Update 151
“1 WEEK LATER”
Sahil jabh se Priya ko dekha hai woh bas khoya khoya rehta hai.Bas Priya ki yaad mein hi khoya rehta hai.Raat ko soute soute din mein jagh jagh kar bas sapna dekhta rehta hai.Office mein bhi uske bareme sochta hai.Woh pyaar mein padh gaya tha.Zindaghi mein pehli baar uske sath aisa ho raha tha.
Sahil aapne kamre ki balcony mein betha huya khoya huya tha.Kabh uska maa Kajol bua ayi usse patah bhi nahi chala.Kajol bua akar uske samne beth gayi.Aapne bete ko kuch din se khoya khoya dekh rahi thi.Isliye aaj puchne ayi thi ki baat kya hai.
Kajol Bua- Sahil.
Sahil bas khoya huya tha.Priya ki woh muskurahat uska ankhon ke samne ghum raaha tha.Kajol bua ne hilkar usko bulaya.
Kajol Bua- Sahil.
Sahil hadhvadhakar utha.Aapni maa ko dekh kar kahan.
Sahil- Kya huya maa.
Kajol Bua- Kuch din se dekh rahi hoon ki tu khoya khoya rehta hai.Baat kya hai beta.Koi pareshani hai kya.Office mein kuch tension hai kya.
Sahil- Nahi aisa kuch nahi.
Woh sharmate huye bola.Kajol bua bhi notice ki.Unko aav kuch andaza ho gayi ki unki bete ko pyaar ho gaya.
Kajol Bua- Ladki kyon hai.
Sahil ek dum se shocked ho gaya.Woh soch raha tha ki maa ko kaise malum padah.
Sahil- Ladki main kuch samjha nahi.
Kajol Bua- Chal chal main tera maa hoon.Mujhse chupa nahi sakta.Bol kyon hai woh naseeb wali jo meri bete ka dil chura li.
Sahil sharmane lagah.
Kajol Bua- Aab sharmana chhodh kar bol bhi de.Kahin aisa na ho ki koi aur le jaye.
Yeh baat sunte hi Sahil darr gaya aur bola.
Sahil- Nahi aisa nahi ho sakta.
Kajol Bua- Isliye keh rahi hoon ki mujhe batah.Main chat mangni chat shaadi kara deta hoon.
Sahil sharmate huye bola.
Sahil- Woh Priya.
Kajol Bua- Acha uski naam Priya hai.Kahan rehti hai.
Sahil- Are aapne pehchani nahi.Priya Veer bhaiya ki bahen.
Aab Kajol bua pehchan payi.Yeh sunte hi woh kuch soch mein padh gayi.Tabhi waha par Sameer uncle a gaya.
Sameer Uncle- Kya baate ho raha hai maa beta mein.
Sameer uncle bhi waha par beth jatah hai.Kajol bua boli.
Kajol Bua- Sahil ko ek ladki pasand aya hai.
Sameer uncle khush ho gaya.
Sameer Uncle- Are wah.Mera beta ko ladki pasand aya.
Sameer uncle ne Sahil ka pit thap thapaya.Sahil niche dekhne lagah.
Sameer Uncle- Kyon hai woh.
Kajol Bua- Hichkhichate huye….Woh Priya.
Sameer Uncle- Kis Priya ki baat kar rahi ho.
Kajol Bua- Veer kaa muh bola bahen.
Kajol bua darr rahi thi ki Sameer uncle nahi manengi.Kyu ki Priya ko Veer ne raste se uthakar laya tha.Kajol bua Sameer uncle ki taaraf dekhne laghi.Sameer uncle khushi se bola.
Sameer Uncle- Are wah Woh Priya.Kya pasand hai beta.
Kajol Bua- Aap khush hai.
Sameer Uncle- Are bhai khush kyu nahi hunga.Priya toh bahot achi ladki hai.Upar se Veer ki bahen hai.
Kajol bua rahat ki saans li.
Kajol Bua- Mujhe lagah aapko objection hoga Priya ke bareme.
Sameer Uncle- Objection kyu hoga.Priya bahot hi pyaari ladki hai.Kaal hi hum gaon jayenge.
Sahil bahot khush tha.Uska maa baap mann gaye Priya ke liye.Aav uske mann mein laddo futne lagah khushi ka.
Gaon mein subah subah sabh tyaar ho rahe the aapne aapne kaam mein jaane ke liye.Priya aaj Pari ke sath hospital join karne wali thi.Isliye Priya Pari ke sath jaldi hospital chali gayi.Bachche bhi school chale gaye.Veer tyaar ho raha tha office jaane ke liye.Komal aaj ghar rehne wali thi kyu ki Aarav ko sambhalna tha.Aaj Pari Priya ko lekar hoapital gayi thi usko sabh kuch samjhane ke liye.Nahi toh woh Aarav ke liye nahi jati.
Veer nashta karke Aarav ke pas gaya.Aarav hall mein beth kar khel raha tha.Komal uske sath khel rahi thi.Veer Aarav ko ghod mein uthakar pyaar karne lagah.Aarav ki gaal par kiss karke kaha.
Veer- Papa office ja rahe hai.Papa ko ek puppy do.
Aarav Veer ki gaal par ek puppy deta hai.Veer Aarav ko Komal ko dekar jaane wala tha ki Kajol bua aur Sameer Uncle ko dekha ghar mein ate waqt.
Veer unke ate hi unke pair chuya.Komal bhi akar unke pair chuye.
Veer- Bua Uncle aap logh subah subah yaha.
Kajol Bua- Kyu hum nahi a sakte kya.
Veer- Nahi nahi aapka hi ghar hai.Aiye bethiye.
Kajol bua Aarav ko ghod mein lekar beth gayi.
Komal- Main paani lati hoon.
Komal paani lakar unko diya.Kajol bua idhar udhar dekhne lghi.
Kajol Bua- Baaki sabh kahan hai.
Veer- Adi Anu aur Payal toh school gaye hai.Pari aur Priya hospital.
Kajol Bua- Acha.
Sameer Uncle- Baise tum kya office ja rahe the.
Veer- Jee haan.
Sameer Uncle- Laghta hai hum galat time mein a gaye.
Veer- Nahi nahi koi baat nahi.Aaj koi important kaam nahi hai.
Sameer Uncle- Phir toh hum aapna baat kar sakte hai.
Veer- Aap logon ko koi important kaam hai.
Kajol Bua- Haan bahot joruri.
Komal Veer ke sath bethi huyi thi.
Veer- Haan boliye.
Kajol Bua- Main ghuma firakar baat nahi karta.Isliye sabh sidha sidha kehna chahti hoon.Baat aisa hai ki Sahil ko Priya bahot pasand hai.Toh Sahil Priya ke sath shaadi karna chahta hai.
Veer yeh baat sunkar toh pehle hairan reh gaya.Komal ka bhi ek hi halat thi.Veer kya bole usko kuch samajh nahi a raha hai.
Veer- Matlab?
Kajol Bua- Matlab ki Sahil Priya ko pyaar karne lagah hai.Jabh se Priya ko dekha hai tabhse khoya khoya rehta hai.
Veer bahot khush ho gaya.Komal bhi bahot khush thi.
Veer- Yeh toh bahot khushi ki baat hai.
Komal- Haan bakei khushi ki baat hai.
Sameer Uncle- Toh tum logon ko manjoor hai ki nahi.
Veer- Mujhe toh manjor hai lekin main Priya se puchne se pehle kuch nahi keh sakta hai.
Sameer Uncle- Haan haan Priya ko toh puchna hi padega.Thik hai phir hum chalte hai.
Veer- Are aise kaise.Aap logon ko khana na khilakar main nahi bhej sakta.Aap logh aaj hamare sath lunch karenge.
Komal aur Veer ki kehne par woh logh mann gaye.Sameer uncle aur Kajol bua Aarav ko lekar kamre mein chali gayi.Komal khana banane ke liye chali gayi.Veer aaj office na jakar aapne bua ke sath time spend karne laagah.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.