Update 56
Subah uthkar fresh hokar Pari ko sms kiya yaha milne ke liye.Usko phone nahi kar paya.Agar phone karta toh khud ko rok nahi patah.Main nikal pada Pari se milne ke liye.Jaha Pari ko bulaya woh ek uchai tila jaisa tha.Niche bahot gehra khad tha.Main Pari ka intezar kar raha tha.Tabhi Pari kar car akar ruka.Car se utarkar Pari mere pas daud kar ayi aur mujhe gale laga liya.Woh mujhe kaske pakad liya lekin main nahi pakad paya.
Pari- Itni din kyu intezar karvaya.Kitni dino ke baad aye ho.Aab tumhe jaane nahi dungi.
Uske batoon ko sunke mujhe rona a gaya.Mere ankhon se bas asu nikalne lagah.Jabh Pari ko yehsas huya ki main rou raha hoon toh usne mujhse alagh huya aur mere asu pohonchte pohonchte bola.
Pari- Yeh kya tum rou kyu rahe ho.Thik hai aab main shikayat nahi karungi.Rona band karo.Pls
Woh itna masoomiyat ke sath boli ki muhe aur rona a gaya.Kaise isska dil todon main.Par mujhe usko bolna hi padega.
Main- Mujhe tumhe kuch batana hai.
Pari- Mere gaal sehlate huye…Toh bolona.
Aab waqt a gaya hamko bichadne ka.Main ek lambi sans lekar.
Main- Pari mujhe bhul jao.
Yeh baat sunkar Pari thodi gambhir ho gaya.Phir khilkhilakar hasne laghi.Aab yeh kyu has rahi hai.
Pari- Acha joke mara hai.Mujhe satana chahte ho haan.Mujhe satana ahsan nahi.Samjhe.
Uske iss bholepan ko dekhkar main fut fut kar rou pada.Iss bar woh ghabra gaya.Mere pas akar.
Pari- Veer kya huya tum rou kyu rahe ho.Pls mujhe batao.
Main fut fut kar route route usko sara baat bataya.Woh mere baat sunkar roune laghi.Woh mere collar pakad kar boli.
Pari- Main tumhare bina jee nahi sakti.Pls mujhe chod ke maat jao.
Main- Rote rote…Pari main majbur hoon.Main tumhare kaabil nahi hoon.Tum ek ache ladke se shaadi kar lena.
Pari- Nahi main kabhi kisi aur ki nahi ho sakti.Main bas Veer ki hoon.
Yeh kehkar woh bhagh kar woh khai ke pas chali gayi.
Pari- Iss zanam tum mujhe nahi mila.Par agle zanam mein hum jorur ek honge.Khush rehna.
Pari uss khai mein khud gayi.Yeh dekhkar main bhag kar gaya.Lekin Pari ka koi ata pata nahi hai.Main jor se chillaya.
Main- Paaaariiiiiiiiii.
Phir koi mujhe pukar raha tha.Main aas pas dekha toh main mere kamre mein tha.Komal mujhe pukar rahi thi.Toh yeh ek sapna tha.
Komal- Kya huya aapko.Aap cheekhe kyu.
Main pura paseena paseena ho gaya.
Komal- Aap toh pura paseena paseena ho gaye.
Main- Main thik hoon.
Phir main jakar bathroom mein ghus gaya.Sapne ke bareme yaad karke main roune lagah.Pari ko main kaise bataunga.Agar Pari ko kuch ho gaya na main khud ko kabhi maaf nahi kar paonga.Kitna der roya mujhe khud nahi malum.Phir uthkar naha dhokar bahar aya.Bahar akar dekha toh Komal samne khadi thi.Uske baal gile gile thi.Shayed naha chuki hai.Woh ek black colour ki sari pehene huyi thi.Jisme bahot khoobsurat lagh rahi thi.
Komal- Aapko nashte ke liye bulaya hai Dadi ne.
Main- Main ata hoon.
Komal chali gayi.Main aapna kapda pehenke niche chala gaya.Dadi aur Komal bethi huyi thi.Lekin aaj Dadi opposite side mein bethi huyi thi.Main jakar aapna chair pe beth gya.Komal meri pas bethi huyi thi.Main chup chap nashta karne lagah.
Dadi- Beta tera ankh itna lal kyu hai.Raat mein nind nhi aya tha kya.
Shayed jyada rone se ankh lal ho gaya.
Main- Haan Dadi thoda nind nahi aya.
Dadi- Beta tu tension maat le sabh thik ho jayega.
Phir hum sabh nashta karne lagah.Nashta karne ke baad main aapne kamre mein a gaya.Kamre mein akar yeh sochne lagah Pari ko kaise bataun.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.