Update 124
Aditya Ananya aur Payal chhat par beth kar khel rahe the.Payal aur Ananya gudiya se khel rahe the aur Aditya akele akele bat se cricket khel rahe the.Teeno ko acha nahi lagh raha tha kyu ki teeno ke pas papa jo nahi the.Inn 1 saal mein teeno ne bahot baar aapni mummy se pucha ki papa se kyu naraj hai.Par unn logon ne kuch nahi batayi.
Payal- Didi mujhe papa ki yaad a rahi hai.
Ananya- Mujhe bhi betu.
Payal- Papa agar yaha hote toh hamare sath khelte na.
Ananya- Haan Papa toh hamare sath hi khelte the.Patah nahi mummy papa mein kis baat ki jhagda hai.
Payal- Bhaiya Papa hamse pyaar nahi karte kya.
Aditya bhi waha par beth gya aur kahan.
Aditya- Nahi betu aisi baat nahi hai.Papa hamse bahot pyaar karte hai.Lekin mummy papa mein ladai huyi hai na isliye woh hamse milne nahi ate.
Payal- Mummy se jhagda huya hai hamse toh nahi na phir woh hamse kyu nahi milte.
Aditya- Patah nahi betu.Chal inn baat ko chhod chal hum khelte hai.
Payal- Mujhe nahi khelna papa ke bina.
Inn logon ka baate Komal aur Pari sunn rahi thi aur asu baha rahi thi.Aab dono kya kar sakte the.Jabh koi dukh pohonchata hai toh bahot dard hota hai.
Phir aise hi raat ho gaye.Teeno padai karke khana khaka soune chale gaye.Aditya Ananya aur Payal ek hi kamre mein teen bed mein soute hai.Komal aur Pari alagh alagg kamre mein.Rishabh aur Shakuntala ko bahot dukh tha aapni beti ki halat ko dekh kar par nati natni ko pakar dil bhi khushi se bhara rehta hai.
Aaj Payal aapni mummy ke sath soune ki mann banah li thi.Isliye woh aapni teddy ko sath lekar Pari ki kamre mein chali gayi.Pari bed mein adh leti kahin ghum thi.
Payal- Mummy main aaj aapke sath sou jayun.
Payal ki baat sunkar Pari ko hosh ayi.Woh ek smile ke sath boli.
Pari- Aaja meri gudiya.
Payal lapak kar bed mein chhadh gayi aur aapni mummy ki ghod mein sama gayi.Pari Payal ko pyaar karne laghi.
Payal- Mummy kuch kahani sunao na.
Pari- Mujhe kahani nahi ati gudiya.
Payal- Phir aap aur Papa kaise mile yeh bataiye.
Pari ke samne woh lamhe a gayi jo Veer ke sath bitaya tha.Veer ke sath beetaya huya haseen lamhe yaad ane laghi.Par woh yaad karni nahi chahti hai.
Pari- Main tumhe ek gudiya ki kahani sunati hoon.
Pari ne Payal ki mind divert kar di.Woh ek mangadat kahani baata di aur Payal ko sula di.Payal Pari ko pakad kar sou gayi.Aapni beti par bahot pyaar ayi.Uski ankh thodi namm ho gayi.Par woh mojboor hai.Phir aapni beti ko bahon mein lekar sou gayi.
TO BE CONTINUED ………

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.