UPDATE 22
Recap –
AANCHAL:
Chal ab mujhe kuch shopping karni he…
(wo bike ki aur badhte hue boli)
Me bhi uske peeche chal diya…Aanchal ke is change rawaye ke bare me sochta hua…
Ab aage –
Ham dono bike se Aanchal ke btaye hue ek mall me aa gye…
AANCHAL:
Mujhe na kuch dresses leni he…chal udher
(unse ishare se btaya)
Ham dono ek shop me enter hue…
SALESGIRL:
Ji mam kya madad karu me aapki…
AANCHAL:
Mujhe single piece dress dikao…
Salesgirl Aanchal ko dress dikhane lagi…me bhi wha uske paas hi khada tha…
AANCHAL:
Ye dekh kaisi rahegi
(usne dress mujhe dikhate hui bola)
Mene dress ki aur gor kiya…aur use Ok ka isara kar diya…
SALESGIRL:
Mam aap change karke dekh le agr chahe to…
Aanchal ne hami me gardan hilai aur dressing room me chali gyi…me bahar khada hua tha…ki Aanchal dressing room se bahar aai…
AANCHAL:
Kaisi lag rhi he
(usne mujse pucha)
Ek pal ko to me usme kho sa gya tha…wakai me Aanchal begad sundar lag rhi thi…black color ki dress uske jism par bahut fab rahi thi…
AANCHAL:
Are kuch bolega bhi ya nahi
(mujhe na bolta dekh wo boli)
ME:
Sexy…
(anayas mere muh se nikal gya)
Mujhe lga tha ki meri baat sunker shayad Aanchal naraz ho gi…par jab uski aur dekha to use muskurate paya…
AANCHAL:
Thank you sir
(ek shokhi se usne bola)
Aur fir wapas ander chali gai…usne wo dree pack kara li…aur hum dono showroom ke bahar aa gaye…
ME:
Ye dress kis khushi me li tune
AANCHAL:
Club me ek function he kuch dino baad…socha ab tere saat bahar aai hu to dress hi le lu…chal ab kuch khate he mujhe bhuk lagi he….
Jo baat mujhe ajeeb lagi aesa kya function aa gya club me…par use pucha nahi…socha aaj jab wha jaunga to pta lag jayega…
ME:
Are abhi to khake aai thi…itna khayegi to moti ho jayegi…mujhe to abhi bhi tu kuch moti lag rhi he…hahaha
AANCHAL:
Acha bachu me tujhe moti lagti hu
(usne mujhe gudgudi karni chalu kar di)
Me bhi jhut mut has diya…fir hum food court me aa gye…aur Anchal ne halka fulka order kar diya… hum dono wo khane lage…
AANCHAL:
Aacha to tujhe me us dress me sexy lag rhi thi…hihihi
ME:
Are nahi wo to wese hi mere muh se nikal gya…
(me sharmate hue bola)
AANCHAL:
Aaye haye…dekho to gaal laal hogye tere…bachu tujse 4 saal badi hu… khub janti hu tu kab kis bhav se bolta he…hihihi
(usne mujhe chedte hue bola)
Ham dono ne aese hi masti mazak me khana kha liya…aur mall se bahar aa gye… abhi hum bike par bethne wale hi the ki…”chodo mera haat” ye awaz mere kano me padi… mudkar dekha to wha ek dadi wala admi ek 11-12 ki ladki ki kalai thame hue tha…
ADMI:
Itna pyaar karta hu me tere se baat kyu nahi karti…
Wo ladki haat chudana ko jhatpta rahi thi…uske saat khadi uski saheli…bhi us admi se haat chodne ko bol rhi thi…par wo nahi man rha tha…
AANCHAL:
Are chal kya dekh rha he udher…wo gunde he unka rooz ka kaam he ye…chal tu jaldi…
Me bike se neeche utra…Aanchal mujhe hi dekj rahi thi…mene chalte hue paas ki stall se ek kanch ki botel utha li… aur seedha bina kisi dialogue delivery ke us admi ke ser far fod di…boltel ser par futte hi wo ‘aaahhh’ chilate hue…zamin par gir pada…
ME:
Tum dono ab jao
(un ladkiyo se mene bola)
Wo dono ascharye se meri aur dekh rahi thi…aur fir gardan ‘ha’ me hilakar chali gai…us admi ke saat jo 2 admi the mujhe dekhte rhe gye…aur me aaram se chalta hua wapas bike par aa gya…Aanchal mujhe aankh fade dekh rahi thi… me bike par beth gya aur Aanchal ko bhi bethne ka isara kiya wo bhi bina kuch bole beth gyi…mene bike sadak par doda di…
AANCHAL:
Ye kya harkat thi teri…mene tujhe bola tha ye gunda gardi karni he to chala ja
(wo gusse se boli)
Me chup-chap bike chalat rha…
AANCHAL:
Bol ab chup kyu he…
(usne fir gusse se bola)
Mene bike side me rok di…aur use uter gya…wo bhi mere samne khaid ho gayi…
ME:
Agr un ladkiyo ko jagah tu hoti to kya fir bhi yehi updesh deti mujhe…
(mene sanjeeda hoker bola)
Meri baato ko sunkar wo kuch na boli…mere khane ka matlab saaf samaj gyi thi wo…
ME:
Ha mujhe pta he ye sach he ki aaj mene unhe rok diya… par shayad kal wo ye harkat fir dhoraye…aur us waqt me wha mojood na hu… par me is taseli ke saat to jee sakunga ki mene apni aankho ke samne kuch galat nahi hone diya… agar har ek admi apni shamta ke anuroop us waqt himat karde kisi ki madad karne ki jab unhe sabse zada zarurat ho…chahe bhale hi uske baad wo madad na kar paye…to duniya me bura karne wale logo ki kamar tut jayegi…jaise boond-boond pani se samundar bharta he…usi taraf boond-boond neki se sansar sudharta he…
Ye bolker me wapas bike par beth gya…Aanchal bhi chup ke beth gyi…wo meri baato ko ache he samaj gyi thi…aur ham log wapa ghar aagaye…
ME:
Acha me thodi der me aata hu
(use drop karke me bola)
AANCHAL:
Ab tu kha ja rha he
ME:
Kisi kaam se bahar ja rha hu
(me ye bolker nikal gya)
Me seedha ek telephone booth par pauncha…aur jo number mene liya Jagbeer Singh Sandhu ka use dial kiya…
ADMI:
Hello
(do ghanti ke baad ek admi ne phone utha kar bola)
ME:
Ji kya Jagbeer singh sandhu se baat kar sakta hu…
ADMI:
Ji aap kon bol rhe he…aur ye number apko kha se mila…
(usne saki bhav se pucha)
ME:
Ji mera naam Raj he…aur ye number mujhe unke ek paper se mila…kya me unse baat kar sakta hu…
ADMI:
Acha…rukiye me unse puchta hu…hold kariye
Karib 2 minute baad…ek dusra admi phone par aaya…
ADMI:
Hello…kon bol rha he
(uski awaz kuch bhari si thi mani tabiyat kharab ke waqt hoti he)
ME:
Ji mera naam Raj he…Kya aap Jagbeer singh Sandhu bol rhe he?
ADMI:
Ha bol rha hu…par me to kisi Raj naam ke admi ko nahi janta
(usne 2 minute ki chupi ke baad bola)
ME:
Sir aapne theek kha hum phele kabhi nahi mile he… darsal mujhe aapka number aapke research paper se mila jo aapne “dmitri vladimirovich” ke saat likha tha…
Mere ye bolte hi usne phone kaat diya…jo kafi ajeeb bat thi…mene fir se phone lgaya…par kisi ne nahi uthaya…aese hi mene 4 bar phone lgaya… par koi safalta nahi… mene 5 baar akiri try karne ki sochi aur phone mila diya…is baar meri kosis kamyab rahi…udher se phone picj ho gya…
ADMI:
Me kisi dmitri vladimirovich ko nahi janta hu
(usne ghabrat ke swar me bola phone uthate hi)
ME:
Sir unke saat apka paper he…aur fikar na kare me aapko koi nuksan nahi pochaunga… mujhe sirf kuch question ke answer chahiye the…please meri madat kar ye meri zindagi ka swal he
Kuch waqt udher khamoshi rahi…
ADMI:
Tum kha se bol rhe ho…
(ladkhadati awaz me wo bole)
ME:
Ji me Goa se baat kar rha hu
ADMI:
Hmm…kyu jana chate ho dmitri vladimirovich ke baare me…
(abhi bhi ghabrahat saaf thi awaz me)
Abhi mene bolna hi shuru kiya tha ki us admi ne rook diya…
ADMI:
Ruko ye sab baate phone par karna safe nahi… agar tumhe apne swalo ka jwaab chahiye to Jalandhar aa jao…
(ye bolker usne phone phele wale admi to de diya)
Ek number likho…ye mera number hoga Jalandhar ponch kar mujhe phone kar dena…
Us admi ne ek number bola jo mene note kar liya…aur fir phone kar gya…ab Jagbeer singh se baat karke…aur unki awaz me dar dekhkar guthi aur ulaz gyi thi…kher ab is guthi ko suljane ke liye Jalandhar to jana hi hoga…fir me wapas ghar ki chal pada…ye socte hua akhir Jagbeer singh aesa kya btana chate he jise phone par nahi bol sakte…
To be continued…
