tarah aaya dekhkar achambhit rah gaye, karan pata laga to sab mujhe bhala bura kahne lage,
koi mujhe bewkoof, to koi mujhe pagal samajh raha tha. par mein chup-chaap apne kheti-baadi ke kamon mein lag gaya.
Shyam bhai ko bol diya ki ab mein kisi ki naukari nahi karunga.
Lambi chaudi kheti baadi thi, aadmi ki jarurat to rahti hi hai, lekin ghar ki parampara, pratishtha to naukari ko hi value deti thi,
bhale wo chahe kisi ki gulami karana hi kyon na ho.
Mene apne ko kaam mein wyast kar liya, dhyan ki kriya lagatar jari hi thi lekin sath-2 mein ab thoda bahut nashe ki lat bhi lag gayi thi jo keval bhang aur gaanje tak hi seemit thi.
me jyadatar apne tubewell par hi rahta tha, kabhi-2 apni mata ram ke darshan karne aajaya karta tha.
Gaon ke kuchh hum umra ladke mere bhakt ban gaye, jo ki iss tarah ke nashe ka istemaal pahle se hi karte they,
meri wajah se unki nashe ki quality sudhar gayi thi, jaise ki jahaan wo pahle sukhi bhang pees-2 kar khate they wahin me unhein mewa yukt aur doodh wali malaidaar maal khane ko deta.
Badle mein wo meri sewa karte, mera kaam karte. Bas aise hi maze mein din vyatit ho rahe they.
Kabhi-2 kuchh sadhu sant bhi aane-jaane lage mere pass, wo mere eshawriya gyan se prabhawit huye bina nahi rah pate they.
Mera gyan keval kitabi nahi tha, mene ye sab practical karke arjit kiya tha.
“Sada din rahat na ek samaan” ……, ghar pariwaar ke kuchh purane jhagde aur kuchh naye dushman ikatthe ho rahey they jiska bhan hamein nahi hua tha,
aur ek din aisi ghatna ghatit ho gayi jiski kalpna ham mein se kisi ne nahi ki thi.
Sardiyan shuru ho rahi thi, me apne tube well par hi sota tha 24 ghante mein ba mushkil 2-3 ghante ke liye hi gaon aata tha.
Ek raat padosi ke kheton mein tube well ka paani chal raha tha, mein kuchh nashe ki vajah se gehari neend mein soya hua tha.
ghanghor Andheri raat thi, wo banda jiske yahaan paani chal raha tha, bhagta hua aaya aur mujhe jhakjhor kar jagaya…
Arun bhaiya… utho… me hadbada kar utha aur puchha ki kya hua..? kyon itna hadbadaya hua hai..?
Wo bola- suno dekho gaon ki ore se lagataar firing ki aawajein aa rahi hain.. lagta hai kisi ke yahaan dakaiti pad rahi hai.
me ab neend se puri tarah bahar aa chuka tha, mene use puchha ki ye kab se aarahi hain to wo bola ki koi 10 minute to ho gaye honge.
Jab dhayan diya to…! O teri ki !! ye to hamare hi chhore ki taraf se aarahi thi, mene usase kaha ki tu yahin ruk me dekhta hoon, to wo bola,
bhaiya ab me yahaan akela nahi rah paaunga, me bhi tumhare sath chalta hoon, mene kaha theek hai chal fir.
Mene apna saman nikala (Khukari aur Revolver) jo usko bhi nahi pata tha ki mere pass ye saman bhi ho sakta hai.
sab kuchh acchi tarah se belt mein lagaya aur bina der kiye daud pade ghar ki ore.
Jaise-2 hum gaon ke najdeek aate jaa rahey they, tasveer saaf hoti jaa rahi thi, aur ek furlong pahle hi ye clear ho gaya ki daaku mere hi ghar mein hain.
Hamare ghar ke pichhe wale hisse mein ek second floor Bhure lal ne bana rakha tha,
Ek daaku uske hi upar tha, jiske pass ek rifle thi aur ek banda uske neeche wali chat par torch lekar idhar se udhar chakkar laga raha tha ye sunischit kane ki koi aa na jaye.
Hamare ghar se sata hua padosi ka kaccha mitti ka bada sa makan tha, jiska pichhla hissa gir chukka tha aur uski mitti se uss hisse ka platefarm dusare level se Karin 4-5 feet uncha tha,
kai baar hum wahaan se apni chat par chad jaate they, ye baat hamare alawa aur kisi ko pata nahi thi.
Rifle wale aur torch wale daku ka attention saamne ki ore hi tha kyonki hamara ghar gaon mein last mein hai,
gaon mohalle aur ass-pass ke log jinke pass aslah they wo chala rahey they, jinke jawaab mein wo daku jawabi fire karta.
Hum dono gaon ke bahar ek mandir hai bhole nath ka, uski aad mein khade ho gaye.
Mene us ladke ko ghum kar aage jaane ko bola ki jahaan sab log hain wahaan chala ja, aur kisi ko abhi batana kuchh mat.
Wo bola- tum yahaan par rah kar kya karne wale ho..? to mene kaha ! abhi kuchh kah nahi sakta… par kuchh na kuchh to karna hi padega.
Mujhe yahaan se abhi tak itna hi pata lag paya tha,
ander kon kya kar raha hai ? kitane aadmi hain ? kuchh pata nahi tha.
mene apna targrt, upar khade rifle wale ko chuna uske baad aage ka pata lagega kya situation banti hai.
Wo ladka jab wahaan se chala gaya, to me dabe paanw ghar ke peechhe aagaya aur uss kacche mitti ke makan ke pichhale hisse ke unche plate farm par jaake diwar se chipak kar sthiti ka nirikshan kiya,
andhera unko madad kar raha tha to mujhe jyada kar raha tha.
Jab mene paya ki in do ke alawa is hisse mein aur koi nahi hai, aur in dono ka attention bhi aage ki ore hi hai,
me jis tarah se bachapan se chadte aarahe they chat par usi tarah se asani se chad gaya.
Ab ye dekhna tha, ki wo torch wala torch ka focus idhar na karde.
Dum sadhe me thodi der second floor wale kamre ki diwar se chipka khada raha,
jab dekha ki wo torch wala dusare chhor par round lagane gaya hai,
mauka dekh kar mene apni saans rok ke khade-2 jump lagayi aur uchhal kar ek hi prayas mein mene second floor ki chat ke kinaare ko pakad liya.
Mene apne dono bajuon ke jor se khud ko upar uthaya, mera luck achha tha ya us rifle wale ka kharab,
wo agle sire par hi khada firing kar raha tha.
bander ki tarah uchhal kar me chat par pahunch gaya, kamar se khukari nikali aur baithe-2 hi dum sadhe uske pechhe se uski ore badhta gaya,
jaise hi me usase do Kadam ke fasale par pahuncha, ekdum gorilla ki tarah jump laga kar mein uske upar jhapta.
Mene ek sath do kaam kiye ek uske muh par apne hath ka dhakkan lagaya, dusre mein lagi khukari se uska gala rait diya.
Uske muh se awaj bhi nahi nikal paayi aur wo dusari duniya ki sair par chala gaya…
Ab uski rifle bhi mere kabje mein aa chuki thi, to sabse pahle us torch wale ko hi uda diya.
Firing to samay-2 par chal hi rahi thi, kisi ko pata hi nahi chala ki ho kya gaya.
Ab chhat ke iss portion par mere saamne koi nahi tha, ab mein sab kuchh dekh lena chahta tha.
Ab sabse pahle pata karna tha, ki kitane log kahaan-2 hain, kis position mein kaya-2 kar rahey hain ?
Uske samne wale portion mein prem chand bhai ka do manjila makaan tha, unki saari family upar hi soti thi.
unke baramade mein me yahaan se sab kuchh dekh sakta tha, lekin dhupp andhere ke karan kuchh bhi theek se nahi dekh paya…
fir bhi andhere mein kaafi der rahne ki wajah se itna anumaan lag gaya ki verandah mein teen log khade dikh rahey they.
Peechhe se jakar chhajali se hote huye unke baramade mein jaya jaa sakta tha lekin wo bhi normal condition mein jab wahaan koi khatra na ho tab.
lekin wahaan to teen-2 yamdut khade they, sabke hath mein kuchh na kuchh to hona hi chahiye.
Chhajali 3 foot unchi thi jo common aangan ke charon ore bani huyi thi, me chhajali ki aad liye huye unke baramade ke kone tak pahuncha gaya.
apne muh ko mene kapde se dhank liya tha. baramade wale badmashon ka dhyan Kamron mein ho rahe loot-pat aur aurton ke sath mar-peet ki ore tha,
mene mauke ka fayda uthaya aur furti se chhajali cross karta hua baramade mein pahunchgaya.
Pahunch hi nahi gaya second mein hi do ke gale bhi ret diye khukari se,
teesare ko lapakne hi wala tha ki wo palta aur meri khukari usake pet mein.
Cheekhna chahta tha wo ki tabhi mera hath uske muh par dhakkan ki tarah jam gaya.
Udhar jab upar se kaafi der tak firing ki awajein nahi aayi to badmashon aur gaon walon ko bhi kuchh sanshay hone laga aur wo khusar-pushar karne lage.
Ghar ke saare mard aage wale portion mein hi sote they so wo sab bahar nikal kar bhag gaye they,
aur chowk mein khule mein baaki mohalle ke logon ke sath khade khade bas badmashon ke chale jaane ka intezar kar rahey they…
aur iske alawa wo kar bhi kya sakte they…ghar mein sirf auratein hi rah gayi thi.
Ab mera dhayan Kamron mein ho rahi maar-peet aur meri Bhabhi-bhatijiyon ke saath chhed-chhad kar rahe badmashon par gaya,
saamne wale kamare mein meri vriddh chachi aur manjhale chachere bhai ki beti thi, unko char-2 badmash maar-peet kar rahey they,
jawan ho rahi bhatiji ke kapde faad dale they.
Mera gussa saatawe aasmaan par pahunch gaya, ghusate hi ek ki peeth mein khukari ghonp di dusare ka gala pakad kar jamin par patka,
aprtyashit huye hamle ne unke pair ukhad diye aur wo do bache huye badmash bhag khade huye,
abhi chhajali kud kar peechhe ki side kudane hi wale they ke mene revolver nikal kar un par fire kar diya.
Goli kiske kahaan lagi pata nahi par wo chat se peechhe ki taraf kheton mein kud gaye.
Ab me dusare wale kamre ki ore gaya usmein Bhabhi aur unki beti thi jiski sagayi karne jaane wale they agle hafte, dono ke kapde fate huye they.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.