Update 81
Contd :-
“theek hai.. lekin is bachi ko hum nahin paal sakte, toh ab yeh bachi palegi hamari nazar mein hi.. lekin hamare ghar nahin.. kahin aur” Simi ne mujhe apna faisla sunaya.. Main us waqt kaafi pareshaan tha toh simi ki haan mein haan bhar di… Dusre din jab roza ko pata chala ke uske pati ki maut ho chuki hai, aur uski ek bachi bhi gayab hai toh woh bhi hospital mein foot foot ke rone lagi.. Kaafi waqt baad jab roza ne khud ko sambhaala, tab simi ne roza se baat ki
“Roza… hum tumhein aise nahin dekh sakte…. Isliye rakesh ne tumhare liye ek flat kharida hai, dosti ka farz nibhane do humein pls.. aaj se tum wahan rahogi, aur is bachi ki parvarish bhi hamari nigrani mein hogi..”Simi ne roza se kaha, lekin use ab tak nahin bataya ke rocky ki maut aur paison ka zimmedaar main tha.. Roza ne kaafi der hamari baat nahin maani, par ant mein woh hamare diye hue flat mein rehne lagi.. Maine hawale mein jo ek crore lagaya tha woh 9 mahine baad 3 nahin, balki 4 crore hua.. 1985 se leke 1995 tak main us 3 crore ka 300 crore bana chuka tha.. Pura ka pura Black….
Roza ki bachi meri bachi thi, isliye uski shaadi tak ki zimmedaari maine nibhayi… Aaj se kuch 4 mahine pehle jab mujhe aur simi ko pata chala ki roza bhi bas maut ke nazdeek hai, tab hum usse milne pahunche.. Marte waqt bhi roza hamara shukr mana rahi thi ke humne uski itni madat ki… Jab simi se dekha nahin gaya, toh roza aur uski ladki ki maujudgi mein simi ne unhe sari sachai bata di… Yeh sab baatein sun roza ka toh maano jaise dil ho bandh ho gaya ho… hamari baat sunne ke kareen 10 min baad roza ne apni aakhri saans lee.. Bachpan se leke aaj se 4 mahina pehle tak, humne roza ki ek ladki ko pala , posa aur use har woh cheez di jo uske liye zaruri thi aur ashwasan rakha is baat ka ke use kabhi ehsaas na ho ke uske sath sautela vyahvahar hua hai…
Is vakya ke baad Rakesh khamosh ho gaya tha… Usne fir se apne specs pehen liye aur bharat ko dekhne laga…. Yeh sab sun ke bharat ko vishwaas nahin ho raha tha ke rakesh ka past itna kaala tha…Bharat ne puri baat ko hazam karne ki koshish ki, lekin fir ek jagah pe aake uska dimaag ruka aur usne rakesh se kaha
“Dad… Aapke partner ki biwi ki do ladkiyan… Ek ki shaadi aapne karwayi, aur shayad usi ki maujudgi mein aapne roza se sachai kahi thi.. Right ” bharat ne bade hi calculative tareeke se kaha
“Yes son.. Right..” Rakesh ne bhaari awaaz se kaha
“Ok dad, toh jo bachi aapne churai..woh aapne kaha ke mom ne use palne se mana kar diya, lekin woh pali aapki nigraani mein hi.. Toh fir woh ladki kahan gayi…” Bharat ne apne shabdon ko apni jagah pe rakhne ki koshish ki… “Aur dad…. isse pehle please aap mujhe bataiye, yeh sab mujhe aap aaj hi kyun batana chahte the…” Bharat ne bade ashcharya chakit hoke pucha
“Bharat, tum mein main khud ko dekh raha hun.. Paise ki maya mein jaise main andha tha waise hi tum ban gaye ho.. Jaise maine kabhi doston rishtedaron ki parwah nahin ki, tum bhi waise hi kar rahe ho.. Har woh cheez jo main apni jawaani mein kar chuka hun, tum bhi theek us rah pe jaa rahe ho.. Farak yeh hai ke maine sab kaam black kiya tha, aur tum corporate culture mein jaake white collar mein kar rahe ho..” Rakesh ne bharat ki aankhon mein dekh kaha
“Come on dad… Main kisi ke kandhon pe ya kisi ke vishwaas ko maar ke upar nahin jaa raha…” Bharat ne bhi barabari banate kaha
“JPM India ke sales figure kaise nikale tumne.. Main achi tarah janta hun bete…” Rakesh ne ek shaitan hasi ke sath kaha.. Rakesh ki yeh baat sun bharat khamosh raha, lekin use yeh samaj nahin aaya ke rakesh ko kaise pata chala in sab ke baare mein.. use bharosa tha ke shalini kabhi kisi se yeh sab baatein share nahin karegi…
“hairaan nahin ho bharat. baap hun main tumhara, aur tumhe kya lagta hai, hawala ke dandhe mein mera kaafi strong network tha… Vikram Kohli bahut purana khiladi hai in sab ka… Vikram Kohli mujh se pehle hawale ke dhandhe se nikal chuka tha.. Agar woh corporate mein hai toh bas duniya se apna kala dhan chupane ke liye.. Agar tum mere bete na hote toh Vikram kab ka apni chaal chal chuka hota, lekin jaise hi Vikram ko pata chala ke tum mere ladke ho usne mujhse baat ki aur mere kehne pe hi woh ab tak khamosh hai…” Rakesh ne bharat ke kandhe pe hath rakh ke kaha
“Dad woh khamosh hai ke nahin, woh kahani main aap ko baad mein batata hun.. Par usse pehle mujhe bataiye.. Kahin un do ladkiyon ka naam is list mein sab se upar toh nahin” Bharat ne Rakesh ko uski banayi hui list hath mein dete hue kaha

