*******
Mayank- kya dekh raha hai be?
Daksh- vo samne dekh
Kuch students ke parents aaye hue the jo unhe bade pyaar se khana khila rahe the, pyaar kar rahe the
Sab bahut khush the
Unki taraf ishara karke Daksh bolta hai
Mayank- chal khelne chalte hai
Mayank topic change karna chahta tha esliye bola
Daksh- sala kabhi humare sath bhi aisa hoga kya?
Mayank- tu kya chutiya batein kar raha hai
Chal na ek match karte hai?
Daksh- es school me bas hum do hi to chutiya hai
Sala humse kabhi koe milne hi nahi aata bc?
Mayank- hum dono to hai na bhai
Aur kis ki jarurat hai?
Daksh- Maa ki papa ki behan ki
Hume bhi to pyaar milna chahiye
Humne sala konsa kisi ka bura kiya hai?
Mayank- are sab milega
Kyu tension le raha hai?
Daksh- nahi milega bhai
Bilkul nahi milega
Main akela hi marunga
Tu dekh lena
Mayank- bc main kya dekhunga be?
Sath me marenge dono bhai
Daksh- tujhe pata hai meri maa ke pass kabhi etna waqt nahi tha ki vo mujhe galle se laga sake
Mayank- tujhe kaise pata bc?
Tujhe yaad hai pura bachpan?
Daksh- bhai khushi ke pal bhul sakte hai lekin dard bhare nahi
Sab kuch yaad hai aisa lagta hai jaise aankhon ke samne chal raha hai sab
Mayank- yaar tu khud ka mood bhi off kar raha hai aur mera bhi
Chal na bc ek match khelte hai
Daksh- tu ja
Mujhe thodi der aur bathna hai
Mayank- yaha bathne se teri mom aur dad aajaenge kya tujhse milne?
Daksh- nahi lekin dusro ko dekh ke ye pata chal jaega ki parents ka pyaar kaisa hota hai
Mayank- kyu gandu wali baat kar raha hai?
Daksh- ek saal ki aur baat hai bhai
Yaha se nikalte hi gand maar dunga main sabki
Mayank- hum
Tu nahi hum
Daksh- tu kyu meri bhasad me ghus raha hai?
Mayank- maine kabhi pucha tujhse ki tu meri bhasad me kyu ghusta hai?
Daksh- vo mera personal hai bhai
Na safe hai aur na tujhe karna chahiye
Mayank- hogya tera?
Ab chale?
Daksh- us ladke ko parso maara tha humne
Mayank- kisko?
Daksh- jiske family ko dekh rahe hai abhi
Mayank- ha to maara hoga
Kuch galti ki hogi
Daksh- nahi
Sirf esliye kyuki vo wish karke nahi hogya tha hume
Mayank- to ye bhi ek galti hi hai na
Hum seniors hai to bc bina wish kiye kaise ja sakta hai?
Daksh- aaj apni maa ke sath kitna khush hai vo
Jab main petata tha tab gate me sirf intezaar hi karta rah jata tha lekin koe aata nahi tha
Mayank- main to aaya na
Daksh- meri gand marne ke liye?
Mayank- tu bolega to vo bhi maar lunga
Tere liye kuch bhi
Daksh- mere dad mujhe khilate the aise khana jaise eske Maa esse khila rahi hai
Mayank- tu aaj kya baat kar raha hai?
Daksh- sala ye etna bada hoke bhi bc maa ke hath se kha raha hai?
Mujhe to bachpan me bhi nahi mila
Mayank- Daksh ek baat kitni baar repeat karega?
Daksh- jab tak vo mere dil se na nikal jaye aur fir dil ki jagah dimag lele
Mayank- matlab tu kisi se pyaar nahi karna chahta right?
Daksh- sahi samjha
Mayank- fir poonam aur saanvi ka kya?
Daksh- poonam mujhe chhod degi
Mayank- sale kyu ashubh bol raha hai ?
Kyu chhod degi?
Daksh- tu dekh lena
Ek din vo mujhe chhod degi
Mayank- fir tu kiska wait kar raha hai?
Daksh- uske chhodne ka
Mayank- konsa nashe karke batha hai?
Daksh- sober hu esliye hi soch raha hu
Mayank- vo tujhse pyaar karti hai
Daksh- tu hi to bolta tha ki vo sahi nahi hai
Ab tujhe kya hogya?
Mayank- maine ye kaha tha ki vo tere liye sahi nahi hai
Ye nahi bola vo sahi nahi hai
Daksh- matlab to same hai na
Mayank- nahi
Tu jaisa hai uske hisab se vo bilkul opposite hai tere se
Lekin Ladki achi hai
Daksh- bahut achi hai
Ab ye Daksh ne kis way me bola tha mujhe nahi pata
Mayank – aur saanvi?
Daksh- vo meri hai
Mayank- matlab?
Daksh- vo meri thi, hai aur rahegi
Thodi pagal hai lekin bahut pyaari hai
Mayank- aur hai kon?
Daksh- poonam se upar hai koe
Mayank- kitni bandiya hai teri life me?
Daksh- do hi hai abhi to
Future me count karna pad jaya karega
Mayank- to vo tere against nahi jaegi?
Ye kahna chahta hai tu?
Daksh- vo mujhe khush dekhna chahegi
Ab uske liye sath rahe ya against jaye I really don’t know
Mayank- ye vohi hai na jiske chakkar me tune bahut londe pitvaye hai?
Daksh- bilkul vohi hai
Mayank- ab chale?
Daksh- do minutes shanti se bathne bhi nahi deta bc
Chal bata kaha jana hai
Daksh us family ko dekhte hue khada hua aur Mayank ke sath chala gaya*****
Mujhe nahi pata ye maine kyu likha hai lekin ab likh diya hai to likh diya
Sayad kuch yaad aagaya tha
College me vohi bhasad ho rakhi thi
Sab ki gand mari padi thi aur bc kisi ke pass khane ka bhi waqt nahi tha
Bas kisi tarah nashe karne ka time nikal lete the
Daksh aur Arjun kahi bathe hue the aur joint fuk rahe the
Arjun- bc kisne humari gand maari hai?
Aaram se bath ke kahi fuk rahe hote aur yaha gand fati padi hai
Daksh- bc abhi to fuk hi rahe hai na
Arjun- vaise humse jada buri halaat to tune ruhi aur Pawan ki kar rakhi hai
Daksh- are yaar sabki hi aisi hai
Unke thodi jada hai bas
Arjun- dekh Hritik pure time ground pe batha rahta hai aur calls karta rahta hai
Uska kaam ho jata hai
Karan ko sala kaam hi aisa mila hai ki ek message aur bc etni ladkiya aa jaegi ki sab kaam apne aap hi ho jaye
Hum dono nashe me kuch kar lete hai
Aadhe time to pata bhi nahi chalta ki bc kitna kaam kar liya hai
Bache Pawan aur ruhi
Ruhi ke chakar me Pawan bhi bechara sober hi rah jata hai
Daksh- baat to sahi kah raha hai tu
Lekin sahi bhi hai bahut gand maarte the dono ab thodi marva bi lene do
Arjun- thoda time aur nikalte hai aur engine ka design karte hai dobara
Es baar koe bhasad nahi
Sab kuch bilkul shanti se badiya maal fukh ke banaege
Koe galti nahi hone chahiye
Daksh- ye function ke baad karte hai
Abhi to nahi ho paega
Aur sach to ye hai ki abhi man bhi nahi hai karne ka
Arjun- thik hai
Function ke baad karte hai
Daksh- chal ab college chalte hai nahi to apni gand laal kar denge sab
Arjun- ha chal
Fir dono vapas college aajate hai aur apna apna kaam karne lagta hai
Lekin aaj Daksh ko kuch bad vibes aa rahi thi
Kyu?
Lund pata hai mujhe
Kuch to galat ho raha tha ya fir hone wala tha aisa lag raha tha Daksh ko
Aur jab Daksh ko ye vibes aane suru hue usse waqt usse saanvi dikh gaye aur uski dhamki yaad aagaye
Lekin Daksh ne usko aur uski dhamki ko pura ignore kar diya
Ya to Daksh es chhij ki pehle hi planning kar chuka tha ya fir ab vo apne revenge me etna jada ghus chuka tha ki usse poonam ki life ki bhi koe parvaah nahi thi
Ab enme konse baat sach hai ye to waqt hi batega lekin es time to second wali jada sahi lag rahi thi
Sab log late night me apne apne flat chale gaye aur Daksh bhi flat aake terrace pe bottle leke chale gaye
Thodi der pe kiran bhi aagaye
Vo bhi Daksh ke sath bath gaye aur ek peg khud ke liye bana liya
Kiran- company se call aaye thi
Daksh- mujhe pata hai
Kiran- kaise?
Surprisingly
Daksh- main hi to chala raha hu usse
Kiran- Mrs. Raichand milna chahti hai mujhse
Daksh- pata hai mujhe
Kiran- to kya karu main?
Aur kyu milna chahti hai mujhse?
Daksh- mere bare me puchegi
Kyuki seema se bharosa uth gaya hai unka
Kiran- tumhre bare me kyu?
Aur seema kon?
Daksh- unki soch ab mujhe pe aake mujh par hi khatam ho jaya karegi
Kiran- aur seema?
Daksh- vo Mrs. Raichand ki jasus thi jo mere upar chhod rakhi thi
Kiran- fir tumne kya Kiya uske sath?
Daksh- tumhe kya lagta hai?
Kiran- mujhe nahi janana
Main kya karu ye batao?
Daksh- milna kise hai?
Kiran- Mrs. Raichand ko
Daksh- director kon hai?
Kiran- main
Daksh- to fir milne unhe hai aur director tum ho to unhe aana chahiye ya tumhe Jana chahiye?
Kiran- vo malik hai
Daksh- na na na na
Unke pass majority me shares hai
Aur tumhre pass bhi hai
So vo tumhri malik nahi hai
Infact tum dono partners ho
Kiran- mujhe tumhre baaton se dar lagne lagta hai
Daksh- yehi dar to dunia ki aankhon me dekhna hai mujhe
Kiran- main dunia me nahi aati
Sidha sidha batao kya karu main?
Daksh- unhe bola tumhre pass waqt nahi hai
Agar unhe milna hai to vo khud aaye nahi to sem break ke time hi tum vaha ja sakti ho
Kiran- main ye sab kaise bol sakti hu?
It’s too rude
Daksh- muh se bol sakti ho
Gand se bolne ko to main kah hi nahi raha
Kiran- it’s not funny Daksh
Daksh- I know
Ye bilkul funny nahi hai
Tum unhe bulao baki main dekh lunga
Kiran- tumne eska bhi plan bana rakha hai?
Daksh- ye jo chal raha hai ye sab mera hi plan hai
Aur jo aage chalega vo bhi mera hi plan hoga
Ye ek do din ke plan se nahi hua hai
Salo bath ke ek ek chhij ko samjh ke khel khelna sikha hai maine
Ab to etni parakh ho gaye hai ki samne wale ki aankhon se pata lag jata hai ki vo konse chaal chalne wala hai
So be relax and enjoy my time…..

