Update 115
Zindaghi khel bhi ajeeb khel hota hai.Kabhi chin leta hai kabhi lauta deta hai.
Main aur Komal jabh unke ghar ke pas pohonche toh dekha raste se lekar ghar tak sajavat tha.Aisa lagh raha tha koi maharani ki shaadi ho.Par Pari ek rani se kaam nahi thi.Jisko sabh panah chahte hai.Bahot sare logh a rahe the.Main ghar ke bahar car ruka.Main aur Komal car se utarkar gate ki taraf ja rahe the.Waha par Uncle khade the.Jabh unhone mujhe dekha toh aisa shakal banaya ki patah lagh raha tha ki kitna naraj hai woh mujhse.Main jakar unke samne khada ho gaya.
Main- Namaste uncle.
Komal bhi namaste kiya.
Rishabh- Are andar jaiye Mr.Veer.Aap hamare mukhya atithi hai.Jara dekhiye maine meri beti ke liye kitna acha damad chuna hai.
Main aur koi baat nahi kiya.Main andar ghus gaya.Ghar ko lighton se saja ke rakha tha.Charo taraf sajavat.Koi kaami nahi tha.Hamne jakar gift jama kar diya.Phir Main Komal ko lekar ek jagah khada ho gaya.Shayed abhi tak barat nahi aya tha.Maine Komal ko ek chair pe betha diya.Main uski pas khada ho gaya.Tabhi waha par ek waiter aya.Uske pas sharbat tha.Maine ek glass Komal ko diya.Komal ki zid karne par maine bhi ek glass liya.
Mera mann nahi tha kuch khane ko isliye sirf lekar khada raha aur charo taraf dekh raha tha.Mujhe Shakuntala aunty dikhai diya.Woh bhag daud kar rahi thi.Jabh unhone mujhe dekha toh thodi der mujhe dekhti rahi.Unki ankh naam ho gayi.Unko dekh kar mere bhi ankh mein naami cha gaya.Main aur nahi dekh saka.Main nazar hatah liya.Woh ghar ke andar ghus gaye.
Rishabh uncle logon ka swagat kar rahe the.Sabh kuch tyaar ho chuka tha.Komal ek jagah beth beth kar bore ho gayi thi.Isliye hum chalne lageh.Komal meri ek baju pakad kar chal rahi thi.Hum chalte chalte Pari ke kamre ki balcony ke pas chala aya.Na chahte huye bhi maine ek baar Pari ki balcony ke aur dekha.Waha par kuch ladkiyan khadi thi.Patah nahi kyu mera dil jor jor se dhadak raha tha.
Tabhi humne dekha sabh logh gate ki taraf ja rahe the.Shayed barat a gaya tha.Shakuntala aunty aarti ki thali lekar gayi waha par.Main aur Komal dhur se dekhne lageh.Yeh wohi ladka hai jisko maine Pari ke sath hospital ke bahar dekha tha.Sabh rasam niptakar Shakuntala aunty ghar ki taraf ja rahe the.Par maine ek chij notice kiya tha ki Rishabh uncle jaise jhut mut ka smile kar rahe the.Ladke ko mandap mein betha diya gaya.Main aur Komal bhi jakar mandap ke pas chairs mein beth gaye.Pandit mantra padhne lageh.
Kuch der baad Pandit ne kahan.
Pandit- Kanya ko bulaiye.
Shakuntala aunty andar chale gaye.Main bhi ghar ki taraf dekh raha tha.Pari ko akhri baar dekhne ke liye.Kuch 5 min baad Pari ko ladkiyan le a rahe the.
Kya yeh swarg ka apsara hai kya.Ek lal saree mein.Ghungat udkar.Kisi ko bhi dewana bana sakti hai.Main uski taraf dekha.Woh dhime kadmon ke sath a rahi thi.Main aur sabh uski taraf dekh raha tha.Jabh woh mandap ke pas se ghujar rahi thi toh woh mujhe dekhi.
Main bhi uski ankhon mein dekhne lagah.Aisa lagh raha tha ankhon se aag nikal rahi hai.Ankhon mein ek dard tha.Jiske age mein dekh nahi paya.Aapna palke jhuka liya.Pari ke chehre par shaadi ka koi khushi nahi thi.Aisa lagh raha tha jaise koi robot ka shaadi karva raha hai.Main dil se Pari se maafi mangne lagah.Komal mere kandhe par hath rakhi.Uska ankh bhi naam thi.Maine usko ek halki si smile diya.Phir main waha beth gaya gardan niche karke.Main Pari ki aur dekh nahi pa raha hoon.
Pandit ki mantra mere kano mein ghunj raha tha.Main chahta tha yeh pal rukh jaye.Par samay ko koi rokh nahi patah.Unka paire ho gaya tha.
Pandit- Aab baar kanya ke mang mein sindoor lagaiye.
Mera saans jor jor se chalne lagah.Mera Pari mujhe chhod kar chali jayegi.Mera dil ka har tukra cheekh cheekh kar keh raha tha nahi nahi.Par main kuch kar nahi pa raha tha.Tabhi……

