Reading Mode
update 241
ab aaggeee…..
……………………………………………….

Uski chikh sunn dusre aaye..
Tabhi phone baj utha…”ek min bat kar lenw de…firr aana …”

“Ha darling bolo….”
Tabhi dusra gun utha kar lapka ..
Sujay ne turant furti k sath gun nikal usse suit kar diya…..

“Kya kar rai ho….”
“Saalo bola na baat kar lene de nai toh yai yai ticket kaat dunga.ek min..hold karna darling ek ko issare se pass bulaya ..par bo dar k mare aa Nai raha ta

“Abe aata hai ki utaru tere andar ..”vo dar ta huwa pass aaya “chal ghora ban ja. Ha sabash ab bolo darling…”sujay uske upar jaise vo stool ho baith gaya

“Hmm tmhari nautanki chalu hai..”
“Vo kya hai na iske binna dill nai lagta apna toh kya bna..”

“Hmm idhar ka toh kam ho gaya hai sanju kI dressing krai hai..”

“Kyukya huwa usse ..”
“Chaku lag gaya ta..”
“Abe sale hill mat disturb ho raha hai..ha toh koi major problem toh nai na …”

“Nai kuch khas nai ..”
“Acha 2 3 vala kam ho gaya raste se receive kar lena …”
“Acha tmm udhar ka kam khtm karo ab havan jari rahne ki koi jarurat nai…”

“Aree aaise kaise jarurat nai bina climax k maja kaise aayega firr..tm log aaram se pahucho mai toh full climax ka aaram se maja lunga..”sujay haste huwe bola..

“Tm nai manoge na aaradhya kitni paresan hogi..tmhe pata b hai..”

“Hoti hai toh hone do vo sab mai nai janta mujhe toh pura climax dekhna hai pahle..uske baad ki baad me dekhenge..”

“Hey bhagwan kaise nautanki baaj ho tm tmhe bhej kar galti kar di…”

“Vo toh janu bhejne se pahle sochna ta ab ek pyari papi de do fighting sighting me ji laga rahega aur firr climax b toh baki hai..”

“Bhar me jao tmm..”bhabhi ne bigarte huwe phone rakh diya..

“Kya huva bhabhi..”maine pucha …
“Hona kya hai tmhare bhaiya ki nautanki chalu hai climax dekhna hai unheee..haame hi jaldi pahuchna hoga…

Bhabhi ne gari ki raftar badha di…
…………..
“Chal b ghoree uth ja ..ha be ab decide karo laat khaoge ya goli choice tmhari hai..nai toh rasta de..”

Waha se koi na khiska ..
“Paka lathkor ho salo aa jao firr ….”

Ek ne sujay k upar chalnag lagai ..sujay side hoke us ke var ko bacha gaya aur ek laat uski pith par mar baith gaya …

Tabhi agla ne lathi se marna chaha sujay hath gaya aur lathi usike admi ko lagi ….

“Lo saalo khud ko hi maro…kaha se aisi ghatiya fight sikhi hai …”

Tabhi aakash me tejj hawaiye chalne lagi badal garaj rahe te..

“ab tum log ka time khatam kyuki climax suru honne vala lagta hai jo ki mujhe pura dekhna hai samjhe kuch nai samjhe ..abhi samjhata hu…”
Sujay unhe binaa mauka diye ek traf ko chalang lagata huwa sab k sinne me goli utarta chala gaya…

Sare admi khatam ho chukee tee…
Sujay pahuch gaya havan kund k pass …ramjih usse dekh chauka …

“Aree baithal raho sasuree ham toh climax dekhe khatir aayil rahe ..ham b baithte hai…”

Aaradhya havan kar rai ti ..bich bich me sujay ko dekhti sujay bas muskurata huva usse dekh raha ta..

Ramjih ko bara atoata lag raha ta ..”tu yaha kya kar raha hai tu ja na ghar mai aata hu…”

“Dekho nana mai chalunga toh tere sath ..nai toh yai baithunga..tu kar na jo kar raha hai…”

Ramjih daat piss kar rah gaya…

Tabhi aaradhya ne chaku utha kar apnee hath me halka chirra laga agni ko samarpit kiya..

Havaoka rukh havan kund ho gaya ta ek bavandar sa uthne laga …..bijliye tejj karakne lagi…….

Sujay aaram se baitha yah sab dekkh raha ta …

To be CONTINUED

Please complete the required fields.