Update 139
Aaj Sunday hai isliye sabh ghar mein bethe huye the.Veer terrace par beth kar news paper padh raha tha aur Bachche terrace ke kinare par khel rahe the.Komal aur Pari Sunday special khana banah rahe the.Tabhi waha par Kamla akar boli.
Kamla- Malik sarpanch ji aye hai.
Veer- Main ata hoon.
Veer news paper rakh kar niche chala aya.Hall mein sarpanch betha huya tha.Veer ke ate hi sarpanch khada hokarr namaste kiya.Veer beth gaya aur sarpanch ko bhi bethno ko kahan.
Veer- Boliye kaise ana huya.
Sarpanch- Thakur saab baat yeh hai ki ek baba aye hai.
Veer- Baba.Matlab?
Sarpanch- Ek sadhu baba aye hai.Sabh keh rahe hai chamatkar karte hai.Woh baba kehta hai ki woh paani ke upar chal sakte hai.
Sarpanch ki baat sunkar Veer hasne lagah.
Veer- Sach mein.
Sarpanch- Ji.
Veer- Aapko kya laghta hai.
Sarpanch- Mujhe toh kuch samajh nahi a raha hai.
Veer- Toh phir aap mujhse kya chahte hai.
Sarpanch- Main bas itna chahta hoon ki aap jakar ek baar dekhen.Logh usko aapna paisa jeevar sabh de rahe hai.Badle mein woh baba sabh ko aashirvaad de rahe hai.
Veer- Toh aapko kya pareshani hai.Agar sabh mante hai ki woh baba chamatkar kar sakte hai.
Sarpanch- Mujhe sirf ek hi pareshani hai.
Veer- Kya.
Sarpanch- Woh agar chamatkar karta toh main samajh sakta tha lekin woh sabh ko loot raha hai.Aise toh logon ka bahot badi nuksan ho jayega.
Veer kuch der socha.Agar aise jakar kahan ki yaha se chale jao toh logh yehi samjhega ki main galat kar raha hoon.Usko sabit karn padega yeh baba dongi hai.Kuch soch kar Veer bola.
Veer- Aap ek kaam kariye.Kaal subah yaha a jaiye.Main aapke sath chalta hoon.Phir dekhte hai kya kar sakte hai.Aur haan ek kaam kijiyega.
Phir woh aapna plan batata hai sarpanch ko.Sarpanch sunn kar khush ho gaya.
Sarpanch- Acha hai.Aab main chalta hoon.Namaste thakur sahab.
Sarpanch waha se uthkar chala gaya.Veer kitche ki taraf chala gaya.Komal aur Pari khana banah rahi thi.Veer jakar unke pas khada ho gaya.
Komal- Sarpanch kyu aya tha.
Veer ek gajar uthakar khane lagah.Khate khate sari baat batayi.
Komal- Aisa kabhi hota hai kya.
Veer- Nahi hota hai isliye toh dekhna chahta hoon.
Pari- Jo bhi karna jaldi karna.Nahi toh woh sabh ko loot lega.
Komal- Aisa baba ko toh chappal se mar mar kar bhagane chahiye.Chamatkar agar kar sakte ho toh karo na.Logon ko kyu loot raha hai.
Veer- Are shanti shanti.Itna garam kyu ho rahi ho.Usse toh aab main sabak sikhaunga.Bahot paani mein chal sakta hai na.Aise paani mein chalaunga ki zindaghi bhar yaad rakhega.
Phir waha par sabh bachche a gaye.Dopeher bhi ho chuke the.
Payal- Mummy bahot bhukh lagh rahi hai.
Pari- Jakar betho abhi dete hai.Aap bhi jakar bethiye.
Phir Veer aur bachche table par beth jateh hai.Komal aur Pari khana serve karti hai.Aaj sabh ka manpasand khana banaya gyaa tha.Sabh maje se khana khaya.Phir sabh aapne aapne kamre mein chalaa gaya.Komal rest karne ke liye aapne kamre mein chali gayi.Veer Pari ke kamre mein chala gaya.

