Reading Mode

Update-226

Daksh College pahuch lekin vaha koe nahi tha
Na banda na koe janwar

Pure college me bilkul shanti pasri hue thi

Samay- Maine kaha tha na college me hi kuch hoga
Daksh- saant rah

Daksh serious mood ke sath chaaro taraf dekhne laga

Daksh- chal Yaha se jaldi
Samay- kya hua?

Daksh- jaldi chal yaha se
Aur daksh ne samay Ka hath pakda aur jaise hi mudne laga ek arrow aaye kahi door se jo samay ko lagne wali thi lekin daksh ne raste me hi pakad liya aur samay ko jaldi se vaha se chhup gaye

Daksh ne phone nikala aur saanvi ko call mila diya lekin saanvi ka phone off tha

Daksh- samay piche wala rasta dekh raha hai
Samay- ha?

Daksh-main opposite side me jaunga tu dusri side se us gali me bhag jana
Samay- lekin?

Daksh- piche mud ke mat dekhna aur yaha se bahar nikalte hi Mayank ko call karna aur sab bata dena lekin bahar nikalne ke baad
Samay- aap?

Daksh- main jaldi hi milta hu
Be ready
One two gooooo
Aur daksh ek side me pehle bhaga aur piche se samay vaha se nikal gaya

Ab daksh ko samjhna tha ki bhasad kya kya ho sakti hai lekin usse yaha kuch hone Ka shak tha

Fir bhi vo college me gusne laga

Pehle ek kadam aage badaya fir vaha se vapas mud ke chala gaya

Ab sala ye tha bhi to daksh
Kisko hi uske harkatein samjh aati thi

Daksh college se bahar nikal chuka tha aur fir ek shant jagah par maal fukne laga

Kuch to hone wala tha
Kya?
Ye nahi pata lekin kuch hoga jarur

Daksh college nahi gaya aur opposite side me aagya
Vaha arts department hua karta tha bahut pehle aur ab kuch nasediyo aur love birds Ka Ghar

Daksh vahi ek building me ghus gaya aur top par jake joint jala ke dekhne laga

Usse jada Kuch dikha nahi bas kuch gun liye aadmi

Jitne daksh ko dikh rahe the unko to vo aasani se maar sakta tha lekin plan ye nahi tha daksh Ka

Vo to kuch aur hi soch ke batha tha

Kuch der daksh vahi khada raha aur fir Mayank ki call aagaye

Mayank- BC Maine bola tha na kuch gadbad ho to bata de
Main aajaunga
Ab lag gaye na Lanka
Kon hai ye?
Daksh- Tu rapper kyu nahi ban jata
Ek saas se kitna bol jata hai BC

Mayank- kon hai ye log
Daksh- Khushi Didi kaha hai?

Mayank- daksh main kya puch raha hu
Daksh- Yaha se samay ko uthva le na Bhai
Main chhodne nahi aa sakta usse aur vo sahi conditions me nahi hai

Mayank- ye Poonam hai na
Daksh- har jagah Poonam hi hai Bhai
Sala ye muhobaat Hume pata nahi kis mod pe leke chhodegi
I have no fucking clue bro

Mayank- main aa Raha hu
Daksh- vahi rah
Aur sab Ka dhayan rakh
Mera hogya es jindagi Ka
Main ye last kaam karunga bas

Mayank- fir?
Daksh- I don’t know but ye mera last kaam hoga
Tu vaha dhayan rakh sab ka
Aur daksh phone kaat ke joint haath me liye college me gusne lag jata hai

Abhi tak jo shanti thi vo ab khatam ho chuki thi kyuki es jaise jaise daksh aage badh raha tha vaise vaise uske piche se log nikal rahe the

Ye sab daksh bahut ache se janta tha aur aage kya hone wala hai ye bhi

Jab daksh central building me gusa to uske piche ek puri foz khadi thi
Rocky ke sahi hi kaha tha aisa lag raha tha daksh ke against puri dunia khadi hai

Daksh building me ghus gaya tha aur hall me hi usse bahut sare bachhe dikh gaye the jinme uske dost bhi the

Unhe dekh ke hi lag raha tha ki sab khub peete gaye hai

Lekin daksh ko dekh ke unki aankhon me ek ronak aagaye thi

Unme se ek daksh ko kuch bolne hi wala tha ki Poonam piche se nikal ke aaye

All black dress me vo bilkul kahar dhaa rahi thi

Poonam- welcome my love
Welcome
Etna intezaar na karaya karo
Humse bardast nahi hota
Daksh- kya karu bada hi etna hai mera

Poonam- mujhe laga army leke aaoge
Aur jaldi aaoge
Lekin aap to akele hi aagaye
Daksh- tujhe wrong prove karna tha esliye nahi leke aaye

Poonam- lekin main ye to sahi guess kiya tha ki tum aaoge
Daksh- aur jata bhi kaha
Hum dono ko koe alag kar sakta hai kya

Poonam- no one
Daksh- that’s right no one

Daksh- let’s talk now
Poonam- yeah sure
I’m dying

Daksh- kya Chahiye bata aur hum esse jaldi khatam kar denge
Poonam ek ishara karti hai aur kuch log bahar nikal ke aate hai

Sayad news wale the kyuki camera le rakha tha unhone hath me

Poonam- start ho jao
Baby aaj sach batane Ka waqt aagya hai vo bhi Puri dunia ke samne
AAJ AAPKO PURI DUNIA KO BATANA PADEGA KI AAP ASLI ME KON HO AUR ES BAAR NO TRICKS

Start now na
Aur bhi bahut Kuch karna hai……

Please complete the required fields.