Reading Mode

Update 144

Komal aur Pari aab tension mein thi ki Veer ko aab kaise sambhale jaye.Woh dono aapni dimagh mein bas yehi soch rahe the.Tabhi Pari ki dimagh mein ek idea ayi.

Pari- Mujhe ek idea aya.

Komal- Kya?

Pari- Aap Dadi bann jao.

Komal- Matlab?

Pari- Matlab yehi ki hum Veer ko kehenge Dadi America gayi hai.Agar Veer baat karna chaha toh aapko main phone karungi.Aap Dadi bann kar baat kar lena.

Pari ka idea Komal ko achi laghi.Aab unke pas iske sibah koi chara bhi nahi hai.Dono andar chale gaye.Veer ke pas tabh dono bua bethe huye the bhige ankhon ke sath.

Divya Bua- Main Veer ko iss halat mein nahi dekh sakti.

Kajol Bua- Didi sambhalo khud ko.Veer jaldi thik ho jayega.

Komal- Haan mami Veer jaldi thik ho jayega.

Pari- Hum milkar Veer ko thik karenge.

Tabhi Komal ki phone bajne lagah.

Komal- Hello.

Aditya- Mummy aap logh kahan ho aur Choti mummy kahan hai.Bhai bahot rou raha hai.

Komal- Beta main aaj nahi a sakti.Papa ke sath bahar hoon na.Choti mummy abhi a jayengi.Tum sabh khana khakar sou janah.

Aditya- Ok mummy.

Komal phone disconnect kar deti hai.

Komal- Pari tu ghar chala jaa.Bachche fikar kar rahe hai.Divya mami aur Kajol bua ko bhi sath lekar jaa.

Pari toh rehna chahti thi lekin usko bachcha ka bhi khyal rakhna padegi.Isliye woh Divya bua aur Kajol bua ko sath lekar chali gayi.Komal Veer ke pas bethi rahi.Uske liye Pari ne canteen se khana lekar rakhi thi.Woh khana thodi si khayi.Woh Veer ko dekhte dekhte sou gayi.Veer ko nind ki injection diya gaya tha isliye woh kaal subah hi aapni ankh khulega.

Ghar akar Pari ne dekha bachcha bahot rou raha tha.Usne aapne bete ko doodh pilayi.Phir usko sula diya.Woh aaj Shakuntala ko aapne pas sula diya.

Phir subah huya.Pari aapna bete ko lekar hospital a chuki thi.Rishabh uncle aur Shakuntala aunty bhi hospital a chuke the.Sabh Veer ke pas khada rahe ki kabh usko hosh aye.Tabhi usko hosh ane lagah.Woh uthkar beth gaya aur charo taraf dekhne lagah.Waha par sirf usne doo insan ko pehchana woh tha Divya bua aut Kajol bua ko.Usne unko kahan.Bachche ki galah mein.

Veer- Bua yeh sabh kyon hai.

Veer ki baat sunkar Komal aurur Pari ko bahot dukh huya lekin dono kar bhi kya kar sakti thi.Dono bua samne akar khadi ho gayi.

Divya Bua- Beta yeh sabh hamare rishtedar hai.

Veer- Par main inko pehchan nahi pa raha hoon.

Divya Bua- Tum inko nahi jante.

Veer- Bua Dadi kahan hai.

Aav Pari ki baari thi kuch bolne ki.

Pari- Woh America mein hai.

Veer Pari ki taraf dekh kar kuch der dekhta raha.Usne aapne dimagh daudaya lekin pehchan nahi paya.

Veer- Aunty aap Dadi ko phone lagah sakte hai kya.

Veer ki baat sunkar Pari ka ankh namm ho gayi.Shakuntala ne usko sambhala.Usne fiki muskaan ke sath boli.

Pari- Jorur.

Pari ne Komal ko ishara kiya bahar jane ke liye.Komal bahar chali gayi.Pari ne phone lagakar Veer ko diya.Komal ek bhari awaaz mein baat karne laghi.

Komal- Hello.

Veer- Dadi.

Komal- Mera beta kaisa hai.

Veer- Acha nahi hai.Aap jaha bhi jo abhi ke abhi a jao.

Komal- Beta main abhi nahi a sakti.Mujhe bahot kaam hai.

Veer- Aapke Veer se bhi badah kaam hai.

Komal rou rahi thi.Par usko yeh karni thi.

Komal- Beta main jaldi a jayungi.

Veer- Aap jaldi a jana.

Komal- Thik hai beta aab main rakhti hoon.

Phir usne phone rakh diya.Sabhke ankhon mein asu the.

Veer- Bua aap logh rou kyu rahe hai.Dekho main bilkul thik hoon.

Divya Bua- Haan mere bachcha tu bilkul thik hai.

Veer- Bua mujhe ghar janah hai.Mujhe yaha accha nahi laghta.

Kajol Bua- Beta hum doctor se baat karte hai.

Veer- Jaldi kariye baat.

Komal bhi andar a chuki thi.Doctor bhi a chuke the Veer ko check karne ke liye.Doctor Veer ko check karke kahan.

Doctor- Dekhiye inko aap le toh jaa sakte hai lekin bahot care lena padega.Kya aap logh kar payenge.

Pari- Hum kar lenge doctor.

Doctor- Thik hai phir aap logh le ja sakte hai.Main intezam karta hoon.

Doctor chala gaya.

Veer- Aap logh mera dekhbal kyu karenge.

Komal aur Pari dono pareshan ho gaye aab kya bole.

Komal- Kyu ki aapke Dadi ne hame kahan hai aapki dekhbal karne ke liya.

Veer- Oh acha Dadi ne kahan hai.Phir thik hai.

Phir Veer ko hospital se release kar dete hai.Rishabh aur Shakuntala aapni ghar chale gaye.Divya bua aur Kajol bua Veer ke sath chale gaye​

Please complete the required fields.