Update 112
Pari shayed Komal ko check karne ayi thi.Ankhon mein chashma.Ek safed salwar kameez.Aisa lagh raha tha jaise koi Angel ho.Jo angel chashma pehenti ho.Main aapne mann mein hi has padah.Pari Komal ko check karne laghi.Main bas usko hi dekh raha tha.Pehle uski chehre par ek noor hota tha.Par aab woh kahin gayeb ho gaya tha.
Pari bachchon ke sath has has kar baate karte karte checkup karne laghi.Ek baat maine notice kiya.Pari ek baar bhi mere taraf nahi dekhi.Shayed woh piche mudh kar nahi dekhna nahi chahti.Phir Pari waha se chali gayi.
Patah nahi kyu mujhe bahot dard huya.Uski yeh rutha pann dekh kar.Par usko bhi aapni zindaghi jeene chahiye.Main jakar Komal ke pas beth gaya.Sonali bua dusre taraf bethi thi.Bachche Komal ke pas tha.Hum sabh bachchon ke sath khelne lageh.
Main- Ladka kyon aur ladki kyon patah hi nahi chal raha hai.
Mera baat sunkar dono hasne lageh.
Main- Has kyu rahe ho.Agar patah nahi chal raha hai toh main kya kar sakta hoon.
Sonali bua ek ki taraf ungli karke boli.
Sonali Bua- Yeh hai ladka aur yeh hai ladki.
Main- Aapko kaise malum.
Sonali Bua- Jabh susu kiya tha tabh towel badalte dekh liya tha.
Main- Hmm.Par inka naam kya rakhe.
Tabhi Komal bol padi.
Komal- Aditya aur Ananya.Mera Adi aur Anu.
Yeh kehkar woh bachchon ko pyaar karne laghi.Mujhe bhi naam pasand aya.
Sonali Bua- Achi naam hai.
Main- Haan bahot achi naam hai.
Sonali Bua- Maine toh socha tha pooja rakh kar naam karan karunga.Par abhi naam rakh diya.
Main- Toh kya huya.Hum abhi bhi pooja rakhenge.Sabh ko invite karenge.
Phir hum kuch der baate karne lageh.Phir Komal aur bachche rest karne lageh.Main sham ko ane ko kehkar bahar chala aya.Hospital ke bahar akar dekha toh Pari kisi ladke se baat kar rahi thi.Ladka dekhne mein handsome hai.Shayed usne kisi ko dhund liya hai.Chalo acha hai.Phir dono car lekar chale gaye.Mujhe bahot dard huya.Shayed Pari ke liye thoda bahot pyaar tha.Isliye nahi dekh saka kisi aur ko Pari ke sath.Main car mein beth kar gaon ke taraf jane lagah.
Patah nahi kyu mere ankhon se asu nikalne lagah.Kuch na paane ki asu tha shayed.Dil se dua karta hoon khush rehna Pari.Phir main kabh ghar chala aya patah bhi nahi chala.Main ghar ke andar akar dekha Priya hall mein bethkar drawing kar rahi thi.Mujhe dekh kar bhagte huye bhaiya kehkar ayi.Maine usko ghod mein utha liya.
Main- Tumhara exam kaisa gaya.
Priya- Bahot achi.
Main- Khana khaya.
Priya- Nahi.
Main- Kyu?
Priya- Aapke sath khaungi.
Main- Chalo hum khate hai.
Phir main Priya ke sath beth kar thoda sa khaya.
Main- Chalo tyaar ho jao.
Priya- Kyu bhaiya.
Main- Hum Komal ke pas jayenge.
Priya- Wow bhabi ke pas jayenge.Main abhi tyaar hoti hoon.
Woh andar chali gayi.Main aapne kamre mein jakar naha liya.Phir aapne kuch kapde packing kiya.Waha par kuch din rukhna jo tha.Main Priya ke pas a gaya.Woh ek lal frock pehni huyi thi.Lal pari lgh rahi thi.Maine uski kuch kapde packing kiya.Phir hum nikal pade shahar2 ki taraf.
Hum hospitall pohonche toh usne mujhe sawal karna shuru kar diya ki yaha kyu ayye.Maine usko andar le gaya.Jabh woh Komal ko dekhi toh bhag kar uske pas chali gayi.Usko lagah Komal ko kuch huya hai.
Priya- Bhabi aapko kya huya hai.
Komal- Kuch nahi.
Priya- Phir aap yaha kyu.
Main Priya ko lekar bachchon ke pas chala gaya.Woh bachchon ko dekh kar bahot khush ho gayi.Woh unke sath khelne laghi.Phir raat ho gayi.Maine Priya ko aur Sonali bua ko ghar bhejh diya.Raat ko main rukh gaya.Komal aur bachche toh sou chuka hai.Aab hospital mein nind kisko ata hai.Main mobile mein photo dekhne lagah.Kabh nind a gaya patah bhi nahi chala

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.