update 156
Ab aagee
………………
“Maa baat mano chalo maine galti ki maafi b mangta hu par ye cd do …maI iss case ko solve karne k kafi karib hu mai bas mujhe thos sabhut ki jarurat hai aur aaj galat niyat se hi sai par usnee mujhe ye khud diya hai…”
Sanju dheere dheere chalta huwa aage aaya …
Lnai ye cd to tujhe nai millega..geeta ne abhi ye kaha hi ta ki sanju ne kavita k hath se cd le li kavita aur geeta sanju ko dekhti rah gai …aur wo chup chap ek najr sab ko dekha aur w@pas
Aa kar khat p baith gaya..
Ramesh chal kar sanju k piche aaya aur piche piche kavita aur geeta b andar aa gai..
Kisi ko ye samajh hi nai aa raha ta ki sanju kar kya raha hai…
Sanju wo cd mujhe de….ramesh ne sanju ko kaha ..
“Bhabhi khana bana gaya kya…l”sanju aaise react kar raha ta jaise usne uski baat suni hi nai..
Sanju baat maan bhai..cd mujhe de…ramesh ko gussa aa raha ta par wo gusse ko dabate huwe firr v bola
“Aree bhabhi jaldi khana do bhuk lag rai hai …sanju dekha tak nai…
Ramesh ka para garam ho gaya …
Sanju dekh mujhe gussaa mat dilla aur cd mere hawale kar…ramesh ki awaj uchi honne lagi sab hairat se dono bhai ko hi dekh rahe the…
Aapne mujhse kuch kaha……
“Tu jada banne ki kosis mat kar aur cd mujhe de…”ramesh ne sanju ko collar se pakar utha liya aankhe surkh laal ho gaii…
Sanju ek najar ramesh ko dekha aur uske hath ko jo ki sanju k gorreban par thee..
Hath ko pakar neeche karte huwee kaha “hath neeche kar k baat karo bhaiya….yaha tak aaj tak koi hath nai pahuchi ..baree bhai ho isliye kah raha hu warna…”
“Warna kya ..dhamki deta hai mujhe ….” ramesh ne sanju ko dhaka diya…
Baat se kah raha hu bhaiya chup chap thane chale jao ye cd nai millegi…”
“Cd toh mai lekar hi jaunga aur dekhta hu tu kaise nai deta ..”ramesh ne jhapata mara…par sanju pahle hi sawdhan ta..
“Dekh sanju mera hath uth jaiega mai kah raha hu cd mujhe de …”…
“Ye cd police inspector k ghar nai bhrji gaii jao apne policiya tarike se hasil karo…tab mai nai kuch karunga…”
Ltab tu aaise nai sunega …” ramesh ne ek jhanate dar chata sanju k kaan p rashid kar diya…sanju larkhara gaya…
“Apne hath ko kabu me rakho bhaiya ….”
Par tab tak ramesh ne apni bioot ki thokar mari sanju k pet me sanju jamin p girra tabhi ramesh ne uspe chalang laga di…dono ghutam ghuta ho gai …
Dono maa aur bhabhi tph buut bani dono ko larte dekhe ja raii tii…
Sanju ne b apne laat ko gasa kar ramesh ko upar uchal diya …..cd ko apnne jeans k andar khosta huwa bola …”dam hai to aao cd ko lekar dekhao ab …tumhari rago me jo khun hai wHi khun meri rago me b hai …sanju k chehre p haiwaniyat aa gaii….
Dono ek dusree ko kha jane wali najro se ghurr raii te…
Priya daurti hui maa ko hillai…”maa hosh me aaiye rokiye bhai ko….”
Tab tak dono ek dusree par kudd paree ramesh ne ek ghussa chalaya toh sanju ne usse rook liya…aur ek bharpur .ghutnne k war ramesh k pett me kar diya …
Ramesh larkharata huwa pichhee ko huwa …
Sanju ne laat chalai toh ramesh ne usse rokk kar jamin p patak diya dono firr se ghutamm gutta ho gaye …sanju ne hath nikal kar ek bharpurr mukka ramesh k jabree p mara wo larkhrata huwa ek taraf girra sanju firr se aage badha hi tha ki getta ne beech me aa kar sanju p thaproo ki barsat kar di…
“Kammine issi din k liye tujhe pall pos kar bara kiya tha ki apnee hi bare hi bhai par hath uthaye mar kyu nai gaya tu aaisa karne se pahlee …”geta roti hui sanju ko peetti rai ..sanju tas se mas b nai huwa…
“Kabita ne aage badh kar geeta ko pakra…” hpsh mee aa geeta ….ye kya kar raii haii…
“Par gai kaleje me thandak tujhee…ho gaii tasalli..bara sukun mill raha hai na tujhe ye sab kar k…”
Kavita ki kahi ek ek sabd ramesh k dill me ghus raii te…”
Wo sar jhuka liya…
Maa aap sab mujhe galat samajh raii haii …maii iss case me bhut karib hu bas mujhe thos sabut ki jarrurat hai…aur ispar jo hamla huwa aur jiss murder case me ye jail me gaya inn sab k pichee usi ka hath hai….par aap log meri baat samajh hi nai raii…”
To be CONTINUED……

