UPDATE 20
Next day, Aaz sunday tha to un dono ki chutti thi. Breakfast ready tha but Ashu ab tak sokar nahi uthi thi.
Rajesh: are bhai,Ashu kaha hai. Abhi tak so hi rahi hai kya.
Anjali: ji,abhi tak so rahi hai. Wese bhi az to sunday hai to maharani dopehar tak soyegi.
Kitni baar kaha ki jaldi utha kar,ladkiyo ka itni der tak sona theek nahi hai.
Rajesh: Are sone do na,ek hi din to milta hai inhe chutti ka.
Wo sab breakfast karne lage. 10 bje Ashu uthi,aur aankhe malti hui neeche aayi.
Ashu: good morning papa.
Anjali: morning nahi hai ab,dopehar ho rahi hai.
Nirmala: are anjali,bas kar ab. Bachhi ko nasta to kar lene de.
Anjali use nasta deti hui boli.
Anjali: le,aur nasta karke Aryan ke sath jakar ghar ka raasan lekar aaja.
Ashu: theek hai.
Anjali: ab ye ladka kaha gaya,ye bhi ghar se jyada bahar hi rehta hai.
Nasta karne ke baad Ashu apne papa aur dadi se baate kar rahi thi. Anjali aayi aur Ashu se boli.
Anjali: ashu call kar apne bhai ko,pooch to kaha hai.
Ashu: ok,mummy.
Ashu Aryan ko call karne lagi but usne uthaya ni. Usne 3-4 bar call kiya lekin usne pick nahi ki.
Anjali: kya hua.
Ashu: mummy call nahi utha raha wo.
Kuch der baad Aryan ghar aata hai. Aryan ko dekhkar Rajesh kehta hai ki wo Ashu ka call kyu nahi utha raha tha to usne bola ki wo dost ke saath tha aur mobile silent mode par tha to dhyaan nahi gaya.
Anjali: Aryan..ashu ko sath leza aur ghar ka raasan le aao.
Ashu: mummy m akela jata hu.
(Darasal wo Ashu ko ignore kar raha tha).
Anjali: akela kyu jayega,ashu acchi tarah janti hai ki kya kya lana hai.
Aryan: phir aap papa ko bhezde.
Ye bolkar wo upar chala jata hai.
Anjali: ab phirse tum dono mai jhagda ho gaya kya. Hey bhagwan,m kya karu in dono ka.
Ashu: mummy hamara koi jhagda nahi hua hai,wo jana nahi chahta hoga bas.
Rajesh: chal beta,m chalta hu tere sath.
Is tarah der raat tak Aryan ne Ashu se koi baat nahi ki. Ek do baar Ashu ne us se baat karne ki kosis ki lekin wo ya to bola nahi ya bas ha-na mai jawab diya. Dinner ke time bhi usne ek baar bhi Ashu ki taraf nahi dekha. Raat ho chuki thi sab tv dekh rahe the aur Aryan apne kamre mai betha laptop m kuch kar raha tha tabhi waha Ashu aa gayi. Wo thoda naraaz si thi.
Ashu: Aryan kya natak chal raha hai ye tera.
Aryan ne uski taraf dekhe bagair hi bola- kon sa natak.
Ashu: ye hi, na to tu mujhse baat kar raha hai,na meri baato ka jawab de raha hai,mujhe ignore kar raha hai tu.
Aryan: ha kar raha hu,yehi to chahti thi na tu.
Ashu: mene aesa kab bola bhai ki tu mujhse baate mat kar,ya mujhe ignore kar.
Aryan: tune bola tha na ki agar m teri aur apne parents ki khushi chahta hu to apna pyaar bhool jau.
Ashu: ha bola tha to.
Aryan: ha to bas, m wohi kar raha hu.
Ashu: lekin Aryan,m teri behan bhi to hu,kam se kam behan ke haq se to tu mjjhse baat kar hi sakta hai.
Aryan: bhale hi tu mujhe bhai ki nazar se dekhti ho but mene last kuch saalo se kabhi bhi tujhe behan ki nazar se nhi dekha.
Ashu: Aryan tu samjh kyu nahi raha.
Aryan: m sab samjh gaya,tu ja yaha se ab. M kabhi bhi tujhse ab apna pyaar accept karne ke liye nhi kahunga.
Ashu: ok,meri na sahi to ghar ke aur logo ki bhi to soch wo jab poochenge ki tu mujhse baat kyu nahi karta tab.
Aryan: tujhe meri fikr karne ki koi jarurat nahi hai. M sab sambhal lunga.
Ashu: mujhe teri fikr hai bcz tu mera bhai hai.
Ye bolkar Ashu chali gayi. Wo apne kamre mai padi hui sirf Aryan ke baare mai hi soch rahi thi. Wo samjhne ki kosis kar rahi thi ki Aryan use kab se pyar karta hai. Kitni hi baar usne use khud ko ektak dekhte hue pakda tha,hamesha uske sath hi laga rehta tha. Udhar apne kamre Aryan bhi bas Ashu ke baare mai hi soch raha tha. Uska to ye ab har roz ka kaam ho gaya tha.
