UPDATE -129
Daksh usse insaan se baat kar raha tha jisse kuch din pehle ek meeting ke bare me discuss kar raha tha
**** sahab kaam kar diya hai
Daksh- kab aur kaha?
**** vo abhi nahi bataya hai
Bole jab milna hoga bata denge
Daksh- aur kab milna hoga?
***** sahab meri etni himmat nahi hai ki sawal jawab kar saku
Daksh- jaldi karao
Waqt ki bahut kami hai mere pass
**** jitna mere se ho raha hai main usse bhi jada kosis kar raha hu
Daksh- agar kosis kar rahe hote to kaam ho hi jata abhi tak
Mujhe majbur mat kariya kuch galat karne pe
**** sahab vaise hi jaan pe khel ke kaam kar raha hu
Aur kya karu?
Daksh- jaan ko kuch nahi hoga
Ye mere sabad hai
Ab es sabad ka matlab samjho aur kaam pe dhayan do
**** aap jo bol rahe ho main to vaise hi kar raha hu
Daksh- bolne ka tarika bhi hota
Mujhe ek week me response chahiye nahi to main respond kar dunga
Samjh raha hai?
**** sahab kyu gareeb ko maar rahe ho?
Daksh- khoon sabka laal hi hota hai
Chahe gareeb ho chahe ameer
Khud ka nahi bahana chahta to kaam kar
Aur Daksh phone kaat deta hai
Jaise hi phone rakh ke Daksh road pe nikla usse saanvi dikh gaye jo sayad uska hi wait kar rahi thi
Daksh ne usko ignore kiya aur jane laga
Saanvi- aap thik ho na?
Daksh-100 %
Saanvi- bahut dukh hua engine ke bare me sun ke
Daksh- door rah mujhse nahi to apne bhai ke bare me sun ke aur jada dukh hoga
Saanvi- bhai ka hi to dukh hai
Daksh usse ghurne lag gaya
Saanvi- maine kuch galat bola?
Daksh- baatein mat gumaya kar
Gussa aajata hai mujhe aur fir us gusse ka result tere bhai par nikalta hai
Saanvi- you will not let him die
So basically usse pain de sakte ho
Aur dard waqt ke sath bhar jata hai
Daksh- really?
Puchna apni maa se ki kya dard bhara hai?
Puchna apne aap se ki kya jhakham bhara hai?
Aur future me puchna apne bhai se ki dard bhara ya nahi uska?
Saanvi- meri bhai ka hi to jhakam nahi bhar raha
Baki dunia se to fark hi kya padta hai
Daksh- kya chahiye tujhe?
Saanvi- bhai
Daksh- usse option diya tha lekin vo nahi mana
It’s all on you and him now
Saanvi – galti maine ki thi na to fir saja usse kyu?
Daksh- saja main tumhe hi de raha hu sweetheart
Saanvi – I just don’t want to go against you
Daksh- you already did went against me
Saanvi- to fir aapko mujhe apne against dekhna hi hai?
Daksh- tujhe lagta hai mujhe koe fark padega?
Saanvi- chot aap bhi vahi marte ho jaha sabse jada dard hota hai aur chot main bhi vahi marti hu jaha sabse jada dard hota hai
Daksh- try karle
Bas ye yaad rakhna ki tera bhai mere pass hai
Saanvi- aap usse maroge nahi
Ye mujhe pata hai
Lekin main bahut logo ko maar sakti hu
Daksh- main nahi marunga usse
Ye fact hai
Lekin main bahut sari chhije kaat sakta hu
Saanvi- I will take that risk
Daksh- you sure sweetheart?
Saanvi- yes I’m
Aapko bata rahi hu sabse pehla number poonam ka
Bacha sakte ho to bacha lo
Daksh- maar de
Mujhe ganta fark nahi padta
Saanvi- hahaha
Mujhe pata hai aap apni feelings kabhi show nahi karoge
Lekin mujhe ye bhi pata hai ki feelings hai
Aap warn nahi karte main warn kar rahi hu
Daksh- try your best
Aur Daksh vaha se chala jata hai
Daksh ruhi ke pass pahuch jata hai
Daksh- hogaye list complete?
Ruhi- Daksh solo nahi ho paye
Group to ban gaya
Daksh- Sakshi ko bol
Usse bhi participate karna tha
Ruhi- usse tum bolo na
Daksh- meri ego mujhe bolne se rook deti hai
Pawan- bahut sahi
Hum to chutiye bathe hai na?
Daksh- tujhe thodi bol raha hu lavde?
Ruhi karlegi girl to girl conversation
Pawan- mujhe vaise bhi nahi karni
Ruhi- main kar lungi lekin please ladna band karo
Vaise bhi sar phat raha hai mera
Daksh- aaja raat ko daru peelata hu
Ruhi- usse pehle kaam khatam karle?
Daksh- ja fer jake baat kar
Ruhi chali jati hai aur
Daksh Pawan vaha se sath nikalte hai
Daksh- yaar singers, rappers vagra konse chahiye?
Pawan- jo popular bhi ho aur saste me bhi aajaye
Daksh- examples?
Pawan- singer me to female ko bula leta hai kisi ko bhi
Sare londe bhagte hue aaenge
Daksh- idea bura nahi hai
Pawan- rapper me tune kr$na suna hai?
Daksh- ha beef rapper apna
Sabka gender change karta rahta hai
Pawan- usko bula lete hai
Daksh- badiya
Kar baat
Aur comedian?
Pawan- yaar ye dekhna padega
Vaise apna shakat londa bhi sahi rahega
Daksh- vohi best hai
Zakir ko final kar
Pawan- nuclea ko bhi bula lete hai
Daksh- bc sab nashe karke trip marenge
Bahut sahi
Pawan- aur kon bach gaya?
Daksh- singer hogya, rapper hogya, comedian ho gaya aur bhi kisi ko bulate hai kya?
Pawan- mujhe to yehi idea hai bas
Daksh- ruhi se puch lena
Pawan- tu jake Nidhi se baat karle
Science exhibition ussi ne karana hai
Daksh- vo gand kha jaegi yaar
Pawan- khila de fir
Aur Pawan usse chhod ke chala jata hai kyuki samne hi Nidhi apne kisi londe dost se baat kar rahi thi
Daksh unke pass jake
Daksh- hie
Nidhi- Daksh main thoda busy hu
Daksh- main bhi
Ha kar de please
Nidhi- main pehle hi bata chuki hu tumhe
Daksh- are yaar majburi ka fayda na uthao
Nidhi- tumse hi sikha hai
Ladka- Nidhi kya ye tumhe pareshan kar raha hai?
Daksh- oh bhai nikal le yaha se nahi to hath tod ke gand me gused dunga
Na to thik se kha payega na nikal paega aur na dho paega
Ladka- you…..
Nidhi- tum please jao yaha se(daksh)
Daksh- Nidhi main last time puch raha hu
Karoge ya nahi?
Ladka- main bhi last time bol raha hu
Nikal le
Daksh ka dimag to vaise hi bahut kharab tha pichle kuch dino se
Us ladke ke bich me bolna se aur hogya
Daksh ne sidhe uska galla pakda aur piche diwar me bahut jor se mara
Daksh- bich me nahi bolne ka
Samjh me aaya tujhe
Bich me nahi bolne ka
Daksh bahut gusse me bola
Nidhi- Daksh chhodo usse
Daksh- samjh me aaya tujhe?
Ladka- hhahhaa
Aise hi bol paya
Nidhi- Daksh leave him
I will do it but please leave me
Daksh ne usse upar se hi chhod diya aur vo bechara jamin pe geera khasne laga
Daksh Nidhi se
If you want to do it then do it and if you don’t then tell me right now
Eske baad dobara nahi puchunga main
Nidhi- I will do it
Nidhi bahut jada dar gaye thi esliye turant ha kardi
Daksh- good
Aur fir vaha se chala gaya
Raat tak Daksh aur sab kaam karte rahe
Aaj peene ka man tha sabka lekin kisi me etni himmat nahi bachi thi
Esliye plan cancel karke sab sone chale gaye aur raste me vohi Rocky ka phone aagya
Daksh- bol
Rocky- bhai kuch pata nahi chala
Daksh- matlab?
Rocky- matlab ye ki mansi kyu jati hai Roy mansion me, uska kya rishta hai unse, uske baap ka kya Kya business hai
Matlab kuch bhi nahi pata chala
Daksh- aur eska reason?
Rocky- bahut bade log hai lekin fir bhi bahut jada low profile zindagi jeete hai
Same routine pehle tha aur same routine ab hai
Kuch change nahi hua
Sayad hum time waste kar rahe hai
Daksh- beta jab bade log low profile rakhte hai na to samjh Jana chahiye ki kuch gadbad hai
Tujhse nahi ho raha to mat kar
Tu bas Mayank ka dhayan rakh
Baki main dekh lunga
Rocky- bhai maine sare tarike try kar liye
Sari details check kar li
Chhoti se chhoti aur badi se badi lekin sala kahi doubt hi nahi hua
Daksh- kahi doubt hi nahi hua yehi sabse bada saboot hai ki doubt hai
Rocky- bhai mujhe batao fir ki ye doubt kaise clear karu?
Daksh- baap ke alava kon hai family me?
Rocky- ek behan hai
Daksh- nahi behan ko kuch nahi karna
Aur?
Rocky- aur koe nahi hai
Daksh- bc aise log kyu aate hai zindagi me?
Pata kar sabse jada kisse pyaar karti hai apne behan aur baap ko chhod ke
Rocky- Jee bhai
Daksh- aur es baar gand mat marana
Mujhe answers chahiye aur vo bhi jaldi
Rocky- main puri kosis kar raha hu bhai
Daksh- bc ye Mayank ko bhi aisi hi Ladki milni thi?
Aur ye bhi pata kar ki ye sala en dono ki love story kaise start hue?
Rocky- vo to sir ne bataya tha na ki mansi ke baap ko dhamkane gaye the aur fir?
Daksh- fir?
Sidha aake bol diya usne ki tum mere baap ko dhamakane aaye the esliye mujhe tumse pyaar hogya
I love you?
Rocky- sorry bhai
Daksh- dimag lagaya kar thoda
Rocky- main karta hu kuch
Daksh- un families par bhi najar rakh
Teri details kisi kaam ki nahi thi
Kuch aisa bejha kar jisse fayda ho
Rocky- maine to puri janam kundali bejh di thi bhai
Daksh- jo kisi ko pata na ho vo pata kar
Ab kaise karega ye tu jane
Lekin mujhe dobara ye ahsas mat karana ki chutiya ki fauz paal rakhi hai maine
Fir Daksh phone kaat ke flat chala jata hai…..

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.