Main Aur Mera Gaon – Update 103 | Adultery Sex Story

Xossip
Reading Mode

Update 103

“GHOD BARAI CEREMONY PART-2”

Pura haveli ko dulhan ki tarah sajaya gaya tha.Charo taraf lightyon ki jhilmilata huya roshni se ujhwal sama huya tha.Komal ko lekar dusre room mein chale gaye the usko tyaar karne ke liye.Main bhi tyaar ho gaya Komal ko di huyi sherwani pehenkar.Phir main Dadi ke photo ke samne khada hokar bola.

Main- Dadi aaj Komal ki ghod barai hai.Hamare bachchon ko aaj bahot sare logh aashirvaad dene wale hai.Aap jaha bhi raho mujhe patah hai aap hamisha mere sath ho.Aap bhi hamare bachchon ko aashirvaad dena.

Yeh kehte kehte mera ankh naam ho gaya.Phir main niche chala aya.Hall ki sofe hatah di gaya tha aur waha par ek pooja ke liye jagah banai gaya tha.Pandit sabh tyaari kar rahe the.Main bhi waha khada hokar sabh tyaari dekh raha tha.Aakash uncle aur Sameer uncle bhi tyaariyon ko dekh rahe the.

Pandit- Thakurain ji ko lekar aiye.Shubh samay nikal raha hai.

Aakash uncle ne Sahil ko kahan Komal ko le ane ke liye.Thodi der baad teeno bua ke sath Komal sidiyon se utarte huye nazar ayi.Teeno bua bahot sundar lagh rahi thi.Meri nazar Komal par padah toh main bas usko hi dekhta raha.Aisa lagh raha hai jaise koi naye naveli dulhan ho.Lal shaadi ke sari mein aisa lagh raha hai jaise
koi apsara.Lal pari ki tarah.Lal pari se mujhe Pari ka yaad a gaya.Main aab jaan chuka hoon.Main kitna bhi Komal ko pyaar kar loon par Pari hi mere dil ki dhadkan hai.Agar Komal mere dil hai toh Komal hai meri dhadkan.Komal ko lekar beth diya gaya.

Pandit- Thakur sahab aap bhi a jaiye.

Main jaise nind se jagah.Main samne dekha toh pandit mujhe bola raha tha.Main jakar Komal ke sath beth gaya.
Phir pandit mantra padhna chalu kar diya.Karib 30 min tak pooja karne ke baad pooja khatam huya.Phir Komal ko lekar gaya aur usko ek kursi pe betha diya aur uski ghod mein ek chunni rakh diya.Sabh uski ghod mein gift de rahe the aur aashirvaad bhi de rahe the.Mujhe bahot acha lagah.Rama aunty bhi Komal ko aashirvaad diya.Kuch der baad maine dekha darwaza se Rishabh uncle aur Shakuntala aunty a rahe hai.

Mujhe lagah main sapna dekh raha hoon.Main unke tarap bas dekh hi ja raha tha.Mujhe lagah yeh sapna hai.Mujhe tabh yakin huya jabh koi mujhse takra gaya.Yeh toh sapna nahi hai.Par yeh dono yaha kya kar rahe hai.Woh sidha Komal ke pas chale gaye.Shakuntala aunty Komal ko gift dekar boli.

Shakuntala- Beta hamisha khush raho aur swast bachche ka maa bano.

Maine ek baat notice kiya ki jabh woh yeh bol rahi thi tabh unke ankh naam ho gaye the.Riahabh uncle bhi aashirvaad diya.Phir Komal mujhe waha bolane laghi.

Komal- Aap idhar aiye na.

Rishabh uncle aur Shakuntala aunty ne mujhe dekha.Mujhe dekhte hi Rishabh uncle Aakash uncle ke pas chale gaye.Shayed mujhse naraj honge.Main Komal ke pas jakar khada ho gaya.

Komal- Yeh hai Shakuntala aunty.Inki pati ne tumhe uss din bapas laye the.

Isski baat sunkar toh main shocked ho gaya.Riahabh uncle ne mujhe ghar laya tha.Shayed laye honge.

Main- Namaste aunty.

Shakuntala- Namaste beta.Kaise ho?

Main- Ji thik hoon.

Komal- Aunty chaliye aapko maa aur bua ji se milvata hoon.

Komal unko lekar chali gayi.Main bhi bahar chala gaya.Gaon ke sabh logon ko khane ke liye betha diya gaya tha.Laghbagh sabhki khana ho gaya tha.Sabh ke khana hote hote doo ghante lagh gaye the.Sabh aab bidai lene laghe.Sabh aapne aapne ghar chale gaye.

Aab Sirf hum family members hi reh gaye the.Hum sabh bethkar khana khane lageh.Sahil aise kha raha tha jaise kabhi khana khaya hi nahi ho.

Sameer Uncle- Sahil tum aise kyu kha rahe ho.Ahista se khao na.

Sahil- Khate huye…Papa bahot bhuk lagh raha hai.

Kajol Bua- Agar itna bhuk lagah tha toh pehle kyu nahi kha liya.

Sahil- Kaise khata mummy.Main kaam mein busy tha.

Uski baat suunkar hum sabh hasne lageh.

Sahil- Sachi maine bahot kaam kiya.

Divya Bua- Acha aapne kya kaam kiya.

Sahil- Maasi maine video banaya na.

Iss baat par bhi sabh has padeh.

Aakash Uncle- Bakei mein aapne toh bahot badah kaam kiya.Yeh toh bahot important kaam hai.

Sahil- Thanks Mausa ji.

Aise hi hasi majak karte karte 12 baaj gaye.Sabh bahot thak chuke the.Sabh aapne aapne kamre mein jakar sou gaye.Main aur Komal aapne kamre mein akar dress change kiya phir bistar mein akar bahon mein bahon dal kar let gaye.

Main- Tumko ek baat puchon.

Komal- Hmmm.

Main- Tumne Rishabh uncle ko invite kaise kiya.

Komal- Woh unka phone number munimji se le liya tha maine.

Main- Hmm.Baise aap aaj bahot sundar lagh rahi thi.Lal pari lagh rahi thi.

Komal- Sachi.

Main- Muchi.

Woh bahot khush ho gayi aur mujhse lipat kar sou gayi.Main aab Pari ke bareme sochne lagah.Kaisi hogi woh.Khush toh hai na.Kabhi kabhi mere dil mein dard hota hai.Patah nahi kyu.Aisa laghta hai jaise koi taklif mein hai.Kya woh khush hai.Aaj mujhe aunty se puchna chahiye tha Pari ke barme.Par puch nahi paya.Uncle ki behaviour se lagh raha tha bahot ghussa hai woh mere upar.Hona bhi chahiye.Maine itna bada dhoka jo diya.Par main toh halat ke age mojbur tha.Anewala zindaghi kya hoga woh sochte sochte main nind ke agosh mein chala gaya.

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply