Update 118
Ab aagee
……………….
“Aap meri chachi ho…”bara hI dara huwa ta maii. Fir b unke sundar mukhre p ek ajib si chata ti…
“Ha kah sakte ho…par sant baithoo daree kyu ho ..mai tumhe kuch nai karungii..”…unke bolne p bi dill se dar tha ki jaa hi nai raha ta..
“Aap fir hamare sath kyu nai rahii..”…
“Mere bete idhar aaoo…(mai darta huva unke pass gaya )baithoo..” hath pakar passs hi baitha liya mujhee..
Unke itnne pass baithne se unkee badan ki khusbu mere puree tan badan mejaisebas gaii..aankhe bandkiye mai yu hi unn khusbu mekho gaya kab unka hath mere sar p aaya pata nai chala..wo bas pyar se mera sar sahlati rahiye aaisa aspars ta jisse mere badan se sari darr gayab hoti gaii aisa ahsas bas maa ya fir dadi ki hi good memilta ta mujhee..
“Mere apni majburiya hai bete mai tumlogo k sath chah kar b nai rah saktii…”
“Par aap toh hamari chachi ho na fir kyu nai rah sakti…” mere aankho me iss sawal ka jawab bari salinta se unhone diya ..unki nigah firr se pani me kI orr isthir tii..
“Mera apna alag sansar hai beta ..mai yaha nai rah saktii..insano k sath jinn nai rah saktee..aur tumhari dadi mujhe kuch aur samajhti hai. Par inme unka b dosh nai koi v maa yai samjhegi jo wo samajhti haii…”
Mere palle toh kuch parr hi nai raha ta aakhir wo kya kahna chahti haii..
Mere chehre p chaiyee iss asmanjas ke bjav ko unhone bakhubi jaan liya…
Mere baalo ko uljahate huwe unhone mujhe ghurte kaha..”kuch nai samajh aaya…”
Mai ne b bina kuch kahe na me sar hila di..
“Hmm apni dadi se puchna….aur ek baat aur krishna ka b..”
Krishna ka namm sunn mai jhat unke samne aa kar unke pairo ka passs agaya ..
Aaj unhone mujh firr se wo baat yaad dilla di jo mere dimag se utar vgaii tii.
“Aapko krishna ka kaise pata ..maine toh kuch kaha b nai..”
“Mujhe bahut kuch pata hai aur baki v jo tumhe nai pata par sab ka jawab samai p milna chahiyee….aur sahi vyaktii se…”..unke chehre p wai manmohak muskan chaii tii…
Kuch samai tak bas mai wai baitha raha …
Par wo dheeredheer na jane kab meri aankho seojhal hoti chali gai antim jo mai bas dekh paya bas wo yai ta ki wo paani p chalti huyi nahar k tik bich gai..aur dheere dheer pani k andar samati chalii gaii…
Jab hosh aaya toh wo kahi nai dekhi..mai bechain idhar udhar dekha par wo hoti tab toh millti..
Wo toh waha se chali gaii par mujhe aur uljha gaii…paresani kami nai aurb badh gaii..aur ye krishna hai kaun …
Apni swallo me ljha mai ghar ki traf ho liya..
Darwaja khol andar chala aaya …maa didi dadi so raii tee..
Khat ki char marrane ki awaj se maa kI aankh khul gaii..
“Kaha se aa raha hai baua ..”…wo maa bas bahar gaya ta pani peene aap so jaiyee..
“Idhar aa “maa meresar p thapki detti mujhe sullane ki kosis kar raii ti par unkee bojhill palke khudd hi band ho gaii…mai b firr dheere dheere nind ki aagos me khota chala gaya…usi trah maa se lipat kar..
To be CONTINUED…….

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.