update131
ab aagee
……………..
satyanan idhar udhar dhundhta raha par uske spno ki malika usse kahi najar hi nai aa rai tii…
wo bawla ho gaya ta jaldi jaldi me chapal tak nai pahne the..fir b usse iss baat ki sudh na ti…dill ko intjar ta toh bas apne mahbub ki ek jhalak ka uss raat ussetoh usne bachaya par apna dill har baitha ta..
andheri raat me darbadar bhatakta girta parta wo nahar k kinaare ja pahucha jaha wo baithi ti….
usse b sayad usika intjaar ta..
aap hamesa yu hi raat me hi gumti ho kya ….shipra jaise iss awaj se sotte se jagi hotho p bas muskurahat aa gaii…
hmmm par aap itni raat ko kya kar rai hai…wo b andheri raato me..shipra itna kahte huwe palti…
styanan ki fullii hui sase dekh kar sipra ko hasi aa gai
aap itna haff kyu rai hai..
aapko hi dhund raha ta…
mujhe…shipra mand mand muskaate puchti hai ”par kyu…ham toh jada mille b nai…”
stayanan iss prasan se baukhla gaya…woo..woo apne apna nam b toh nai btayaa ta na..
nam k liye bas …”..hal toh shipra ka b wai ta..jo satyanan ka ta par wo usse satana chahti ti..
ha wo asal me sahi se jaan pahachan b nai hui aur pata nai kaha chali gaii…stayanan uske pass aata huwa bola..
kya karenge mere bare me jan kar..janne k baad kahi bhag hi na jaiyee..
shipra ki aankho me ek gahrai ti jo sayad uske dill k hal ko baya kar rai tii..
itna kamjor b nai hu..dekha nai ta kya uss din apne..stayanan mushkurata huwa bola..
”ham dekha b ta aur bachaya b ta…”..shipra hastee huwe boli..
satyanan toh bas chup chap uske cahnd jaise mukhree p chai iss hasin muskurahat ko hi dekhe ja raha ta..
kaha kho gaii ..usdin b aaise hi aur aaj b …
koi itna hasin kaise ho sakta hai…styanan yu hi budbudaya ..
kuch kaha aapne….shipra k puchne p satyanan boukhla gaya
nannanan……nai to
thik hai chalti hu ab mujhe jana hoga…shipra uthti hui boli…
stayanan ka dill baith gaya..acha fir kabaayiengi ..
agar milna huwa toh mill hi jaiengee.. shipra itna jawab de aankho se ojhal hoti chali gaii…
satyanan aur shipra yuhi aksar raat memilne lagee..dono k bich din par dinn ye pyar gahri hoti chaligaii..
samai dekh shipra ne yah bbatla diya ki wo koi aaminsan nai balki ek jinn pari hai…
par styanan toh uske pyar me bawla ho chuka ta wo kaun hai kya hai usse usse kuch lena dena hi nai ta…
idhar shipra p jinn lok me sadi ka dabav badhnelaga …par wo pyar satyanan se karne lagi ti..ek din dono ne ratri me gandharv vivah kar liya…
Kitna hota na aaj agar ham dono ko agar baro ka aasirwad millta …satyanan k dill ki baat otho p aa gai..
chahti toh mai b yai hu ….par ye sambhav nai hai aapko samajhna hoga…
thik hai jaisa tum kaho…satyanan ne bujhe man se hi swikirti de di..
mujhe maaf kariyega par meri majburi hai..aaj aapko ye vachan dena hoga ki aap hamre baat ko kabhi kisi se nai kahenge…agar aaisa huwa toh mai firr kabhi nai aayungi..
shipra nam aankho se ye baat kahi..
chup pagal mai tumse alag ho kar ji b nqi paunga ek tm hi to ho jo muujhe samajhti hoo….
isi trah ki kasme vaado me unka naya dampatya jeevan suru hogaya harr raat styanan kpass shipra aaya karti aur subah ujala honne se pahle chali jaya karti…..
issi bich ek raat shipra ne batya ki wo garbhwati haii.satyanan ki khusi ka thikana nai ta….
usse laga use aaj jivaan ki sari muraade puri ho gaii
wo apnii khusi sab mebatna chahta ta par kahe toh kaise kuch batane se toh shipra ne mna kiya ta aurwo usse khona nai chahta ta…
par fir v kissi bahane se hi sahi stayanan ne sabka muh mitha karwaya..
samai kuch aur nikla toh stayanan p sadi ka dabav parne laga
wo talta raha par ek dinn majbur ho karmaa ko batana par hi gaya…ki usne sadi kar rakhi hai aur wo b jinn pari se …
maa par toh mano bajrapat huwa ta ki ye kya kah raha hai…
unke sapne bikhar gaii tee..
par wo raat styanan p bhari pari jab shipra ne kaha ki wah aaj k baad nai aayegi…….
wo chali gaiiee styanan akella khoya khoya rahta uss raat maa ne shipra ki mahak ko mahsus kiyatha kyuki wo kamre k bahar hi khadi ho kar unki sari baate sunn raii tii fir shipra ko jate b dekha..
teeno k aankhe nam te..
satyanan toh jaise hasna bolna bhull gaya ta bas machine ban kar rah gaya…..
andar hi andar khokhla hota gaya pita ji puchte par wo kuch nai kahta bahno ne janna chaha par har baar wo bas baat ko taal deta..
samai bitta gaya aur shipra ne ek nanhi pari ko janm diya …jo hu bahu maa par gaii tii..
wai nayan naksh aur ruup..
jinn lok me har traf khusiya mnai ja raii ti har koi khush ta ..aakhir unhe apna utradhikari jo mill gaya ta..
par shipra jaha ek orr kush ti toh dukh b ta har raat usse kaato k saman lagte jab se styanan se alag hui ti ek pal ka b chain nai milla raat bas karwat badalte hi gujarti
aakhir dill se majbur ho shipra ne aakhri baar satyanan se millne ka faisla kar hi liya..
wo apni pyari gudiya ko good me liye chal pari..
maharani..”kaha ja rai ho beta itni raat gaye…”
shipra k badhte kadam thithak gaye..
shipra …maa mai unse millneja rai hu…”
maharani…pagal toh nai ho gai tum ye jante huwe b ki tumhara waha jana khatre se khali nai tum iss bachi ko lekar ja rai ho….mai tumhe mna nai kar rai millne se par khatra jante huwe b jana beta ye kaha ki samajhdari hai…mat bhullo tumhare hath me bas vartman hi nai balki iss rajya ka bhavsiya b hai…”
shipra ..par maa mai isse apnee pita se millane ja rai hu …unki trap mai janti hu…kitna trap rai honge wo apnne bache se milnee k liyee..bas maa bas ek bar
maharani…nai hargij nai iss waqt toh bilkul b nai..
shipra …maa bas aakhri baar apni beti ki baat man lo mai iska khayal rakhungii..mai vachan deti hu bhalle hi meri jaan kyu na chali jaye par isse kuch nai hoga..
maharani….tum samjhti kyu nai beta mujhe tm p pura viswas hai..apni beti ko yu trapta dekh kya mai khus hu ya khus rah paungi…par jo khatra isspe hai isliyemna kar rai beta ..
maharani k aankho me b aasu aa gaye…
shipra apni maa k charno me girr kar ro parii…
ek baar maa bas ek mujhe mill lene do mai unhe iska chehra dikha wapas letii aayungi…..aapni jaan se v jada sambhal kar rakhungi …
aakhir maa ka dill apni beti k rudan p kab tak virodh karta
thik hai beta ..maharani shipra k aasu pochte huwe bolii…ja mill le par koi b khatra ho toh turant sandeash bhejna …
shipra ka man khusi se jhum utha wo maa se lipat ro pari..maharani pyar se thapki de usse vida kiya..
……..to be continued

