Update 61
Subah 10 baje mera nind khula.Main uthkar side mein dekha toh Komal nahi thi.Shayed bathroom mein hogi.Main uthkar balcony mein a gaya jaha se bahar ka rasta dikh raha tha.Main bahar dekh raha tha.Raat mein ek shakal hai aur din ke ujjale mein ek shakal hai.Aab bahot sara car raste mein chal raha hai.Kuch der aise hi khada raha.Lekin Komal abhi tak bahar nahi ayi.Aab kuch jyada der ho raha hai.Main bathroom mein knock karke.
Main- Komal.Aap andar hai kya.
Koi jawab nahi aya.Main phirse awaaz lagaya phir bhi koi reaction nahi huya.Aab mujhe darr laghne lagah.
Main- Aap thik hai kya.
Iss baar Komal bol padi.
Komal- Ji main thik hoon.
Mere jaan mein jaan aya.Shukar hai thik toh hai.
Main- Aap itni der tak andar kya kar rahe hai.
Komal- Ek problem ho gaya hai.
Main- Problem.Kya huya.
Komal- Woh main nahane ayi thi toh…
Main- Toh?
Komal- Woh shower ka paani band nahi ho rahi hai.
Main- Toh aap andar kya kar rahi hai.Aap bahar a jaiye.
Komal- Nahi a sakti.
Main- Bahar nahi a sakti matlab?
Komal- Woh woh.
Main- Kya woh woh.
Komal- Woh main kuch nahi pehna.
Main- Woh.Acha aapke pas kapde toh hoga hi.
Komal- Woh main kapde nahi layi.Towel layi thi woh bhi bhig gayi.
Main- Acha chalo aap bahar a jaiye.Main bahar ja raha hoon.
Komal- Nahi nahi aap bahar maat jaiye.
Main- Thik hai phir bahar a jaiye.
Komal- Nahi nahi main aise kaise bahar a jaon.
Main- Are toh kya huya main aapka pati hoon.
Komal- Nahi main nahi a sakti.Mujhe sharam ati hai.
Main- Pehle maine kahan tha bahar jane ko aapne mana kar diya.Chalo main balcony mein khada ho jata hoon aap bahar ake kapde pehen lijiye.Itna toh vishwas kar hi sakte hai.
Komal- Thik hai.Par aap ghumiyega maat.
Main- Are baba nahi ghumunga.
Main jakar balcony mein khada ho gaya.Karib 10 min baad Komal boli.
Komal- Aab ghum jaiye.
Main unke taraf ghum gaya.Woh ek salwar kameez pehni huyi thi.Main unke samne jakar khada ho gaya.
Main- Aap bahot sharmati ho yaar.
Komal kuch nahi kahin bas muskura rahi thi.
Main hotel stuff ko call karke problem bataya.Woh logh thik karke gaye.Phir hum dono nashta kiya.Nashta karne ke baad maine Komal se pucha.
Main- Aab boliye kya karna hai.
Komal- Mujhe nahi malum.Aap jo kahen.
Main- Toh mujhe kya malum.Main thoda na yaha pehle aya hoon.Chaliye ek kaam karte hai bahar ghumne chalte hai.
Komal- Ji thik hai.
Main- Aapse ek baat kahun.
Komal- Ji.
Main- Aap yeh sar jhukakar baat karna aur har baat par ji ji karna chod dijiye.Nahi toh logh samjhenge main aapko kidnap karke laya hoon.
Iss baat par Komal has padi.
Main- Are hasiye maat.Mujhe bacha lijiye.Pls.
Komal hasne laghi.
Komal- Chaliye nahi karti aisi baate.
Main- Aapne mujhe bacha liya.Aapka bahot bahot shukriya.
Komal bas has rahi thi.Phir hum nikal pade ghumne ke liye.

