Main Aur Mera Gaon – Update 25 | Adultery Sex Story

Xossip
Reading Mode

Update 25

Main 4 p.m. baje uth gaya.Uthkar muh dhokar bahar hall mein a gaya.Hall mein ate hi dekha ki bua ke sath ek aadmi betha huya hain.Dekhne mein handsome hain.Shayed yeh uncle hain.Dusri taraf ek ladki bethi huyi thi.Dekhne mein bilkul pari ka tarah.Masoomiyat toh muh se chalakta hain.Woh shayed Aruna hogi.Mujhe hall mein dekhkar bua boli.

Divya bua- Uth gaye tum.Chalo tumhe mere parivaar se milati hoon.Yeh hain mere pati Aakash aur yeh hain meri beti Aruna.

Main dono uncle ko namste kia.Uncle bhi mere namaste ki jawab dia.

Divya bua- Aur Aakash iska naam hain….are maine toh tumhari naam bhi nahi pucha.Kya naam hain tumhara.

Aab konsi naam bolun.Asli ya koi nakli bolun.Nahi asli bolna thik nahi hoga.Agar bua ko shaq ho gaya toh.Main idhar udhar dekhne laga.Tabhi meri nazar Aruna ki books par padi jaha par ek naam likha huya tha.Maine patt se bol dia.

Main- Ji Sushil.

Aakash uncle- Naam batane ke liye itna der kyu kar dia.Kuch ghadbad toh nahi hain.

Mere toh pasine choot gaya.Kahi uncle pakad na le.

Main- Uncle nikalte nikalte reh gaya…Sahabji koi gadbad nahi hain.Main toh sirf kaam karne aya hoon.

Divya bua- Are aap chodiye yeh jasoosi.Sushil jao chay banake lao.

Main jahi raha tha ki mere nazar Aruna pe padi.Aruna mujhe dekhkar kuch soch rahi thi aur mujhe gaur se dekhne lagi.Pehle din hi sab aise shaq kyu karne laga.

Aruna- Mummy mujhe toh kuch gadbad lag raha hain.Yeh dekhne se naukar wala nahi lagta.

Divya bua- Tu chup kar.Hamisha jasoosi karta rehta hain.Sushil tum jaon.

Main- Woh madamji kitchen kis taraf hain.

Shayed yeh bolkar maine apne hi pair par kudhadi(axe) mar liya.

Aruna- Tum itne ache se kitchen kaise bol dia.Mujhe toh pata tha ki gaon ke logh rosoi ghar kehte hain.

Aab kya bolun.Kuch soch beta nahi toh pehla din hi geya kaam se.

Main- Woh madamji maine sathvi tak padai kia tha.Isliye thoda thoda ata hain.

Divya bua- Aab tera band kar.Sushil tum mere sath chalo.

Main waha se aise baga jaise mere piche aag lag gayi ho.Bua mujhe kitchen le ayi.

Divya bua- Yeh kitchen hain.Iss shell mein sab saman rakha hain aur unpar tag laga huya hain.Chalo chay banakar lao jaldi se.

Bua mujhe samjhakar chala gaya.Chalo bhai zindaghi mein pehli bar chay bana leta hoon.Agar acha nahi bana toh kaam toh geya samjho.Idea internet se nikalta hoon.Main apne pajama se mobile nikala toh dekha Dadi ne 3 bar phone kia tha.Abhi toh baat nahi kar sakta.Raat ko kar lunga.Main internet se chay banaya aur cup mein dalkar hall mein a gaya.Aab hall mein nayi member dikh raha tha.Main tray table par rakha.

Divya bua- Sushil yeh mera beta Aakshay.

Aakshay- Mummy yeh kyon hain.

Divya Bua- Yeh hamara naya naukar.

Phir woh logh chay pine laga.Main toh darr raha tha kaisa bana hoga.

Divya Bua- Mmmmm achi chay banaya.

Sab ne tarif kia sirf Aruna nahi kia.Shayed woh mujhe abhi bhi shaq kar rahi hain.

Divya Bua- Raat mein kyon kya khayega bolo.

Aakash uncle- Bua ki taraf shararati muskan ke sath…..Mujhe toh wohi khana hain jo aap khayenge.

Divya Bua- Sharmakar…Itna umar hua phir bhi aise baate karte hoo.

Aakash uncle- Abhi toh hum jawan hain.

Bua ankh dikhai toh uncle chup ho gaya.Maine dekha Aruna aur Aakshay has raha tha.

Divya Bua- Aruna aur Akshay tumko kya khana hain.

Aakshay- Mujhe toh alu ke parathe khani hain.

Aruna- Mujhe sirf roti aur palak ki sabzi.

Divya Bua- Sushil yeh sab bana lena aur hamare liye bhi roti banana aur sabzi.

Itna keh kar sab apne apne kamre mein chale gaye.Main toh sar par hath rakh kar kitchen a gaya.Chay bhi kitna mushkil se banaya tha aab yeh khana.Chalo phirse net baba ki madat leta hoon.Main mobile nikal kar khana banane laga.Aise hi 2 ghanta lag gaya.Khana banakar thak gaya.Main khana banakar aapne room mein a gaya.Zindaghi mein pehli bar itna mehnat kia.Mujhe bahot bhukh lagh raha tha.Kya karoon kitchen chala gaya.Kitchen mein jakar ek dibbi mein biscuit likha huya tha.Maine biscuit lekar khane laga.Kuch toh rahat mila.Jaise hi maine piche muda dekha bua khadi thi.Main khate khate ruk gaya.

Main- Woh madamji bhukh laga tha.

Divya Bua- Koi baat nahi.Tumhe bhukh laga tha toh bataya kyu nahi.Thik hain khao.

Phir bua khana bana ki nahi dekh kar chala gaya.Main bhi bahar ake hall mein beth gaya jamin par.Mujhe aab kuch toh pata karna padega.Chalo ghar ghumta hoon.Main ghar ghumne laga.Ghumte ghumte maine upar ek bada sa tasveer dekha jo ki Dadi ki thi.Woh ek bada sa tasveer tha.Matlab ki bua Dadi ko bahot pyaar karti hain.Par woh dikha nahi raha tha.Aab mujhe malum karna padega asli baat ko.Phir khane ka waqt ho gaya.Main sabko khana serve kia.Sab ne mere khane ki tarif kia iss bar bhi Aruna tarif nahi kia.Chalo koi baat nahi.Sabke khane ke baad.

Divya Bua- Sushil tum bhi khana kha lo.Phir plate sab dhokar sou jana.

Main- Ji.

Main khana khane laga kitchen mein jakar jamin par beth kar.Aur sochne laga kabhi jamin par bethke khana padega kabhi socha bhi nahi tha.Lekin Dadi ke liye toh karna hi padega.Maine khana khaya aur sara bartan dhoya.Yeh saab karte karte 11 baj gaya.Aaj main bahot thak gaya.Bistar par let te hi sou gaya.

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply