Update 129
Veer ke pas aab sirf 20,000 dollars tha.Aab New Zealand mein kya karega usko malum nahi hai.Woh 20,000 american dollars se Auckland mein ek shop kirai par leta hai.Shop jyada badah toh nahi hai lekin soune ke liye ek bed bhi tha andar.Aab yehi Veer ki zindaghi.Woh aapna sim card bhi badal liya.Sirf Mahesh aur Priya ki phone no tha waha par.Woh Priya ko phone karta hai.
Veer- Kaisi hai meri gudiya.
Priya- Main achi hoon bhaiya aap kaise hai.
Veer- Main bhi thik hoon.
Priya- Bhabiyan kaisi hain.
Veer kuch samay lekar dhime se bola.
Veer- Achi hain.
Priya- Bhaiya kuch samasya hai kya.
Veer halki si muskurate huye.
Veer- Nahi gudiya kuch problem nahi hai.
Phir woh kuch der baate karke rakh deta hai.Veer nahi chahta tha ki Priya ko pareshani ho.Phir Veer lagh jatah hai aapni nayi zindaghi mein.
Yaha sham ko bachche hall mein beth kar khel rahe the aur Komal aur Pari baate kar rahe the.Aaj kya kiya inn sabh ka baate ho raha tha.Tabhi waha par Mahesh aya.Mahesh waha par akar bola.
Mahesh- Namaste madam.
Mahesh ko dekh kar Komal aur Pari ki thodi khushi mili.Kyu ki Veer ke bareme kuch jaan sakti thi.Jitna bhi naraz ho Veer ko toh pyaar karti thi.
Komal- Are Mahesh ayo betho.
Mahesh jakar sofe mein beth jatah hai.
Komal- Toh batao kaise ana huya.
Mahesh- Woh aap logon ko kuch dena tha.
Mahesh divorce wala envelope unko de deta hai.Dono divorce papers dekh kar mayus ho jateh hai.Sabh ladkiyan aise hi mayus hote hai jabh aapna pyaar khatam ho jatah hai.Woh dono khud ko sambhal kar boli.
Komal- Aur batao kya chal raha hai.
Mahesh- Bas chal raha hai.
Komal- Buisness kaisi chal rahi hai.
Mahesh- Aap jaisa chalayenge baisa chalenge.
Komal aur Pari ko kuch samajh mein nahi aya ki yeh aisa kyu bol raha hai.
Komal- Matlab main kuch samjhi nahi.
Mahesh- Woh sir ne buisness ka 50% aapko de diya hai aur 50% Pari madam ko de diya hai.Bachchon ke naam par bank mein 100 100 crore rakh kar gaye hai teeno ke naam par.Yeh raha papers.
Mahesh papers samne rakh deta hai.Komal aur Pari toh hairan ho gaye.Veer ne aisa kyu kiya.Agar sabh kuch de diya hai toh uske pas kya rakha hai.
Mahesh- Aur gaon ke zamin bhi aapke bachchon ke naam kar diya hai.
Komal- Mujhe toh kuch samajh mein nahi a raha hai ki kya ho raha hai.Woh aisa kyu kiya.
Mahesh- Jabh divorce papers mila toh unki aas hi khatam ho gaya tha aap logon ko phirse paane ki.Isliye woh kuch nahi rakha sabh kuch aap logon ki naam par karke chale gaye.
Aab Pari aur Komal khadi ho gayi.
Pari- Chale gaye matlab.
Mahesh bhi khada hokar bola.
Mahesh- Haan sir chale gaye hai iss desh ko chhodh kar.
Komal- Nahi aisa nahi ho sakta.
Pari- Veer mujhe chhodh kar nahi ja sakte.
Bache bhi sabh sunn rahe the.Jabh unko patah chala ki unke papa unko chhod kar chale gaye tabh woh daud kar aye.
Payal- Papa hame chhodh kar chale gaaye.
Ananya- Nahi papa hame chhodh kar nhi ja sakte.
Aditya- Papa hame kyu chhodh kar chale gaye.
Teeno roune lageh.
Mahesh- Woh jaane ke waqt aap dono ke liye yeh doo letter chhodh kar gaye the.
Mahesh Pari ka letter Pari ko de deta hai aur Komal ka letter Komal ko.Phir waha se nikal ata hai.Komal aur Pari roune laghti hai.Dono apni aapni kamre mein chale jateh hai.
TO BE CONTINUED…….

