Update 42
Shahar1 mein jabh bus pohoncha tabh bahot sare logh bus mein chad rahe the.Meri sath wala seat abhi tak khali tha.Main darwaza ke taraf dekh raha tha ki ek bujurg aurat dikhai di.Aurat ko dekhkar hi toh mujhe jhatka laga.Googles,Lipstick lagakar khadi thi.Makeup ke dukaan lagh rahi thi.Budhape jawani chadi hai.
Bus TC- Aiye Dadi.
Budhi- Aabe Dadi kisko bola.Main kya Dadi lagti hoon.Tere beti ki umar ka hoon.
Yeh baat sunkar toh bus mein sab has pada.Main bhi aapna hasi rok nahi paya.TC toh muh fadhe dekh raha tha.
Budhi- Mera naam hai Madhubala.Just call me madhubala.
Bus TC- Muh teda karke….Aiye Madhubala ji.
Budhi kamar machalke meri baju mein beth gayi.
Madhubala(ChammakChallo)- Hey handsome.My name is Madhubala.
Meri taraf hath badakar.Main bhi handshake karte huye kaha.
Main- Ji mera naam hai Veer.
Madhubala(ChammakChallo)- Tum kitna old fashion ho.Thikse Hi Hello bhi karna nahi ata.
Muh dusri taraf mod liya.Khud bangar hai aur mujhe keh rahi hai old fashion.Main bhi khidki ke bahar dekh raha tha.Kuch der baad ChammakChallo phir boli.
Madhubala(ChammakChallo)- Baise tumhari koi gf hai kya.
Budhi ki baat sunkar toh aisa lagh raha hai jaise malum kar rahi hai main khali hoon ki nahi.
Main- Ji haan.
Madhubala(ChammakChallo)- Woh tumhara bad luck.Mujh jaisi khubsurat ladki miss kardi.
Main bhi thoda maja le leta hoon.
Main- Haan.Aap jaisi haseen ladki ko miss kardi.
Woh aapna tarif sunke sharmane lagi jaise koi 16 saal ki ladki ho.Phir aise hi unke bakwaas sunte sunte mera gaon a gaya.
Main- Acha Madhubala ji mera gaon a gya.Aapse milke acha laga.
Madhubala(ChammakChallo)- Mujhe bhi tum jaise handsome se milke khushi huyi.
Phir main niche utar gaya.Station par dekha munimji khada tha.Woh mere pas akar bola.
Munimji- Chote malik ane mein koi taklif toh nahi huya.
Main- Nahi.Par aap yaha?
Munimji- Malkin ne kaha tha aapko receive kar loon.Malkin kaisi hai.
Yeh Dadi bhi na.
Main- Ji achi hai.
Phir hum car se ghar a gaye.Bahot dino ke baad ghar akar acha lagh raha tha.Phir maine Dadi ko call kia.
Dadi- Thik se pohonch gaya na beta.
Main- Ji Dadi.Aap meri fikar maat kijiyega.Aap apna dhyan rakhna.
Dadi- Tu waha par akela hai aur main fikar na karoon.
Main- Dadi main koi chota bacha thodi na hoon.Main aab bada ho gaya hoon.
Dadi- Tu toh hamisha mere liye ek bacha hi rehega.
Main- Acha Dadi aab rakhta hoon.Fresh bhi hona hai.
Dadi- Chal thik hai.
Phir maine Pari ko call kia.
Main- Hello.SweetyPie.
SweetiePie bathroom mein hai -Shakuntala
Main- S s sorry aunty.
Shakuntala- Are koi nahi Damadji.Aapke honewali biwi naha rahi hai.
Main- Thik hai main baaad mein phone karta hoon.
Main jaldi phone cut kar dia.Yeh kya ho gaya.Mujhe toh sharam a raha tha.Chalo fresh ho jata hoon.Phir maine freah huya aur khana khakar sou ne chala gaya.Abhi soune hi wala tha ki Pari ka phone a gaya.Maine phone pick kia.
Main- Hello ji.
Pari- Tumne mummy se kya kaha tha jabh tumne phone kia tha.Mummy bahot muskura rahi thi.
Main- Woh kya hai ki maine galti se tum samajh kar unko sweetypie bol dia.
Meri baat sunkar Pari jor se hasne lagi.
Main- Bas bas bahot hasi ho gaya.Mera bhi din ayega.
Pari apni hasi control karke.
Pari- Toh tum thik se pohonch gaye the na.
Main- Haan ji.
Pari- Aab kya kar rahe ho.
Main- Tumse baat.
Pari- Baise tum kabh bapas ayoge.
Main- Parso ayonga.
Pari- Tum itne din meri pas the aab nahi hoto khali khali lagh raha hai.
Main- Koi baat nahi jabh ayonga tog pura bhar dunga.
Pari- Acha ji.
Main- Haan ji.
Phir aise hi kuch deer baat karke maine phone cut kia.Phir aramse sou gaya

