Jeena Sirf Mere Liye – Update 7 | Romance Story

Stories Written by Ishikaaa
Reading Mode

Viraat apni saanson se apni jindgi ke liye jang ladd raha tha … uski to jeene ki jara bhi iksha nahi thi par maa ki mamta ne use baandh rakha tha … naa ji paa raha tha naa marr paa raha tha Viraat … aur uski ye haalat dekh uske maa papa din raat ghule jaa rahe the … uski maa ne har devi dewta ko manautiyan maan dali … Khyati ne Diya ko call kar ke sab kuchh bataya aur usse gidgida kar kaha ki please uss pathar dil ladki ko bolo mere bhai ki jaan naa le … hamaari chhoti si duniya ko naa ujade … ham pyaar se aur pyaar ke liye jeene wale log hain … Khyati ke iss tadap kar rone se Diya behal hokar Meera ke ghar bhagi …

Doston adhoore pahle pyaar se bada koi jakhm nahi hota hai … ye dard rah rah kar atma ko salta rahta hai … aisa nahi hai ki sabhi ke sath aisa hi ho par Viraat jaise bhi kuchh log hote hai jo pyaar ko apna maksad bana lete hai … bahut takleef hoti hai unko aisi paristhitiyon me … Har pal maut maangte hai khud ke liye duaon me ye bechare …

 

Khyati se baat karne ke baad Diya gusse me aag baboola hokar Meera ke ghar Jaa pahunchi … Diya ko bhi sagai ke baare me nahi bataya gaya tha … Diya ko dekh Meera ke murjhaye chehre par bahut dino ke baad muskuraahat aayi …

 

Diya — Congrats Meera … yaar mujhe bhi nahi bataya tune …

Diya ki baaton me vyang saaf dikh raha tha …

 

Meera — sab kuchh itna achanak ho gaya ki kisi ko batane ka mauka hi nahi mila …

Meera ne chor najron se diya ko dekhte huye dabi jabaan me kaha …

 

Diya — Kitni jyada besharm ho gayi hai tu yaar … Meeru ho kya gaya hai tujhe ?? Tera dimag to nahi kharaab ho gaya hai ?? Aakhir tu Viraat ke saath aise kaise kar sakti hai … Tu usse bewafaai kar bhi kaise sakti hai …

Diya ki aankhein bheeg gayi …

 

 

Meera– Diya …mere paas koi aur rasta hai bhi nahi yaar … wo nahi samjh raha hai atleast tu to samjh…

Meera ne haath jodd kar kaha …

 

 

Diya — kya samjhu mai ?? Yahi ki tu use dhokha de rahi hai ya ye ki tujh jaisi ladkiyon ke liye kisi ka dil tod dena bahut asaan hai … jab tak dil kiya bholi surat se thagti rahi use abb jab tera dil bhar gaya to chal di kisi aur ke paas … bol yahi samjhu mai naa …

Diya ne chilla kar kaha …

 

Meera — to kya karu mai ?? apne papa ko marne bhi to nahi de sakti hoon naa ?? Kya Kuchh samay ke pyaar ke Liye 23 saalon ki parwarish bhool jaun … mere alawa koi doosri aulaad bhi to nahi hai unki … kaise dhokha doon …

Meera jor jor se rone lagi …

Diya — ye sab to pyaar karne ke pahle sochna chahiye tha … kal ka nahi tu poore 15 saalon ke saath par laat maar kar jaa rahi hai … tere papa ko bacha kar tu kisi Baap ki aulaad ki jaan kyu le rahi hai … wo bhi uss maa baap ke liye jise teri khushiyon se jyada unka ahnkaar pyaara hai … Viraat ke maa baap ne tere pita ke aage haath tak jodd diye par tere papa ko to daya nahi aayi … ek baat yaad rakhna Meera …
” tu ek behadd abhagi ladki hai … tujhe kabhi bhi koi khushi nahi milegi … Viraat ka ek ek aansun teri sau sau khushiyan jala kar raakh kar dega … abhi bhi wakt hai mat khel kisi ke pyaar se warna kabhi ubar nahi payegi tu iss gunaah se ”

Diya ne har shabd chaba kar kaha …

 

Meera — Diya meri bahan abb kuchh bhi nahi ho sakta … mai hoon abhagi jiske aansu kisi ko bhi nahi dikh rahe hain aur naseeb aisa ki aatm hatya bhi nahi kar sakti hoon …

Meera ne Subkte huye apna sir jhuka liya …

 

Diya — apni gandi jabaan se mat le mera naam … mai jaa rahi hoon … yaad rakhna tu mere liye marr gayi aaj se … apni khair chahti hogi to tere sade se aansu lekar mere samne kabhi mat aana …

Diya ke har shabd ne Meera ko bahut chot pahunchayi … wahan se jaane ke baad Diya ne Nikhil se bhi contact karne ki bahut koshish ki par koi saflta nahi mili … Meera ki family shadi ke liye unke gaaw chale gaye …

Meera ka sara saundaya uske ansuon ke saath bah gaya tha … uski jheel si gahri aankhein abb kaale ghere me dhans gayi thi … uska chanchal hirni wala wyaktitwa ek kamre me simat kar rah gaya par Uski maa ko taras tak nahi aaya uss par … Meera bhookhi pyaasi bas apni hatheli ko dekhti rahti thi jaise usme Viraat ke naam ki dhundhli si lakeer khoj rahi ho kyu ki uske paas apni bhooli muhobbat ke deedar ka aur koi jariya bhi nahi tha …

Tay wakt par Meera ki shadi Nikhil se ho gayi … par Meera abb jinda laash ban chuki thi … use dekhne wale bhi tajjub maan rahe the par uski maa ko naa dikha kuchh bhi …

 

30 saal baad…

Ek khoobsurat gunguni Subah… alaram ki tej cheekhti awaaj … rasoi se aati aalu ki sabji aur masala poori ki khushbu … apne bete ko jagane ke liye Kabhi gusse to kabhi pyaar se awaaj deti maa … kitna apna sa lagta hai naa ye sab … lagega hi kyu ki ye hamari Meera ka ghar hai … aankhon par sunahre frame ka chashma chadhaye … baalon ki safedi ko maathe par sajaye apne eklaute chashm e charag ko jaga rahi hai …

 

Meera — Sahil utho beta … tum kitna sote ho … akhir sari raat karte kya ho naa time par site ho naa time par uthte ho … subah se jaga rahi hoon apne room se aakar yahan sofe par so gaye ho … aaj tere clg me convocation ceremony hai naa ? jana nahi hai kya ?

Meera ne jhootha gussa dikhate huye Sahil ko jagaya …

 

Sahil — ohhhhh shitttt Sorry mom mai wapas late ho gaya …

Sahil hadbadate huye sofe par uthh baitha …

 

Meera–kab se to jaga rahi hoon tujhe aur teri neend hi nahi pak rahi thi … Room se hall me aakar so gaya…

 

Sahil — ohh sorry mom bas 10 min me ready hota hoon aap mera nashta nikal do … aap aur dad to ready ho naa… waise dad kahan hain… wo ready to hain mere sath clg chalne ke liye…

Sahil ne Meera ko ek tak dekhte huye poonchha …

 

Meera — baba re itne sare sawaal wo bhi ek saans me … are mom chal rahi hai naa teri … tujhe to meri parwaah hi nahi hai Jab dekho dad … hmm…

Meera ne banawati gusse me haha …

 

Sahil — mom seedhe seedhe bolo na dad ko mujhse jyada jaruri unki Meeting lagi … har baar ki yahi kahani hai … mujhe clg hi nahi jana …

Sahil ne dukhi hote huye kaha …

 

Meera — Sahil Ek baar sun to sahi meri baat ko…

 

Sahil — no mom mujhe nahi jana …

 

Meera ki maa — are kaise nahi jayega mera beta … Dekh ham aaye hain tere sath chalne ke liye …

apne nana nani ko dekh Sahi khi utha …

 

Sahil — wow nani aap aur nana ji … tab theek hai mai aata hoon ready hokar … thank you mom …

 

Meera — bas bas jakar ready ho jaa ham sab tera wait kar rahe hain …

 

Meera ki maa — Meera achha kiya tune bula liya hame … Kabhi kabhi to lagta hai ki Nikhil ko jara bhi parwaah nahi hai teri aur Sahil ki … kaisa pita hai use santan ki khushi bhi nahi dikhti hai …

Meera ki maa jhatke me sab kuchh bol gayi par bolne ke baad jab usne Meera ka face dekha to unki najre jhuk gayi jabki Meera ne berukhi se jawab diya …

 

Meera — mujhe to hai parwaah mere bete ki maa … mai apni aulaad ki khushi ki parwaah karti hoon aur uske liye kuchh bhi kar sakti hoon kyu ki mai sirf sharir se hi nahi balki atma se bhi maa bani hoon aur aulaad ka dard kya hota hai mai bakhoobi samjhti hoon …

 

Meera ke papa — Meera aaj itne saal ho gaye par tu abb bhi apni maa se aise kyu bartaaw karti hai jaise wo teri dushman ho … beta abb to maaf kar de …

 

Meera — Kaisi mafi papa aur maine jo kaha wo dushmani nahi maa bete ke rishte ka sach kaha aur sach ko koi badal nahi sakta hai aur haan papa kuchh daraare wakt ke sath badhti chali jati hain bharti nahi hain … khair chaliye aap log gadi me baithiye Sahil bhi aa gaya …

Meera ne muskurate huye kaha …

sabhi adhe ghante me clg pahunch gaye jahan b tec walon ki convocation ceremony honi thi … Sahil thoda sa late ho gaya tha … gharwalon ko baithne ka bol wo teji se andar ki taraf bhaga lekin andar beech raste me hi ek ladki se buri tarah takra gaya … Sahil aur wo ladki dono hi floore par ludhak gaye … Sahil hadbada kar utha aur jab uss ladki ko uthane ke liye uski taraf badha to use dekhta hi rah gaya …

 

Uss ladki ke ghunghrale lambe baal uske chehre par bikhar gaye the … apne haathon me thame banner se wo dhaki huyi uthne ki koshish kar rahi thi … uska masoom chehra aur badi badi aankhein Sahil ko pahli hi najar me bha gayi … jab Sahil ne use uthane ke liye haath badhaya to wo tunak kar apne ap hi uth gayi … Sahil to bas use dekhne me hi mashgool tha … uske gaalon par padne wala dimple aur uski gusse me budbudati awaaj me itna kho gaya ki bhool hi gaya use late ho raha hai … achank ladki ki gusse bhari awaaj uske kaano me padi…

Ladki — mere banner par kyu khade ho aap hato…

Sahil — s… sorry maine dekha nahi … very sorry … m …mera naam Sahil hai …

Sahil ne banner se par hatate huye kaha …

Ladki — to mai kya karu … hatiye mere raste se aur kahi jakar takraiye … mere paas time nahi hai … mujhe bahut kaam hai … Apni tarah sabko faltu samjh rakha hai … jane kaha kaha se chale aate hain … dekho to banner me welcome ke sath iske jute bhi chhap gaye …

Sahil ko wahi khada chood wo ladki non stop badbadati huyi stage ki taraf badh gayi aur Sahil wahi khada use jate huye niharta raha jab tak ki dobaara use late hone ka ahsaas uske doston ne nahi karaya …

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply