Update 152
Dopeher ko sabh ghar a gaye.Priya Kajol bua aur Sameer uncle se milke bahot khush huyi.Kajol bua aur Sameer uncle toh Priya ko aapni bohu mann liya tha.Kyu ki unko patah hai ki Priya jorur mann jayegi.Priya fresh hone ke liye aapne kamre mein gayi.Tabhi uski phone a gayi.Phone par naamam dekhte hi uski chehre pe muskaan a gayi.Kyu na aye aapni bf ka phone jo tha.Priya phone receive ki.
Kunal- Aap toh bahot busy ho gayi ghar jakar.
Priya thodi si smile dekar boli.
Priya- Haan thoda busy toh ho gayi hoon.
Kunal- Itna bhi busy maat huyi ki aapki iss aashiq ko bhul jaye.
Kunal ki baat sunkar Priya has padi.
Priya- Nahi bhulungi.
Kunal- Chaliye aapka upkar hai mujh par.
Aise hi kuch der dono pyaar wali baate ki.Phir Priya fresh hone ke liye chali gayi.Fresh hokar niche ayi toh dekhi sabh uske liye intezar kar rahe the khane mein.Komal ne Pari ko sabh kuch batah diya.Pari bhi khush lagh rahi thi.Kajol bua ne Priya ko aapni pas betha li.Priya ek safed colour ki salwar kameez pehni thi.Khubsurat lagh rahi thi.
Sabh khana khane lageh.Khane khate waqt phirse Aditya aur Ananya shuru ho gaye aapne ladai mein.
Aditya- Tune meri chicken piece kyu li.
Dharasal aisa huya tha ki jabh Adi Payal ke sath masti kar raha tha toh Ananya chupke se uska chicken piece le li aur kha bhi li.Adi jabh ghum kar dekha toh aapni chicken piece waha par nahi tha.Tabh uska matha tanka ki yeh Ananya ki kaam hai.
Ananya- Maine kabh tera chicken piece li.
Aditya- Jhut maat bol.Abhi abhi maine yaha par rakha tha.
Ananya- Khud ka liya hoga.
Aditya- Are maine nahi khaya.Dekho na mummy isne mera chicken piece khakar bol rahi hai nahi khayi.
Ananya- Nahi mummy maine nahi li.
Komal- Tum logh jagadna band karo.Adi yaha par bahot sara hai tum woh le lo.
Aditya- Par woh akhri leg piece tha.Mujhe leg piece khana hai.
Komal- Beta aaj kha lena.
Aditya bhura sa muh banakar kahan.
Aditya- Aap isse kuch kyu nahi kehti.
Komal- Aav issko kehne se kya isske peth se chicken piece nikal ayega.
Komal dekh li thi ki Ananya ne aisa ki thi.Unka masti samajh kar usne kuch nahi kahin.
Veer aapni leg piece Adi ko dekar kahan.
Veer- Aab jagdha maat karo.Aab leg piece mil gaya na.
Aditya kuch nahi kahan.Woh khana khane lagah aur Ananya ko ghur ke dekhne lagah.Jaise uska dushman ho.Sabh khana khakar uth chuke the.Kuch der rukh kar Kajol bua aur Sameer uncle bhi chale gaye.Aab Priya ke sath baat karne ka time a gaya tha.Par woh abhi baat nahi karna chahta tha.Isliye raat ke waqt ko chuna baat karne ke liye.
Uss din aise hi kaat gaya.Raat ko sabh khana khane ke baad aapne aapne kamre mein chale gaye.Veer bhi Priya ke sath baat karne ke liye uski kamre mein chala gaya.
Veer jabh Priya ke kamre mein pohoncha toh dekha ki Priya balcony mein beth kar kitab padh rahi thi.Veer jakar uske pas beth gaya.
Veer- Kya main doctorni saheba ko thodi der pareshan kar sakta hoon.
Veer ki baat sunkar Priya has padi aur boli.
Priya- Haan ji aap pareshan kar saktw hai.
Veer bhi has padah.Veer Priya ke sath idhar udhar ki baat karke point mein aya.
Veer- Priya aaj jante ho Kajol bua kyu ayi thi yaha.
Priya- Nahi bhaiya kyuu ayi thi.
Veer- Woh tumhare liye ek rishta laye hai.
Rishte ki baat sunkar Priya ka chehra utar gayi.Woh mayus ho gayi.
Veer- Mujhe toh rishta bahot pasand aya.Agar tum usse shaadi karogi na toh tum bahot khush rahogi.Jante ho woh ladka kyon hai.
Priya ki mann mein toh toofan chal rahi thi.Woh bas kisi tarah aapni asu nikalne se rok rahi thi.Woh sochi thi ki aaj nahi toh kaak Kunal ke bareme bataiyegi.Lekin abhi bhaiya ki muskurahat aur khushi dekh kar Priya ki mann nahi ki Veer ko dukhi karne ke liye.Isliye woh niche ki taraf dekhne laghi.Shayed aapni dukh chupane ke liye.Veer soch raha tha ki Priya sharma rahi hai.
Veer- Woh ladka hai hamara Sahil.Kajol bua ki beta.
Priya yeh baat sunkar thodi der bethi rahi.Usse patah nahi thi ki woh kya bole.Woh ankh uthakar Veer ki taraf dekhi.Veer ki ankhon mein khushi hi khushi jalak raha tha.Priya bhi ek jhuti smile ke sath boli.
Priya- Jaisi aapki marji.
Veer yeh baat sunte hi khush ho gaya.
Veer- Tumhe koi yetraaj nahi hai na.Tumhe pasand hai na.
Priya- Aap mere liye kabhi galat nahi soch sakte.Bachpan se aapne mere liye jo bhi kiya mere ache ke liye kiya.Abhi bhi aap jo karenge woh ache ke liye karenge.
Veer Priya ki baat sunkar khush ho gaya.Veer ne Priya ko aapni bahon mein le liya.Priya bhi ek lambi saans chhodi Veer ki bahon mein.Phir Veer waha se chala gaya.Priya ki asu nikalne laghi.Woh bahar ki taraf dekh kar bas asu bahati rahi.Aaj woh Veer ko nahi batah saaki ki woh kisi aur se pyaar karti hai.Veer ki chehre ki khushi dekh kar woh samajh mein laghi ki woh aapnk bhai ko thoda khushi de payi.Tabhi Kunal ka phone aya.Kunal ki phone dekh kar Priya ko aur rouna ayi.Usko samjh mein nahi ayi ki woh kya bole aur kaise.Kuch der ring hone ke baad usne pick kiya.
Kunal- Jaaneman itna late maat uthaya karo.Mera dil rukh jatah hai.
Kunal ki baat sunkar Priya roune laghi.Priya ki roune ki awaaz Kunall bhi sunn raha tha.Usko samajh mein nahi aya ki woh rou kyu rahi hai.
Kunal- Hello Priya tum rou kyu rahi ho.
Priya abhi bhi rou rahi thi.Kunal bechain ho gaya.Kunal puch raha tha baar baar ki kya huya.Priya thodi der rou kar halka huyi thi boli.
Priya- Kunal tum mujhe bhul jao.
Priya ki baat sunkar toh Kunal ka halat kharab ho gaya.
Kunal- Bhul jaon matlab.
Priya- Mere bhaiya ne mera shaadi fix kar diya.
Kunal yeh baat sunkar toh hairan reh gaya.Woh bechain ho gaya.
Kunal- Aise kaise fix kar diya.Main tumhare bhaiya se baat karta hoon.Tumne hamare barme batayi nahi.
Priya- Bhaiya ki chehre par khushi dekh kar main bol nahi payi.
Kunal- Dekho Priya agar tum unko kuch nahi bataoge toh kya yeh sahi hoga.Tumne hi kahin thi ki tumhare bhai tumse bahot pyaar karta hai.Agar unkoo malum padah ki tumne nahi batayi toh unko kitna dukh hoga na.
Priya ka asu wohi rukh gayi.Usne aisa sochi hi nahi thi.
Priya- Haan tum thik keh rahe ho.Mujhe bhaiya se baat karni chahiye.
Kunal- Thik hai tum baat karo aur abhi karo.
Phir Kunal phone rakh deti hai.Priya kuch der baad Veer ki kamre ki taraf gayi.Veer Komal ke sath baat kar raha tha.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.