Update 101
Subah uthkar main office ke liye tyaar ho gaya.Komal niche thi.Main fatafat ready hokar niche chala aya.Aaj ek important meeting hai.Main niche akar dekha toh bua pandit ke sath baat kar rahi thi.Main bhi jakar Komal ke pas beth gaya.
Sonali Bua- Panditji meri beti ki ghod barai ke liye ek tarikh nikalwana tha.Achi tarikh nikalna.
Pandit- Abhi nikalke deta hoon.Hamare gaon ki thakurain hai.
Iss baat par main Komal ke taraf dekha.Woh toh khush lagh rahi thi.
Main- Kya huya thakurain ji muskura kyu rahi ho.
Komal- Woh thakur saab kya hai na jabh thakurain kaha na tabh mujhe hasi a gayi.
Main- Are iss mein hasi ka kya baat hai.Aab aap hi toh iss gaon ki thakurain hai.
Komal- Aur aapki mann ki?
Iss baat par main thoda rukh gaya.Kya kehna chahti hai.Achanak yeh sawal kyu puchi.Haan shayed iss ko patah laghani hai ki mere mann mein Pari hai ki nahi.Mere dil ke ek kone mein toh Pari thi.Par main woh batana nahi chahta tha.Main halki si muskurate huye bola.
Main- Sirf aap hi ho.
Komal kuch kehni jahi rahi thi ki pandit bol padah.
Pandit- Ji mil gaya.2 din baad ki din shubh hai.
Sonali Bua- Are wah yeh toh achi baat hai.
Phir bua ne 1000 rupees diya pandit ko.Pandit bahot khush ho gaye.Phir pandit chale gaye.Unko ghod barai ke din ki invitition diya.Uss din ek havan bhi hoga.
Sonali Bua- Kaal nikal kar porso ghod barai hai.Bahot kaam hai.Logon ko niyota bhi dena hai.Kaise hoga itne sare kaam.
Main- Maa aap pareshan kyu hoti hai.Munimji gaon walon ko niyota de denge aur rahi baat tyaari ki main hoon na.Main sabh sambhal lunga.
Sonali Bua- Phit bhi beta kaise hoga.Main aaj se hi kaam shuru kar deta hoon.Kamla jara mere kamre mein ana.
Bua chali gayi.Main aur Komal unki harkat dekh kar toh shocked ho gaye.
Komal- Maa bhi na.
Main- Are yaar karne do.Maa ka pyaar hai.
Tabhi Divya bua ka phone ayi.Komal ne phone loud speaker mein dal diya.
Komal- Ji mami.
Divya Bua- Kaisi hai meri beti.
Komal- Main toh thik hoon.Aap bolo aap kaisi hai.
Divya Bua- Main bhi thik hoon.
Komal- Aapko aur Kajol bua ko invite karna tha.
Divya Bua- Kis liye.
Komal- Thodi sharmate huye…Woh meri ghod barai honewala hai.
Divya Bua- Are wah.Yeh toh bahot badiya hai.Kis din hai.
Komal- Porso.
Divya Bua- Thik hai.Hum chale ayenge.
Komal- Yaad rakhiyega.Aapka aur Kajol bua ka full family ana chahiye.Nahi toh main naraz ho jaungi.
Divya Bua- Ale meri bachchi.Hum jorur ayenge.
Phir woh dono kuch der aise hi baat karte rahe.Main nashta karne lagah.Jabh unka baat karna khatam huya tabh mera bhi khana ho gaya.
Komal- Main bahot khush hoon.Sabh ayenge.
Main- Pehle toh mujhe nahi lagah ki ayenge.
Komal- Meri baat kabhi nahi talte mami.
Main- Hmm.
Phir maine munimji ko call kiya.
Munimji- Boliye Malik.
Main- Suniye porso Komal ka ghod barai ka ceremony hai.Toh aap pura gaon ko niyota de dijiye.Haan khana banane walon ko aur tent walon ko bhi bol dijiyega.Kaal hi yeh sabh kuch ho jana chahiye.Thik hai.
Munimji- Aap fikar maat kariye malik.Main sabh sambhal lunga.
Phir main phone rakh diya.
Main- Chalo maa ka kuch tension toh mita diya.
Phir main office ke liye nikal gaya.Office mein jakar kaam karne lagah.Phir main meeting attend karne ke liye conference room mein chala gaya.Meeting khatam karte karte dopeher ho gaya.Dopeher ka lunch karke main phirse kamo mein lagh gaya.Phir main factory mein chala gaya kaam dekhne ke liye.Sabh kuch acha chal raha tha.Yeh sabh karte karte sham ho gaya.Main bahot thak gaya tha aaj.Phir main ghar a gaya.Ghar mein akar dekha toh tent walon ne kaam shuru kar diya tha.Haveli ko saja raha tha.Light lagah rahe the charo taraf.Ghar ke samne bahot sare car khada dikhai diya.Aab kyon a gaya.Main andar jakar dekha toh main shocked ho gaya.Dono bua hall mein bethi huyi thi Komal ko lekar.Sonali bua yaha se waha bhag rahi thi.Sara ghar ko pocha lagah rahi thi.Main jakar dono bua ke samne khada ho gaya.Main dono bua ki paon chuya.Woh dono mujhe ashirvaad bhi diya.Yeh mere liye shocked tha.Lekin woh mere se baat nahi kari.
Main- Uncle nahi aye.
Kajol Bua- Jija aur woh ghod barai ke din ayenge.
Main aur Kuch nahi kahan bas aapne kamre mein a gaya fresh hone ke liye.Kamre mein akar dekha Sahil meri punching bag mein punch mar raha tha.Lekin punching bag hil bhi nahi raha tha.Main uske pas jakar bola.
Main- Yeh kya kar rahe ho.
Sahil- Bhaiya main fight kar raha hoon.
Main- Yeh kaisa fight kar rahahe ho hila bhi nahi pa rahe ho.
Sahil- Abhi hilata hoon.
Woh punch marne lagah.Phir bhi nahi hila.Main haste huye kahan.
Main- Tum continue karo.
Main fresh hone ke liye andar ghus gaya.Fresh hokar bahar aya toh woh abhi bhi punch mar raha tha.Woh bahot thak gaya tha.Main samne jakar bola.
Main- Main try karoon.
Sahil hanfte huye bola.
Sahil- Aap karo main beth gaya.
Woh beth gaya.Main ek do puch mar kar hila diya.
Sahil- Main itne der tak mar raha hoon phir bhi nahi hila.Aap ne do mein hi hila diya.
Main- Sirf takat se sabh kuch nahi kar sakte.Thoda technic bhi chahiye.
Sahil- Mujhe sikhaiye naa.
Main- Abhi toh bhuk lagah hai.Baad mein abhi chalo kuch kha lete hai.
Phir main aur Sahil niche a gaya.Divya bua sofe mein bethkar Komal ke sath baat kar rahi thi.Kajol bua shayed bahar gaye the.Main jakar table mein beth gaya.
Main- Bua Aruna aur Aakash nahi aye.
Bua mere taraf na dekh kar boli.
Divya Bua- Aakash aapni doston ke sath ghumne gaya hai aur Aruna America gayi hai padhne ke liye.
Mujhe bahot bhura lagah aisa bolne ke liye.Maine kuch nahi kaha.Komal uthkar aya aur mujhe khane ke liye diya aur mere pas beth gayi.Divya bua kamre mein chali gayi.
Sahil mere sath bethkar nashta kar raha tha.Woh bhukhad ki tarah kha raha tha.
Main- Kya huya tum aisaa kyu kha rahe ho.
Sahil- Bhai bahot bhuk lagah hai.Punching bag mein ghusa mar marke.
Main aur Komal has padah.Phir main khana khatam kiya aur bahar chala gaya arrangement dekhne ke liye.Main sabh kuch dekhne lagah aur madat bhi karne lagah.Tent bhi lagh gaya tha.Bahot achi tarah se lagaya tha.Yaha par gaon walon ko khana diya jayega aur ghar ke andar ceremony hoga.Raat bhi ho chuka hai.Light jalane par sara haveli chamakne lagah.Aisa lagh raha hai jaise shaadi ho.
Phir main aur Sahil bethkar baate karne lagah aur Komal aur dono bua aapne kamre mein baate karne lageh.Sonali bua ke paon toh hawa mein chal rahe the.Woh yaha se waha bhag rahe the.Patah nahi kya kar rahi hai.Phir hum sabhne milkar khana khaye.Khana khakar sabh aapne aapne kamre mein chale gaye.Main abhi bas leta hi tha ki Sahil a gaya.
Sahil- Bhaiya mujhe sikhao naa.
Main- Are yaar aaj main thak gaya.Kaal subah sikha dunga.
Sahil- Aapne kahan tha sikhayenge.
Main- Main thak gaya.Kaal subah uthna main sikha dunga.
Komal- Sahil bhaiya thak gaye hai.Kaal tumhe jo bhi sikhana hai sikha denge.Jao sou jao.
Sahil- Ok didi.
Oo jaa hi raha tha ki phirse bola.
Sahil- Oh sorry aap toh aab bhabi ho.
Phir woh bhag gaya.Main aur Komal has padah.Phir main aur Komal sou gaye.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.