UPDATE 4
Khamoshi se ek doosre ko niharte huye achanak hi Viraat uchhal padda …
Viraat — Meeru ek mast idea aya hai dimaag me agar tu saath de to …
Meera — kya bolo naa ?
Viraat — kyu naa ham uss aane wale namoone ko hi kalti kar dain yahan se ??
Viraat ke chehre par saaf likha tha ki use apne idea par poora bharosa tha …
Meera — mai nahi samjhi …
Viraat — Tumhari yahi baat to meri jindgi hai … khair kya naam hai uss namoone ka jab wo durga pooja me aayega to tera bilkul naya roop dekhega wo aur khud hi chala jayega ye rishta todd kar … bol kaisa idea hai ?
Meera — Filmy aur bakwaas idea hai … kabhi socha hai iska ulta prabhaw hua aur usne maa ko kuchh bol diya to kitni juttiyan padengi mujhe … look Viraat ek din hamare rishte ke basre me ghar walon ko batana to hai hi … kal nahi aaj hi sahi … inn betuke ideas se kya hoga … jyada se jyada 6 maheene ka wakt mil jayega par khatre ki talwaar to sir par hi latkegi naa ?? Maa ne iraada kar liya hai shadi karwaane ka …
Meera ne Viraat ki khusi par paani fer diya …
Viraat — poori tarah agree karta hoon teri baat se … par kis muhh se mangu tujhe sabse … hoon kya mai … meri awkaat kyaa hai ? papa ke paison par khud jee raha hoon … ek saal me padhai poori hote hi kuchh naa kuchh to kar hi loonga … Par koi baat nahi mai tere saath hoon Meera tu jaisa theek samjhe kar abb mai koi betuka idea nahi doonga …
Viraat ne Apne dil ka dard aur majboori kah di Meera se … sahi bhi tha Viraat … abhi to wo kuchh bhi nahi tha … kis muhh se gharwalon se baat karta … aakhir pyaar ke saath saath aata daal bhi chahiye hota hai jindgi jeene ke liye…
Meera — i am sorry babu … mera maqsad tumko dukh pahuchana nahi tha … jaisa bologe waisa hi hoga … uss namoone ka naam Nikhil hai … wo 8 dino baad aa raha hai … hamare yahan hi rukega … soch lo jo bhi karna hai aur mujhe bhi bata do … jaisa bologe karungi …
Meera ne Viraat ko manaya … aur apne Viraat ki har baat maan li Meera ne par baat dono hi ki apni apni jagah sahi thi … khair thodi der aur baahon me baahein dale baithe rahe dono uske baad chal diye wapas ghar ki ore …
Viraat ke chehre par dukh kam ho gaya tha par Meera ka chehra yathawat gamgeen tha kyu ki usko achhi tarah pata tha apni maa ka nature … unko to paise aur vaibhaw ke aage kuchh bhi nahi dikhta tha .… Meera ko pata tha ki jab unko Meera aur Viraat ke rishte ki bhanak bhi lagegi usi wakt uske ghar me jaljala aa jayega … Maa bardaasht nahi kar payegi aur har sambhaw koshish karegi Meera aur Viraat ko alag karne ki … Khair Viraat ne Meera ko ghar se thoda door utara aur uske auto me baithte tak dekhta raha …
15 saal purana rishta tha uska Meera ke sath … pahle dosti huyi thi aur kab dosti jindgi ki jarurat bann gayi pata hi nahi pada usko … Viraat achhi tarah janta tha ki Meera ki maa use jarra bhi pasand nahi karti thi par kya kare pyaar to pyaar hai … ho hi gaya …
Meera ghar pahunchi to uski maa baahar hi baithi thi … Meera ko darr lagne laga ki kahi unko pata to nahi lag gaya par yahan to maanjra kuchh aur hi tha … Maa papa se Durga pooja ke dauraan hi sagayi karwaane ki baat kar rahi par papa sahmat nahi thi … Meera dhadkane badh gayi … itni jald baji karegi maa Meera ne to socha bhi nahi tha … Meera jab apne kamre me pahunchi tab tak Viraat bhi apne ghar aa chuka tha aur ghar ke bahar bane chhote se garden me Timmi ke sath khel raha tha … Meera ke chehre par bhi feeki si muskan aa gayi par usne sagai wali baat Viraat se chhipa kar hi rakhne ka faisla kiya …
Viraat jab apne ghar pahuncha to uski badi bahan khyati ne seedhe sawaal daga …
Khyati — Viraat kab se chal raha hai ye sab ? Kaun thi wo ladki jise tu apne bike par bitha kar tahla raha tha … clg ke bahane ye sab kab se chal raha hai … aane de papa ko mai sab batati hoon unse aakhir tu padhai ke bahane kya gul khila raha hai …
Viraat use samjhane ke liye aage badha hi tha ki uske najar maa par paddh gayi jo awaak khadi Viraat ko dekh rahi thi…
