Update 117
Pari ka bhigi huyi ankhen dekh kar kuch pal mein usko hi dekhta raha.Jin ankkhon mein main asu nahi dekh patah tha.Aaj uss ankhon mein dard dekh raha hoon.Woh dard beizati ka dard tha.
SP- Oye hero tu kyon hai.
Main uss SP ki taraf dekha.Uski ankhon mein dekhne lagah.Uski ankhon mein koi sharam nahi tha.Ek masoom ladki par jhuta ilzam lagakar bhi aisa khada tha jaise koi masoom bacha ho.
Main- Main kyon hoon yeh toh aapko baad mein patah chal jayega.Lekin main yeh puchna chahta hoon ki kis binah par aap inko pakad kar le ja rahe hai.
SP- Tu sunah nahi prostitution ki case mein.
Main- Kya sabut hai.
SP- Yeh ladki hai na.
Main- Yeh ladki kyon hai.
SP- Yeh ek prostitute hai aur isne gabai di hai ki yeh ladki dhanda karti hai.
Main- Acha kaal ko main ek chakke ko pakad kar usse bhulaon ki tu dhanda karta hai toh.
Mere baat sunkar woh SP ghussa ho gaya.
SP- Tera himmat kaise huya mujhse aisa baat karne ki.
Main- Are wah tu kisi ko pakad kar kahega ki yeh dhanda karti hai toh tu mann liya.Khud ke liye kyu nahi.Aise koi keh diya na usse kuch sabiy nahi hota.Iss ladki se pucho isske pas kya sabut hai ki yeh dhanda karti hai.
Aab woh SP ghabrane lagah.
Main- Aab bolte kyu nahi.Pucho na.
SP- Haan haan k kya sabut hai tumhare pas.
Woh ladki idhar udhar dekhne laghi.Main uss aadmi ki or dekhne lagah.Woh bhi kasmasa raha tha.Main uske pas chala gaya.
Main- Hello.Sirf ek bajaru ladki ko pakad kar khada karke yeh kehne se sabit nahi hota ki yeh dhanda karti hai.
Aadmi- Tu hai kyon.
Main- Main kyon hoon yeh puch raha hai.Iss shahar ki kisi ko bhi puchne par keh dega main kyon hoon.Par koi baat nahi main hi bata deta hoon.Mera naam hai Thakur Veer Pratap Singh.
Yeh kehte hi uska hawa nikal gaya.
Main- Kyu pasand aya.
Aadmi- Tu hamare bich kyu a raha hai.
Main- Aab kisi ladki par ach aye toh main kaise khada khada dekhta rahun.Chup chap tera yeh kutte ko lekar yaha se chala jaa.Nahi toh tujhe barbad karne mein mujhe samay nahi lagega.
Woh aadmi ka hawa nikal gaya.Woh aapni bete ke sath car mein jate jate bola.
Aadmi- Mera naam bhi Mahavir hai.Dekh lunga tujhe.
Phir woh aadmi aur uska beta waha se chala gaya.Main jakar SP ke pas khada ho gaya.
Main- Kyu tumhare malik toh bhag gaye.Aab tum bhi jao.Nahi toh main commissioner ko call karun.Agar aapko jane mein problem ho raha hai toh.
SP ka paseena chhutne lagah.Woh paseena poch poch te kahan.
SP- Are nahi sir.Agar aap pehle keh dete ki aap kyon hai yeh kaam main nahi karta.
Main- Tu woh kida hai jo samajh ko khokhla karta hai.Get out.
Woh SP aur uska sathi fatafat nikal gaya.Phir main uncle aur aunty ki taraf dekha unka ankhen namm tha.Pari ka bhi ankhen bhigi huyi thi.Abhi bhi logon mein baate ho raha tha.Yeh toh logon ka kaam hota hai.Main Komal ke pas chala gaya.
Main- Chalo chalte hai.
Komal- Haan chalo.
Hum dono jaise hi jane lageh Rishabh uncle ne mere hath pakad liya.Main unke taraf dekha.Unki ankhon mein asu tha.Woh mere hath pakad kar bola.
Rishabh- Beta kya tum meri beti se shaadi karoge.
Unki baat sunkar toh main shocked ho gaya.Main Pari ke taraf dekha.Woh sar niche kiye khadi thi.
Main- Yeh aap kya bol rahe hai uncle.Mera shaadi ho chuka hai.Mera doo bachche bhi hai.
Rishabh- Main janta hoon.Tum hi meri beti ke liye sahi insan ho.Meri beti tumhe bahot pyaar karti hai.Maine bahot mushkil se usko yeh shaadi ke liye manaya tha.Lekin uski jaan toh sirf tum par tha.
Main- Uncle mera shaadi ho chuka hai.Pari ek achi ladki hai.Bhagban kare woh sukhi rahe.Mere zindaghi mein usko lakar main usko dekhi nahi kar sakta.
Rishabh uncle Komal ke pas jakar bola.
Rishabh- Beti tum meri beti ki tarah ho.Meri beti Veer ko bahot pyaar karti hai.Pls meri beti ko bacha lo.Woh sahi se jee nahi payegi.
Komal ka bhi ankhon se asu nikalne laghi.Woh toh mujhe pehle hi kahan tha.
Komal- Uncle aap tension maat lijiye.Veer Pari se shaadi karega.
Main Komal ki taraf dekhne lagah.Woh mere hath pakad kar bola.
Komal- Meri bajase tum aur Pari alagh huye the.Main har pal khud ko kos rahi hoon.Jee nahi pa rahi hoon.Pls Pari se shaadi karlo.Mujhe bahot khushi milegi.
Main Komal ki ankhon mein dekhne lagah.Waha par ek aas bhari nigahe thi.Uss ankhon mein ek jhalak dekha tha hame milane ki kasam ka.
Phir aur kya main tyaar ho gaya.Mera aur Pari ka shaadi bahot dhum dham ke sath huya.Aaj mera dil ko ek khushi mil raha tha.Par ek baat par mujhe hasi bhi a raha tha ki mera shaadi aise kyu hota hai.Phir bidai ka waqt aya aur Pari roune laghi.Phir Pari aur Komal car ke piche beth gaye.Main car chalane lagah.Komal Pari ke sath baat karne laghi.
Komal- Jabh mujhe aap dono ki pyaar ke bareme patah chala tha tabh mujhe bahot bhura lagah ki meri bajase aap dono alagh ho gaye.Par aaj mujhe bahot khushi mil rahi hai.Meri sauten bankar kaisi lagh rahi hai.
Main mirror mein dekha.Pari has rahi thi.Woh bahot khush thi.Phir dono iss tarah baate karne lageh.Hum bua ke ghar ke samne a gaya.
Main- Aab kya karen.Maa ko kya kahoge.
Komal- Unki tension nahi hai.Tension toh hai mami ko lekar.
Aab mujhe darr laghne lagah.Bua kaisi react karegi.Hum sabh ghar ke andar a gaye.Jabh hum ghar aye tabh dekha bachche bahot rou rahe the aur sabh chup karane ki koshish karne lageh.Komal daud kar unke pas chali gayi.Woh unko ghod mein utha liya.Jabh sabh hamare taraf dekhi toh shocked ho gaye.Sabh sawaliyan nazar see hame dekhne lageh.Phir Komal ne sari kahani baatai.Sonali bua koi react nahi ki jaise woh pehle se sabh janti hai.Divya bua kuch der mere taraf dekhti rahi.Woh mere pas ayi.Mujhe lagah abhi thappad padega.Lekin kaamal ho gaya.Woh mujhe gale lagah liya.Aab yeh kya hai.
Divya Bua- Aaj mere dil se ek bojh utar gaya.Jabh mujhe patah lagah ki tum kisi aur se pyaar karte the.Lekin meri ek baar kehne se tum Komal se shaadi karne ke liye tyaar ho gaye.Par maine tumhare sath galat kiya.Aaj main bahot khush hoon.
Main- Par aapko kisne bataya.
Divya bua has kar boli.
Divya Bua- Sonali ko Komal ne aur mujhe Sonali ne.
Main Komal ki taraf dekhne lagah.Woh Sonali bua ki taraf dekhne laghi.Usko patah nahi tha ki Sonali bua Divya bua ko kahin.Phir sabh Pari ko accept kar liya.Phir maine Priya ko bhi Pari see introduce karvaya.Pari bachchon ke sath bhi ghulmil gayi.Woh bachchon ko bahot pyaar karne laghi.Uss din main Aakshay ke sath soya aur Komal aur Pari ek sath.Kaal hame gaon jana tha

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.