Update 86
Samay kabh nikal jatah hai kisiko nahi malum hota.Office ke kaam karte karte aur ek mahina guzar gaya.Aab Komal aapni study mein dhyan de rahi thi.Usko study karte dekh kar mujhe bahot acha lagh raha tha.Office mein bhi mujhe acha laghne lagah hai.Kaafi kuch sikh raha hoon main jo ki age chalkar mere liye acha hoga.
Subah uthkar office jane ke liye main naha raha tha ki mujhe masti karne ka khumar chadh gaya.Main aapna towel kamre mein phenk kar Komal ko bulane lagah.
Main- Komal Komal.
Woh nahi ayi.Shayed sunah nahi.Iss baar main jor se usko fukara.
Main- Kooooomaaaaall.
Komal- Ji ayi.
Phir kuch der baad Komal kamre a gayi.Woh bathroom ke karib akar puchi.
Komal- Kya baat hai?
Main- Woh main towel nahi laya.
Komal- Tum bhi na bina towel ke ghus gaye.Ruko main deti hoon.
Phir kuch der baad woh boli.
Komal- Are yeh kya towel toh bed mein padah hai.
Main- Woh shayed main lana bhul gaya.
Komal bathroom ke pas ayi aur main darwaza khol kar usko khinch kar andar le liya.Upar se shower chal raha tha.
Komal- Are yeh kya kar rahi ho.Chhodo mujhe dekho main pura bhig gaya.
Main Komal ko aapni bahon mein bharke bola.
Main- Are aapni biwi ko pyaar kar raha hoon.
Komal- Acha ji yeh konsa tarika hai pyaar karne ka.Office nahi jana kya.
Main- Tum kahon toh aaj nahi jatah.
Komal- Koi jorurat nahi hai.Tum office jao wohi thik ho.Ghar rahoge toh bahot badmashi karoge.
Main- Abhi ke liye toh thoda badmashi kar leta hoon.
Phir main Komal ke honth mein kiss karne lagah.Main Komal ka honth choos raha tha par woh kuch nahi kar rahi thi.Phir woh bhi mere kiss ke age pighalne laghi.Woh bhi meri sath dene laghi.Main aur Komal kho gaye aapni kissing mein.Phir saans jabh hum dono ka phul gaya tabh jakar kiss toda.
Komal- Chalo aab mujhe jane do.Khana bhi banana hai.
Main- Are yaar yaha main tumhe pyaar karna chahta hoon aur tum pucha chudana chahte ho.Ladkiyon ko shikayat rehti hai ki husband samay nahi deta lekin main tumhe samay de raha hoon toh tum lena nahi chahti.
Komal meri baat sunkar has padi.
Komal- Main unn ladkiyon se nahi hoon.Main chahti hoon pyaar ke samay pyaar karo aur kaam ke waqt kaam.
Main- Patah nahi mera kya hoga age chalke.
Komal- Wohi hoga jo manzure khuda hoga.
Yeh bolkar woh aapni kapde utarkar towel pehenkar bahar chali gayi aur mujhe bhi dusra towel de di.Mujhe toh bahot mann tha par kya karen.Chalo bhai office chalte hai.
Phir main suit pehenkar tyaar hone lagah tabhi mere nazar calendar mein padah.Oh shit aaj toh mera result dene wala hai.Main toh pura bhul hi gaya tha.Chalo college chalte hai.Tabhi mere mobile mein office se phone aya ki ek important meeting hai 1 ghante mein.Chalo pehle office jata hoon phir college chala jayonga.
Main jaldi se tyaar hokar niche a gaya.Mujhe hadbadate huye dekh kar Komal puchi.
Komal- Kya baat hai.Tum itna hadbadh kyu rahe ho.
Main- Are yaar aaj mera result dene wala tha lekin main bhul gaya aur 1 ghante mein important meeting hai.
Komal- Toh phir main office chala jata hoon na.
Main- Are nahi woh meeting sirf main hi attend kar sakta hoon.Tum fikar maat karo office se college chala jayonga.Ok bye.
Komal- Are nashta toh karlo.
Main- Office mein kar lunga.
Komal- Nahi tum yehi karoge.
Aab kya kar sakta hoon.Main behes karke samay barbad karna nahi chahta tha.Main jaldi jaldi khana khatam kiya aur bahar ke taraf jane lagah ki Komal piche se mujhe pakad liya.Main ghumkar dekha toh woh kaafi dari huyi lagh rahi thi.
Main- Are kya huya.
Komal- Tum aaj maat jao.Mujhe acha nahi lagh raha hai. Mujhe aisa lagh raha hai jaise tumhare sath kuch bhura hoga.Mera dil ghabra raha hai.
Main thoda muskurate huye bola.
Main- Are pagli aisa kuch nahi hai.Kuch nahi hoga main gaya aur aya.Ok.
Phir main usko babhone mein bharkar mathe mein ek kiss kiya phir main car nikal kar office ki or jane lagah.Office akar main meeting mein busy ho gaya.Ek naya client hai jo hamare sath buisness karna chahte hai.Akhirkar meeting khatam huya aur deal bhi sighn ho gaya.Meeting karte karte 12 baj raha tha.Main jaldi jaldi car nikal kar college chala gaya.College akar dekha toh bahot sare students aya huya tha.Sabh logh notice board ke taraf jama huya tha.
Main bhi waha chala gaya.Waha pe mujhe Varun dikhai diya.Main usko bola mera dekhne ke liye.Woh bhidh ko alagh karke dekhne lagah.Main janta tha ki main pass ho jaunga bas janna tha kitna mila hai.Phir woh mere pas akar bola.
Varun- Are bhai mubarak ho tujhe 94% mila hai.
Main- Kya sach.
Varun- Are haan bhai sach.
Main- Manisha ko kitna mila hai.
Varun- Usko 90% mila hai.
Main- Are waah acha mark mila hai.Baise woh kahan hai.
Varun- Woh toh ghar mein hai.Main a gaya result janne ke liye.
Main- Woh acha.
Varun- Acha chal canteen mein beth te hai.
Main- chal.
Phir hum dono akar canteen mein beth gaye aur chay peene laghe.
Varun- Toh boss age kya karna hai.
Main- Kuch nahi bas buisness sambhalunga.
Varun- Are age nahi padega kya.
Main- Nahi yaar buisness sambhalne ke liye koi nahi hai. Jitna padah hoon kafi hai.
Varun- Chal koi baat nahi.
Phir hum kafi der waha par betha raha phir hum dono ek dusre se alvida kehkar aapne raste nikalne lagah.Main aaj bahot khush tha.Mujhe jaldi se Komal ko news dena tha.Main raste mein utra Komal ke liye phool lene ke liye.
Main ek rose ki ghuldasta lekar car ki taraf a hi raha tha ki ek gun shot ka awaaz huya.Goli sidha mere seene mein lagah.Main girne se pehle dekha do aadmi helmet pehenkar gun lekar khada tha.Phir main niche gir gaya aur mera ankh band ho gaya.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.