Update-187
Daksh subah utha aur sidha cube khol ke bath gaya lekin abhi bhi usse open nahi hua kyuki jis level ka nasha Daksh kar raha tha vo ek raat sober rah ke bhi khatam nahi hone wala tha
Daksh ko gussa to bahut aaya aur ek man to kiya ki sala tod ke fek de lekin fir kuch soch ke vo shant hogya aur sar pakad ke bath gaya
Bechare ko cube kholna bhi tha aur khol bhi nahi pa raha tha
Daksh apne man me
Dad kaise kholna hai ye?
Kya hai eske ander?
Kuch to rashta dikhao
Mujhse nahi ho raha
Main bahut thak gaya hu dad
Mujhe ab sona hai
Asi nind ki fir usse vapas aapki god me hi dobara uthu
Aisa lagta hai logo ko tod tod ke main khud bhi totata ja raha hu
Koe to KHUSHI do meri zindagi me
Main ab sab chhod dena chahta hu
Jeena bhi
Mujhe pata nahi Kya ho raha hai pichle kuch dino se
Main bilkul bhi theek nahi hu
Mera sar etna dard karta hai jaise abhi fat jayega aur ab to mujhe khud se bhi dar lagne lag gaya hai
Mujhe badle ke alava kuch dikhaye hi nahi de raha
Kyu nahi de raha?
Kya sab khatam karne ke baad main normal ho paunga?
Kya main kabhi normal ho bhi paunga?
Har jagah andhera hi andhera dikh raha hai
Na SHANTI hai zindagi me aur na KHUSHI
Mujhe kuch samjh me nahi aa raha
Aisa lag raha hai main pure time mirror ke samne khada rahta hu aur apne aapko judge karta rahta hu ki main kya kya kiya aur maine kyu kiya
Aap humesha bolte the ki mere sath rahoge aur ab jab mujhe aapki sabse jada jarurat hai to mujhe aap kahi bhi dikhae kyu nahi de rahe ho?
Mujhe bhi to dikhao andhere me thodi si ROSHNI
I’m tired now dad
Too tired
Aur es Daksh ki life me aaj pehle baar do bond aashu nikale gaye jisse puchne ke liye Daksh ke dono hatho ne puri kosis ki lekin safal nahi ho paye
Dad agar thode aur time aisa hi chala to sab tabhah kar dunga main
Sab kuch
Daksh aise hi thode der aur apne aapse hi baatein karta raha fir tayar hoke college pahuch gaya
Late to humesha hi hota tha Daksh aaj bhi tha
Daksh- ma’am may I come in?
Pratibha- kabhi waqt par aaoge ya pura college life aise hi gujar doge?
Daksh- I’m sorry ma’am
Daksh ne behad shant lahje me bola
Ma’am ne bhi Daksh se ye expect nahi kiya tha
Usse to lag raha tha Daksh fir koe bakchodi karega lekin fir ma’am ne usse ander bula liya
Daksh sab ko ignore karke sabse last me bath gaya
Pooja ko laga tha ki Daksh aaj fir uske pass bathega aur usse pareshan karega lekin Daksh ko piche jata dekh usko thodi saas aaye
Aaj Daksh bilkul shant batha tha
Uski najare to samne hi thi lekin dhayan kaha tha ye kisi ko nahi pata tha
Ma’am ne to bahut ache se notice kar liya ki aaj Daksh kuch unusual lag raha hai lekin unhone kuch bola nahi
Baki sab apni apni bakchodi me etne busy the ki kisi ka dhayan hi nahi gaya Daksh par sivay pooja ke
Usne Daksh ko aise batha notice kar liya tha
Class shanti se chali aur fir ma’am chali gaye
Arjun- Daksh aaja canteen me chalte hai
Daksh ne socha thoda enke sath bakchodi karega to sayad mood theek ho jaye aur ye lund mind bhi nahi karenge to bina dusra question kiye Daksh unke sath Canteen me aagya
Pawan- kisi ne decide kiya kaha jana hai?
Hritik- tu hi kar le na bhai
Humare pass thoda waqt ki kami hai
Karan- kyu?
Aaj kal gand marani suru kar di kya?
Hritik- apne shok yaha transfer mat kar
Arjun- are bc pure din bakchodi?
Sala kuch decide to kar lo
Daksh tu hi bata de bhai
Daksh to unki kuch sun hi nahi raha tha esliye kya hi jawab deta
Arjun- Daksh?
Usse hila ke
Daksh jaise nind se jagte hue
Daksh- ha kya Hua?
Pawan- tujhe kya hogya?
Acid trip to nahi kiya?
Daksh- nahi bas sar dard kar raha hai
Pawan- aaja joint peelata hu
Daksh- mood nahi hai
Pawan- behanchod ab to main chain se mar sakta hu
Daksh ne maal ko mana kar diya
Daksh kuch nahi bola bas halki si smile pass kar di
Karan- Daksh tu theek hai?
Daksh- ha kyu?
Hritik- lag to nahi raha
Daksh- to ab kya yaha nanga nach karu?
Theek dikhne ke liye
Pawan- bhadak kyu raha hai?
Chut nahi mili lagta hai esse kafi din se esliye pagal hogya hai
Daksh- main thoda kaam karke aaya
Arjun- kya kaam bc?
Class nahi Jana?
Daksh- aa raha hu
Aur Daksh nikal gaya
Ab sab ko pata chal gaya tha ki kuch to baat hai
Daksh vaha se college ke ekant me chala gaya aur pedo ke niche bath gaya
Yaha mostly couples aate the evening time me esliye es time bilkul shanata tha
Daksh vahi bath gaya aur batha raha
Bahut kuch chal raha tha uske dimag me
Mano sab kuch uthal puthal ho rakha tha aur Daksh se control nahi ho raha tha kuch
Usko thand me bhi halke halke pasine aa rahe the aur hath thode thode kaap rahe the
Daksh bahut der tak vaha batha raha aur jaise jaise time gujar raha tha uski halaat pehle se jada kharab hoti ja rahi thi
Daksh ek piche se aawaz aaye
Daksh jo es time tak pasine me naha chuka tha badi muskil se himmat karke samne dekha vaha khushi khadi thi
Vo Daksh ko aisa dekh ke thodi dar bhi gaye the aur tensed bhi hogaye the
Khushi- you okay?
Daksh- drugs hai tumhre pass?
Khushi- kya?
Daksh- please drugs hai to dedo
Main mar jaunga nahi to
Khushi- main drugs nahi karti
Hua kya hai tumhe
Daksh usse bina jawab diye apna bag kholke samaan idhar udhar fekte hue kuch dundne laga
Daksh es time ek bahut bade drug addict ki tarah behave kar raha tha
Uske sareer pura pasine me bhiga hua tha
Saase bahut tez chal rahi thi aur hath buri tarah kaap rahe the
Daksh ki kismat achi thi ki usse cocaine mil gaye aur usne jaldi se ek notebook uthaye aur us par lines bana ke ek second me khech gaya
Khushi door khadi ye sab dekh rahi thi aur ye kya chal raha hai esse samjhne ki kosis kar rahi thi
Daksh ke pass jitna stuff tha Daksh sab khatam kar Gaya aur fir bag door fek ke vahi aankh band karke let gaya
Dheere dheere vo normal hone laga aur saase vapas level par aane lagi
Khushi- Daksh?
Chhinta me boli
Daksh- mara nahi hu
Main nahi marunga
Amar hu main
Main hu Lucifer aur Lucifer kabhi marta nahi hai
Khushi- Lucifer ek fallen angel tha Daksh
Daksh- aur ab vo god of hell hai
Khushi- mujhe history ka pata hai
Tumhe kya Hua hai?
Daksh- khushi mujhse door chali jao
Etna door ki main doond na pau
Aur aap yaha jo hone wala hai usse dekh bhi na pao
Khushi- kya hogya hai tumhe?
Aur yaha kya hoga?
Daksh- dance of devil
Ab main tandav karunga
Khushi- main kon du Daksh?
Daksh- mujhe nahi pata
Lekin ab buddhe log muh kholenge
Aur es baar jo niklega vo sach hi hoga
Juth bolne ka koe option nahi hai
Khushi- tum mere maa paa ki baat kar rahe ho na?
Daksh- main un sabki baat kar raha hu jinhone mujhse ya mere bare me juth bola hai
Meri tisri aankh khul gaye hai ab
No mercy
Khushi- main unse baat karungi
Please unhe kuch mat karna
Daksh- baat karne ka time gaya
They wanted the devil and now they got it
Es baar koe mercy nahi hogi
Sirf brutality aur sirf brutality
Khushi- usse kya milega tumhe?
Daksh- marne ka option
Uske baad hi mujhe vo option milega
Khushi- to fir maar do sab ko aur fir khud bhi mar jana
Agar yehi tum chahte ho to
Lekin agar tumhri tisri aankh khul hi gaye hai to tumhe sayad ye bhi dikh raha hoga ki koe hai tumhre aas pass jo tumhri bahut care karta hai
Daksh- mujhe fark nahi padta
Aur ha marenge sab ke sab lekin bare bare se
Suruvat hogi pyaar se
Aur khatma hoga nafarat se
You either go away or witness how you’re own will destroy your own……

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.