UPDATE 67
Subah ke waqt jab Aryan ki aankh khuli to use apna sar bahut hi bhaari lag raha tha. Wo office jaane ke liye utha tha but wo samjh gaya ki wo aaz office jaane ke kaabil nahi hai. Usne apne office inform kiya aur phir se lait gaya. Yaha neeche Rajesh nasta karte hue bola.
Rajesh: are,ye Aryan kaha reh gaya aaz.
Anjali: pata nahi,m dekhti hu jakar. Is waqt tak to wo ready ho jata tha.
Anjali ne upar jakar Aryan ko jagaya,tab anjali ko pata chala ki use aaz office nahi jaana hai. Kuch der baad wo neeche aaya aur nasta karne laga. Saath hi Ashu bhi bethi hui thi. Nasta karne ke baad wo kuch der tak dadi ke saath betha baate karta raha. Jabki wo Ashu se nazre hi nahi mila paa raha tha.
Dopehar ka waqt tha,Ashu apne kamre mai leti hui soch rahi thi ki pata nahi Aryan aesa behave kyu kar raha hai. Usne kal se ab tak na to mujhse baat ki aur na hi meri aur ko dekha.
Wo abhi soch hi rahi thi ki uska mobile ring hua,usne dekha to unknown no. tha. Usne call uthai.
Ashu: hello.
Unk: hello, kya tum Aashna baat kar rahi ho?
Ashu: ji ha ,ap kon.
Unk: m kon hu is se farq nahi padta,farq is baat se padta hai ki tumhara bf Aryan tumhe dhokha de raha hai.
Ye sunkar to Ashu ke tan-badan mai maano aag hi lag gayi ho. Wo gusse se boli.
Ashu: jabaan sambhal kar bolo,tum hoti kon ho hamare beech mai bolne wali.
Unk: mujhe pata hai tum use bahut chahti ho,lekin kya wo bhi tumhe itna hi chahta hai. Tumhe kya lagta hai wo kal der raat tak kaha tha.
Ashu: wo kahi bhi ho tumhe us se kya matlab.
Unk: mujhe koi matlab nahi hai,m to bas tumhe sachhai batana chahti hu ki jise tum itna pyaar karti ho. wo kal kaha aur kiske saath raasleela kar raha tha. M tumhe ek video whatsapp kar rahi hu,tum use dekhkar sab samjh jaogi.
Ye kehkar us ladki ne call kaat di. Call cut kar wo ladki muskurane lagi,ye koi aur nahi Shilpa thi. Phir wo smile karte hue khud se boli.
Shilpa: Mr. Aryan bahut ghamand tha na tumhe apne pyaar par,ab wo hi pyaar tumhe dhakke maarkar apni life se bahar nikal dega. Agar tum mere nahi ho sakte to tumne ye kese soch liya ki m tumhe kisi aur ka hone bhi dungi.
Aur wo ek kamini hasi hasne lagti hai.
Yaha Ab Ashu ka dil bahut joro se dhadakne laga tha,use ab anjana sa dar bhi lagne laga. Tabhi uske mobile par ek whatsapp sms aaya,usne wo video darte hue open ki. Lekin jese hi wo video chalne lagi,Ashu ka dil maano dhadakna hi bhool gaya,uske haath kaanpne lage aur uske haath se mobile choot gaya. Us video mai Aryan aur shilpa sex kar rahe the. Ab uski aankho se aanshu behne lage aur rote hue khud se hi boli.
Ashu: Aaru tune aesa kyu kiya. Tu kal us kamini ke saath tha aur tune mujhse jhoot bola,tune mujhe dhokha diya. Nahi..nahi mera Aaru mujhe kabhi bhi dhoka nahi de sakta,lekin phir ye video..nahi ye jhoot hai,m Aaru se hi baat karti hu.
Ashu video dekhne ke baad bhi maanne ko ready nahi thi ki Aryan use dhoka de sakta hai. Wo uthi,apna mobile uthaya aur Aryan ke room ki aur badh gayi.
Yaha Aryan bed par leta hua soch raha tha ki wo Ashu ka saamna kese kare,kese use sach bataye aur uske saath waha kya hua.
Aryan: ha mene jab wo drink pee thi tabhi mujhe itni uttejna feel hui.
Wo sab kch yaad hi kar raha tha ki Tabhi use Ashu apne room mai aati hui dikhai di. Aryan ne uski aur dekha to use Ashu ke chehre par ek udaasi si dikhi. Ashu aakar uske saamne chair par beth gayi.
Ashu: Aaru mujhe tujhse baat karni hai.
Ashu sapaat lehze mai boli,Aryan ne gardan ko Ha mai hilaya.
Ashu: mujhe pata hai tu mujhse kabhi jhoot nahi bolta,lekin m tujhse ek baar aur jaanna chahti hu ki tu kal shaam kaha tha.
Ye sunkar Aryan thoda dar gaya,halanki wo Ashu se is baare mai baat karne ke baare mai soch raha tha but uski himmat nahi ho rahi thi.
Aryan: Ashu..wo..m kal wo.. shilpa ki b’party mai gaya tha.
Aryan haklate hue bola,Ashu ki heartbeat ek dam se badh gayi thi. Use ab kahi na kahi wo video sach lagne lagi thi.
Ashu: Aaru ek baar mujhse kehde ki ye jhoot hai.
Ashu ne nam aankho se kaha aur wo video play ki aur Aryan ke saamne kar di. Aryan ke pero tale to maano jameen hi sarak gayi. Usne Ashu ki aur dekha to uski aankho se Aanshu behne lage the.
Aryan: Ashu meri baat sun plz,m tujhe batane hi wala tha..
Ashu: mujhe kuch nahi sun na,mujhe ye bata ye video sach hai na.
Wo uski baat beech mai kaatkar gusse se boli.
Aryan: ha sach hai lekin..
Aryan abhi bol hi raha tha ki Ashu ne gusse se apna mobile deewar par de maara aur rone lagi. Ye to achha tha ki Anjali aur nirmala pados mai gayi hui thi warna aaz prob ho jaati. Use rote hue dekh Aryan bhi nam aankho se bola.
Aryan: Ashu plz ro mat.
Ashu: Aaru tune bhi mujhe cheat kiya,mene to teri har baat maani,tujhse beintaha pyaar kiya phir bhi..
Use aese dekh Aryan ke dil par jo beet rahi thi wo bayaan bhi nahi kar sakta tha.
Aryan: Ashu mene tujhe koi dhoka nahi diya,mujhe lagta hai meri drink mai kuch milaya gaya tha jiski wajah se m sex ki wajah se pagal sa hota ja raha tha. Mene apne apko bahut roka,lekin wo mujhe seduce karti gayi aur ye sab ho gaya.
Ashu: chal maan leti hu,lekin tu waha kya karne ke liye gya tha jabki tune to uske saath contact hi khtm kar liye the.
Aryan: Ashu kuch din pehle uska call aaya tha wo apne behave ke liye maafi maang rahi thi. Mene use maaf kar diya. Phir wo pehle ki tarah hi friend banne ke liye boli aur mene bhi use ha kardi. M tujhe batana chahta tha lekin jab bhi m tere saath hota sab kuch bhool jaata.
Wo Ashu ko puri imaandari se batane laga.
Ashu: jhoot,tum dono itne dino se baat kar rahe ho… aur mujhe batana bhi…
Us se bola nahi gaya aur wo phirse rone lagi. Ashu waha se jaane ke liye uthi to Aryan ne uska haath pakad liya.
Aryan: Ashu plz meri baat sun.
Ashu: mujhe kuch nahi sunna,mera haath chhod.
Ashu ne gusse mai jor se kaha.
Aryan: honey plz sun..
Chatakkkk
Abhi usne itna hi kaha tha ki Ashu ne uske gaal par ek jordar tamacha maara.
Ashu: mujhe honey kehne ka haq tu kho chuka hai..tune mujhe dhoka kyu diya Aaru. Mene to tere liye sab kuch tyaag diya tha na.
Wo Aryan ka coller pakadte hue boli aur phir waha se chali gayi. Aryan isi tarah but bana betha raha.
Aryan: ye tune kya kiya Aryan tune to us se waada kiya tha na ki teri wajah se uski aankh mai aanshu nahi aayenge. Lekin teri wajah se uska dil tuta,uski aankh se aanshu nikle. Wo mujhse door ho jayegi..nahi aesa kabhi nahi hoga. Mujhe us se baat karni hai.
Aryan sochta hua utha aur uske room ki aur gaya. Lekin Ashu ne room ka door band kiya hua tha aur andar bed par padi hui ro rahi thi. Aryan ko achhi tarah se pata chal raha tha ki wo andar ro rahi hai.
Aryan: Ashu plz gate khol,mujhe tujhse baat karni hai.
Aryan door par knock karta hua bola but Ashu ne koi response nahi diya aur roti hi rahi.
Aryan: Ashu plz ek baar meri baat to sun.
Lekin Ashu to maano kuch sun hi nahi rahi thi.
Aryan: Ashu plz.
Tab bahut der baad Ashu rote hue boli.
Ashu: mujhe tujh jese ghatiya admi se koi baat nahi karni,aaz se Ashu tere liye mar gayi. Tune mujhe jeete jee maar daala Aryan,mene bas ek cheez hi to maangi thi na tujhse ki kabhi bhi mujhe dhoka mat dena,m seh nahi paungi lekin tune..
Aur Ashu phir se rone lagi.
Aryan: Ashu mene tujhe koi dhoka nahi diya,m tujhse bahut jyada pyaar karta hu. Ye sab us shilpa ki planning hai hame alag karne ke liye.
Ashu: uski planning kamyab ho gayi hai Aryan.
Ashu ab use sidhe Aryan bol rahi thi,aur Aryan ye baat samjhkar apne apko bahut bebas feel kar raha tha.
Aryan: plz Ashu ek baar meri baat to sun.
Lekin Ashu to bas roye hi ja rahi thi. Ab Aryan bhi haara hua sa apne room ki aur badh gaya. Usne abhi Ashu se baat karne ka irada badla,bcz wo abhi bahut gusse mai thi. Uska dil jo toot gaya tha aaz.
Apne room mai aakar usne Shilpa ko call kiya.
Shilpa: hii Aryan,kese ho.
Aryan: mene tera kya bigada tha jo tune mere saath aesa kiya.
Shilpa: mene aesa kya kiya Aryan.
Aryan: kya kiya,teri wajah se meri jaan mujhse door ho gayi hai.
Shilpa Aryan ki awaaz mai dard saaf mehsus kar rahi thi.
Shilpa: meri wajah se kyu.
Aryan: kyonki tune hamare beech jo hua uski video banakar Ashna ko send kardi.
Shilpa: what? M aesa kyu karungi. M khud apni ijjat utarwaungi kya.
Shilpa: wese ab pata chala na tujhe ki jab ham kisi se pyaar karte hai aur wo hamse door ho jaaye to kesa lagta hai. Mujhe bhi aesa hi dard feel hua tha jab tune mujhe thukra diya tha.
Aryan: m tujhse pyaar nahi karta tha.
Shilpa: lekin m to karti thi na.
Aryan: to ye sab tumhari planning thi na hame alag karne ki. Taki tum hamare beech jo hua uski video banakar Ashna ko dikha sako.
Shilpa: meri koi planning nahi thi,tumne apni marzi se mere saath wo sab kuch kiya. Aur wo video mene nahi banayi. Balki mere pas bhi abhi wo video kisi aur ne send ki hai.
Aryan: tum jhoot bol rahi ho,tumne hi mujhe seduce kiya tha taki tum aesa kar sako.
Shilpa: mene tumhe seduce nahi kiya tha balki tum khud mujhe seduce kar rahe the.
Aryan: ye tumne theek nahi kiya Shilpa.
Shilpa: mene kuch nahi kiya hai Aryan,tumhari kasam.
Phir Aryan ne call cut kardi. Agar ye video shilpa ne nahi to phir kisne send ki hai. Tab uski nazar Ashu ke mobile par gayi,usne use dekha to wo puri tarah se destroy ho gaya tha.
Aryan: ye sab shilpa ka hi kiya dhara hai,agar aesa hua na to shilpa…
Aryan apne daant bheenchta hua khud se bola.
Shaam ho chuki thi,Tab tak Ashu apne room mai hi padi rahi. Usne khaana bhi nahi khaaya. Anjali use uthane bhi aayi lekin usne keh diya ki uski tabiyat theek nahi hai. Aryan kisi bhi tarah us se baat karna chahta tha lekin wo apne kamre se bahar hi nahi aa rahi thi.

