Update 39
Main aur Pari ghar pohoncha.Main aur Pari mere kamre mein a gaye.Kamre mein akar Pari mujhe kas ke pakad liya.
Main- Are kya huya.
Pari- Maat jao na yaha par raho.
Main- Usko kaske pakad ke….Nahi jana toh padega hi baise bhi mere result nikalne wala hai.Main tumse promise karta hoon main iss shahar mein hi admission lunga.
Pari- Uchal.. kar sachi.
Main- Haan.
Tabhi mere nazar darwaza par padti hai.Main toh aab gaya kaamse.Darwaza par aunty khadi thi.Main jhatke se Pari ko alag kia.
Pari- Kya huya.
Maine darwaza ki taraf ishara kia.Pari jaise hi darwaza par dekhi woh bhi jhtaka kha gayi.Nazar niche kar li.Aunty hamare pas akar.
Shakuntala- Yeh saab kya ho raha tha.
Hum dono bilkul chup.
Shakuntala- Maine pucha kya ho raha tha.
Pari- Kuch nahi mummy Veer ja raha hai na isliye packing kar rahe the.
Shakuntala- Gale lagkar packing karte ho.
Pari nazar chura liya.
Shakuntala- Kya chal raha hai tum dono ke bich.
Pari- K K Kuch n nahi Mummy.
Shakuntala- Dekh tujhse jyada duniya dekhi hai maine.Mujhe ullu banane ki koshiah bhi maat karna.
Maine socha bata deta hoon.Jo hoga dekha jayega.Ek lamba saans liya.
Main- Bahot fast….Aunty hum dono ek dusre se pyaar karte hai.Hum ek dusre ek alava jee nahi sakte.Main Pari ko hamisha khush rakhunga.Kabhi usko koi taklif nahi dunga.Agar aap haan kar dengi toh aapko ek bahot acha damad milega.
Main jaldi jaldi baat bol gaya.Mere mann mein jo kuch bhi tha.Maine phirse darwaza ke taraf dekha ek aur jhatka.Uncle khada tha.Aab toh gaya.Main wait kar raha hoon thappad ki ya dant ki.Tabhi aunty aur uncle hasne lage.Aab indono ko kya ho gaya.Kahin pagal toh nahi ho gayi.
Shakuntala- Pari ke pas jakar….Hame damad pasand aya.
Pari sharma gayi aur aunty ke gale lag gayi muh chupane ke liye.Uncle mere pas akar.
Rishabh- Kya baat hai mere beti ko chura kar le gaye.
Main kuch nahi bola bas khada reh gaya.
Rishabh- Mujhe gale lagakar…Mujhe toh tum pehli din e pasand a gaye the.Aaj mujhe ek beta bhi mil gaya.Chalo aab hum chalte hai.
Aunty aur uncle chale gaye.Pari mere pas akar.
Pari- Bahot bahador ho.
Main- Usko bahon mein bharke….Pyaar kia toh darna kya.
Aise hi hum kuch der gale lage rahe.Phir main packing kia aur hospital ke taraf nikal pada.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.