Update 55
Kabhi kabhi hame aise dohrai se gujarna padta hai ki na chahte huye bhi kuch decision lene padte hai.Veer ne bhi aisa hi kiya.
Veer bas Pari ke bareme hi soch raha tha.Kaise Pari ko batayega.Kaisi react karegi woh.Dil toh bahot rou raha tha uska.Aaj ek ladki ka zindaghi bachane ki chakkar mein shayed khud ka zindaghi barbad kar liya ho.Aaj uska dil ka tukde tukde ho gaya tha.Kis muh se Pari ke samne khada hoga.
Veer yaha yeh saab soch raha hai woha Dadi soch rahi hai ki kitna bada dil hai mere bache ke pas.Ek ladki ko bachaya hai mera beta.Main aashirvaad karti hoon beta tu hamisha khush reh.
Sonali bua apni beti ke liye rou rahi thi.Unko Divya bua sambhal rahi thi.
Divya Bua- Chup ho ja Sonali.
Sonali Bua- Rote huye….Aaj main meri beti ka zindaghi barbad karne ja rahi thi.Yeh mujhse kya honewala tha.
Divya Bua- Zindaghi barbad toh nahi huya na.Veer acha ladka hai.Hamara beti khush rahegi Veer ke sath.
Sonali Bua- Par bhabi aap toh Veer ko pasand nahi karti.Aap toh usko nafrat karti ho na.
Divya Bua- Main usko nafrat nahi karta main bas uske baap ko nafrat karti hoon.Jabh woh mere pas ata hai toh mujhe aisa laghta hai jaise uske baap khada ho mere samne.Tu yeh saab chod.Aapne aapko sambhal aur beti ko bas aashirvaad kar.
Veer aapna naya zindaghi shuru karne ke liye aapne ghar ke pas akar ruka.Pehle Dadi car se niche utra phir ghar ke andar chale gaye.Veer bhi car see niche utra.Lekin Komal nahi utri.Kuch der baad Dadi ayi aur Komal ko bahar nikal kar ghar ke darwaza ke samne khadi kar di.Main bhi uske pas khada ho gaya.Dadi unke aarti karne laghi.Phir ek chawal se bhara huya kalash ko darwaza ke samne dia aur Dadi ne bola.
Dadi- Beta kalash par pair markar ghar mein pravesh karo.
Komal kalash par halka sa laat markar andar pravesh kiya.Komal ko hall mein bethaya gaya.Veer sidha aapne kamre ke taraf jane lagah toh Dadi bol padi.
Dadi- Beta kahan ja raha hai.
Veer- Dadi thoda sa sar dard kar raha hai.Main upar ja raha hoon.
Dadi- Thik hai beta.
Phir Veer aapne kamre mein chala gaya.Dadi Komal ke pas jakar beth gaya.
Dadi- Beta tu khush toh hai na iss shaadi se.
Komal kuch nahi boli bas sar jhukakar bethi thi.Dadi phirse pucha.Iss bar Komal boli bahot dhire se.
Komal- Ji.
Dadi- Dekh beta aab tum dono ki shaadi ho chuka hai.Aab tum dono pati patni ho.Jo bhi karan tha tum logon ki shaadi hone ka.Oh saab bhul jao aur zindaghi mein ek dusre ke sath age bado.
Komal- Ji.
Dadi- Kya ji ji lagah rakhi hai.Veer mujhe Dadi pukarti hai tu kya pukaregi.
Komal- Ji Dadi.
Dadi- Yeh huyi na baat.Chal bahot raat ho gayi hai.Tu Veer ke kamre mein ja.
Phir Dadi Komal ko lekar Veer ke kamre ke taraf chal pada.
Jabh Veer kamre mein aya tha tabh woh balcony mein bethkar bas Pari ke bareme soch raha tha.Woh aapne mobile nikal kar Pari ka muskurata huya photo dekhne lagah.Uska photo dekhte dekhte Veer ka asu nikalne lagah.Woh bolne lagah
Veer- Rote huye…Mujhe maaf kar dena Pari.Main tumse kiya huya vada ko nibha nahi paya.Kaise main tumhe bata paonga yeh sabh.Kaise tumhare muskaan main chin sakta hoon.Mujhe maaf kar dena.
Phir Veer bilakh bilakh kar rone lagah.Woh bhagh kar bathroom mein ghus gaya.Bathroom mein ghus kar diwar ke sath sat kar beth kar rone lagah.Pata nahi kaise batayega woh Pari ko sabh kuch.Kitna der roya usko pata bhi nahi chala.
Idhar Dadi Komal ko lekar Veer ke kamre mein le aya.Lekin Veer ko nahi dekha.
Dadi- Yeh Veer kaha hai.Shayed bathroom mein hai.Tum change karlo.Tumhara bag udhar rakha hai.
Dadi Komal ko chodkar chali gayi.Komal ek jagah par khada raha.Kuch der baad bathroom ka darwaza khula ussme se Veer nikla.Veer jaise hi Komal ko dekha woh bas kuch der usko dekhta raha.Phir uske samne akar.
Veer- Aap shayed thak gayi hongi.Udhar bathroom hai aap change kar lijiye.Mujhe bahot nind a raha hai.Aapko bhukh laghi hai kya.
Komal naa mein gardan hila diya.
Veer- Thik hai main soune ja raha hoon.Aap change karke sou jaiye.
Phir Veer jakar bed ke ek side mein sou gaya aur bich mein pillow dhal diya.
Komal thodi der baad aapna kapde nikala aur bathroom mein ghus gayi.Kuch der baad ek nighty pehen kar bahar aya.Thakan ki bajase Veer sou gaya tha.Komal kuch der Veer ke dekha kaise masoom bache ki tarah sou raha hai.Komal ko toh usse tabh pyaar ho gaya tha jabh usne Komal ko bachaya tha.Lekin usske dilon dimagh par ek baat atak rahi thi ki Veer uski upar yehsan kiya.Phir Woh bhi Bed ke ek side mein jakar sou gaya.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.