Update 69
Kabhi kabhi hame aise aise khabar sunne ke liye milte hai jiski hum kabhi kalpana nahi ki hote.Sabhke zindaghi mein aisa din ata hai.
Komal bas routi rahi.Kuch nahi bol rahi thi.
Main- Are bolo na.Kya kahan munimji ne.
Komal- Woh Dadi ki tabiyat kharab hai.
Yeh baat sunkar main pareshan ho gaya.Par main janta tha mere Dadi ko kuch nhi hoga.
Main- Are rou maat.Dadi ko kuch nahi hoga.Jabh main unke pas jayonga na sabh kuch thik ho jayega.Chalo jaldi se packing karlo.
Komal mere baat sunkar mere gale lagh kar roune laghi.
Main- Are tum rou kyu rahe ho.Chup ho jao.Kuch nahi hoga Dadi ko.
Main yeh baat toh Komal ko bol raha tha lekin mere ankhon se bhi asu nikalne lagah.Phir main Komal ko alagh kiya aur dono milkar packing karna shuru kiya.Hum dono bas rou rahe the.Phir hum hotel se checkout kiya.Taxi se sidha airport pohonch gaye.Waha jakar ticket kiya.Adhe ghante baad hamara flight tha.Main aur Komal bethkar intezar karne lagah.
Komal merr kandhe par sar rakhkar bethi huyi thi.Main bas Dadi ke bareme soch raha tha.Kaise hogi Dadi.Phir announcement hone lagah.Hum dono uthkar flight mein beth gaye.Pure flight mein hum dono bas chup chap tha.Kisike muh par ek lafz nahi tha.Kaise itna samay beet gaya ki hum Shahar2 akar pohonche.
Flight se nikal kar hum airport ke bahar pohonch gaye.
Main- Komal Dadi kis hospital mein hai.
Komal- Ghar pe.
Main- Ghar pe? Hospital kyu nahi laya.
Komal- Tum ghar chalo.
Aab mujhe kuch ajib lagh raha tha.Agar tabiyat kharab hai toh hospital kyu nahi le gaya.Main ek taxi sidha gaon ke liye liya.Taxi mein bethkar main chup chap betha huya tha.Lekin aab Komal roune laghi.
Main- Are kya huya tum rou kyu rahe ho.Dekho Dadi thik ho jayegi.Unko kuch nahi hoga.
Komal mujhse lipat gayi.Aab mujhe darr laghne lagah.Akhir baat kya hai.Yeh itna rou kyu rahi hai.Jaise jaise ghadi chal raha tha baise mera heart beat badh raha tha.Karib 2 ghante baad hum hamare ghar ke pas akar ruke.
Aab ghar ke bahar ka manjar dekh kar main ghabra gaya.Itna sara logh ghar ke bahar kya kar rahe hai.Main ahista se taxi se utra.Taxi se utarkar main dhime kadam se andar ke or chal pade.Jaise jaise main badh raha tha baise mera dhadkan badh raha tha.Komal bhi mere sath chalkar a rahi thi.
Jabh main hall mein a pohoncha maine dekha koi hall mein leta huya tha.Main pas chala gaya.Pas jatey hi main jamm gaya.Yeh kya dekh raha hoon main.Mere ankh yeh bishwas nahi kar raha tha.Mere pairon taale zameen khisak gaya.Kuch der aise hi main dekhta raha.Dadi safed kapdo mein lipti huyi sou rahi thi.
Main unke pas jakar beth gaya.Unko uthane lagah.
Main- Dadi aap yaha sou kyu rahe ho.Zameen par kyu soyi ho.Utho na.Dekho main a gaya.Aapki Veer a gaya.
Tabhi Komal mere pas akar beth gayi.
Main- Komal Dadi ko uthne ke liye bolo na.Acha nahi utho mujhse baat toh karo.
Komal- Woh aab kabhi nahi uthegi.Woh hame chodkar chali gayi hai.
Main ek thappad mara Komal ko.Woh zameen par gir gayi.
Main- Khabardar agar mere Dadi ko mujhse chinne ke koshish kiya toh.Mere Dadi mujhe chod kar nahi ja sakti.Dadi aap uth jayo phir Komal ko bishwas ho jayega.Uth jaona Dadi.Dadi aap nahi uthenge kya.Main aapse baat nahi karungi.Uth jaona Dadi.
Divya bua mere pas akar mujhe gale se laga liya.
Divya Bua- Beta samal khud ko.Tere Dadi tujhe chod kar kahin nahi gayi hai.Woh aram kar rahi hai.
Bua ke gale laga te hi main bilakh bilakh kar roune lagah.
Main- Bua Dadi mujhe chod kar kyu chali gayi.Kya maine kuch kar diya kya.
Divya Bua- Nahi beta.Tumne kuch nahi kiya.Tumhare Dadi ko aab aram chahiye.Chup ho jao.Dadi ko acha thodi na lagegi jabh tum royoge toh.
Aab main rouna chodkar bas asu baha raha tha.Sabh milkar Dadi ko utha liya.Main bas age age chal raha tha aur asu baha raha tha.Dadi ko cheeta mein letaya gaya.Main aapna shirt kholkar kriya karam karna shuru kiya.Aab mujhe aag dena tha Dadi ko.Main mashal lekar Dadi ko aag diya.Mere seene mein aag lagh gaya.
Mujhe palne wali aaj mujhe chodkar chali gayi.Main cheeta ko dekh raha tha aur Dadi ke sath bitaya huya pal ko yaad kar raha tha.Dadi mujhe ek maa baap ki tarah pal pos kar bada kiya tha.Dadi ke bareme sochte sochte main gir gaya.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.