update 210
ab aagee
…………………………
Di wai rukk gai chehre p uljhan ti ki ye karne kya vala hai…
Mai chalta huva lakri ko unke pass ja kar rakh diya….”aur baba ji kaise ho…”
Vo toh mujhe dekh chauke..
“Mai toh thik hu ….aur tm ye lakriya le kar kidhar se aa rahe ho…”baba ne khud ko kafi had tak sambhal liya ta….
“Ab baba apni di ki itni madad toh kar hi sakta hu na unki vajah se hi sahi aap se v nata jur gaya hamara…”…
“Matlab kya hai tmhara …”mai b unki aankhe me jhak kar bolla…
“Baba ji na toh aap bache ho aur na hi nadan toh baat ko ghumane ki vajaye sidha mudde p aata hu….”
“Ab tak ki baato se aap samajh toh chuke hogee hi ki mujhe aapki sari ram kahani malum hai toh aap yai batla do ki aapne meri aaradhya di urf kamoo ko kya pattti padha di ki vo apni maa k khillaf hi khari ho gai…”
Baba ekdam baukhla se gaiye the wai aaradhya di ko toh apnne kanno p yakin karna muskil ho gaya ta
“Yah sab jhut hai..”
“Jhut hai toh aapke pasine kyu chut rai hai…kya ye saach nai ki vo mere bare papa aur chachi jo ki ek jinn pari hai unki santan hai jinhe aapne aur chote baba ne saryantra rach kar marva daala..aur chachi jab bare papa ko di ko dikhlane k liye layi ti toh aapne unki pith me khanjar ghopa aur unhe kaid kar diya..aur unki bachi ko unse chin kar apne pass rakh liya….boltee kkyu nai…”
Chik para ta mai…..
Wo hatprabh ho kar mujhe dekhe ja raha ta…
“Tumhe ye sab baate kisne btayii….”
“Kyu chachi kya mere pass nai aaa sakti bolo toh bulla du yaha iss Waqt…”
“Are sadhuwo ka toh kam samaj ka bhala karna hota hai..par tm tmse insaniyat ki baat karna hi bemani hai itna girr gayee ki jisse pal posh kar bara kiya usike hatho usike maa ko khatm karwane chal diye…wah re sadhu wah mahan ho..aap…”maii taali bajate huwe tanj kasa..
Baba k aankho se aasu bah niklee..”mai..majbur ta…aur hu kuch b nai kar sakta mai..aagar kamoo ki maa ki bali na di toh kamo nai bachegi…iss baat se mai khud till till kar mar raha hu..iski jaan bachane k liye hi mai ye karne ja raha hu… ”
“Aaissi b kya majburi baba…”..
“Mera apna pura parivar kaha hai kiss hal me hai mujhe nai pata..ye bas wai log jante hai..mai kya karu unhone mujhse vachan liya hai ki vo tab tak surakshit rahenge jab tak mai unka sath deta rahu…”
“Aapne toh mujhe nirutar kar diya baba kya kahu..kuch samajh nai aa raha par kya vo iss trah surakshit rahengee…kass aap apni vidya ka upyog sahi disa me kartee…”
Maine prayas kiya ta par unki najar har waqt mujh p bani rahti hai batao mai kya karu…”
Sahi baat ti vo b apni jagah majbur tee..
“Acha toh aap k ghar me kaun kaun hai aur kaha the antim baaar sab likh kar dee mai dekhta hu kya kar sakta hu…
”
Ab tak di b bahar aa chuki ti jaha chupi ti..aankho me aasu liye..
Baba kuch b boll nai payee..vo mujhse lagkar ro pari…
“Di bas kariyee…rona toh unhe hai jisne hamare parivaar k sath ye sab kiya..aur mujhe maaf kariyega mai kafi pahle se janta ta ki aap meri di ho..”
Lpar tmhe itna kuch kaise pata chala vo subakte huwe bolii..”meri chachi yani aapki maa ne hi batlaya…”
Maine unke aasu saaf kiya aur baba se unke ghar ka pata aur parivar k sadasyo k naam le mai badha..
“Sanju maa se milwaiyega nai mujhe..”unhone pichee se hi mujhe bolla
“Jarur di..par pahlee baba ki paresani ka hal nikalna hai mujhee…”
Vo mujhe jata dekhti rahi…kya beet rai ti unkee dill p mai toh bas anuman hi laga sakta ta…
To be CONTINUED……

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.