Update 51
Main jabh sou kar utha toh dekha kamre mein koi nahi tha.Shayed Aakshay bahar hai.Main kamre ki bahar chala gya.Chota sa hall tha waha par sabh ladies aur gents bethe huye the.Main bhi jakar Dadi ke pas beth gaya.
Aakash uncle- Sonu Shaadi toh do din baad hai na.Kaal toh Haldi hai.Yeh saab kuch jyada jaldi nahi hai.
Sonali- Bhaiya ladka acha hai.Jamindar ka beta hai.Ladke ko shaadi ka jaldi hai.Usko America settle hona hai.
Aakash uncle- Yeh agar America settle ho jayegi toh tujhe kyon dekhega.
Komal- Mama main bhi yehi keh rahi hoon maa ko ki mujhe yeh shaadi nahi karni.Main maa ko chod kar nahi jana chahti.
Sonali- Beta baat ko samajh.Tu aapna zindaghi mein khush reh.
Divya Bua- Aur rahi baat Sonali ki toh hum hai na usko dekhne ke liye.
Aakash uncle- Chalo chalo kaam bahot hai.Sabhko jo jo samjhaya hai sabh wohi kaa par lagh jao.
Phir bade sabh aapne apne kaam mein lagh jate hai.
Aakshay- Baise di hamare jiju dekhne mein kaisa hai.
Yeh baat sunte hi Komal ke chehra lal pad gayi.Gore gore gaal par lali ke mukhra dekhne mein acha lagh raha tha.
Aruna- Di batao na.
Komal- Sharmate huye…Mujhe nahi malum.
Aakshay- Yeh kya di aapko hi nahi malum kaisa dikhta hai aur aap shaadi kar rahi hai.
Komal- Maa ko pasand hai toh mujhe bhi pasand hai.
Phir aise hi nok jhok ke baad sabh aapne aapne kamo mein lagh gaya.Mujhe kya karna hai mujhe toh pata hi nahi.Phir bhi main Aakshay ki kaamo mein madat kar deta.Aise hi raat ho gaya.Sabh beth kar khana khane lagah.
Aakash uncle- Kaal Haldi hai toh sabh kuch tyaar ho gaya.Sham ko ladke walon ke taraf se Haldi ayega phir yaha par haldi ka rasam shuru ho ga.
Aruna- Hamare yaha Haldi nahi hai kya jo ladke walon ke yaha se ayega.
Divya Bua- Hamare yaha toh hai.Par yeh bhi ek rasam hai beta.
Aakshay- Baise tujhe agar shaadi karni hai toh bol de hum kisi mota behes ko dhund layenge.
Aakshay ke baat sunkar sabh hasne lagah.
Aruna- Papa dekho na.
Aakash uncle- Aankh dikhakar…Aakshay.
Phir sabh chup chap khana khane lagah.Phir sabh sou ne chala gaya.Main bhi sou ne chala gaya.Par nind nahi a raha tha toh Pari ke sath baat kia.Phir nind a gaya.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.