Diya bolte bolte achanak se khamosh hokar Meeru ko dekhne lagi kyu ki use achanak Meeru ki aankhein chadhti huyi si dikhi thi par jab tak Diya kuchh bol pati Meeru besudh ho kar farsh par gir padi … sabhi Meeru ko uthane daude par Sahil ne sabko mana kar diya aur Ishu ki help se Meera ko utha kar sofe par lita diya … Meera j b sab dekh rahi thi … wo bhag kar paani le aayi … sabhi stabth khade kabhi Sahil ka aansuon se bheega chehra to kabhi besudh padi Meera ko dekh rahe the … Sahil apni nani ko gusse me lagataar ghoor raha tha …
Ishu ne Meeru ke face par paani ke chheente mare ho Meeru ne hadbada kar aankhein khol li … uske maathe par paseene ki boonde chamak uthi thi … sabhi ko yun khud ko ghoorta dekh wo palke jhuka kar boli …
Meeru — sorry wo thoda sa chakkar aa gaya tha …
Koi kuchh bolta usse pahle hi Sahil rundhe gale se bol pada
Sahil — Aap kyu sorry mom … chakkar aap ko aaya giri aap phir bhi sorry aap kyu bol rahi hain … nuksaan aap ka hota hai aur sorry bhi aap hi bolti hain … abb hadd ho gayi mom …
Sahil bachon ki tarah bilakh kar bola to sabhi ki aankhein bhar aayi khas kar Meera j ki jo Sahil ko rota dekh apne papa ke peechhe chhip kar Sahil ko dekh rahi thi …
Meeru — Sahil …
Meeru ki kamjor ruaansi aawaaj aaj Sahil ki awaaj ko nahi daba payi …
Sahil — i am sorry mom mai aap ka khayaal nahi rakh paya … yahan jitne bhi log maujood hain unko mai sorry bolta hoon kyu ki Meera ek ladki hote huye apne papa ke liye iss hadd tak jane ko taiyaar hai aur ek sala mai hoon ladkon ke naam par kalank jisne jabse hosh samhala hai apni maa ko sorry bolte huye hi paya hai aur wo bhi be wajah lekin mai nakara sirf apna bhala hi sochta rah gaya … kabhi nahi samjh paya ki meri maa kaise dil me itne jakham lekar muskurati huyi mujhe paal rahi hai … mai paapi hoon mom please mujhe maaf kar do …
Sahil Meeru ki godd me muhh chhipa kar bilkh utha to wahi Meera j apne papa ki peeth par sir tika kar rone lagi … kya karti majboor thi pyaar jo karti thi Sahil se …
Ishu — bhaiya please kisi ko nahi samjh aayega ki mami ne kya bugta hai … koi fayeda nahi inn pathar dil logon se bolne ka … chalo yahan se …
Sahil — nahi Ishu aaj to mai bolunga kyu ki agar mai aaj nahi bola to sabhi meri maa ko doshi mante rahenge aur abb ye paap mujhe bardaasht nahi hoga … to Meera shuruaat tumse karta hoon … tumhare papa ke saath jo hua bhagwaan naa kare kisi dushman ke bhi sath ho par tumko meri maa kyu doshi lagti hai… agar maa doshi hai to duniya ki tamaam ladkiyan doshi hain yahan tak ki tum bhi … tumne bhi to wahi kiya naa mere sath … mai 14 feb ko sara din raat raat bina kuchh khaye – piye wahi sadak par apne pyaar ke bharose baitha raha tha… anginat calls kiye … kitte din tumko khojta raha … maan lo agar mai khuchh kar baithta apni jindgi ke saath to ??
Meera ham aise samaaj me rahte hain jiski soch kuchh aisi hai ki jab ghar me ek ladki paida hoti hai to uske dimaag me daal diya jata hai ki uske ” ek haath me chandan aur doosre haath me kalikh hai ” … isi soch ke sath wo ladki badi hoti hai … sabhi apne faisle sunate hain jabki ladki apne faisle par apno ke hami ki mohar ke liye minnate karti hai … apne pairon par khadi hone ke liye wo sirf samaj se hi nahi apne ghar walo se bhi sangharsh karti hai … abb batao Meera Viraat singh kahan galat hai meri maa … tum apne pita ke liye ye sab karo to tum pita ki jaan bacha rahi ho aur meri maa ne kiya tha to wo galat kaise ho gayi batao mujhe … kya dosh hai meri maa ka agar wo abhagi apne maa baap ke dwara hi chhali gayi to ?
Meera — Sahil mai tumhare pariwar ke niji mamlo ke baare me nahi janti thi par mere papa ke saath bura hua to mai bolungi hi naa isse agar tumhare pariwaar ki niji bhawnayein ahat huyi hain to mujhe khed hai …
Meera j ne sir jhuka kar kaha …
Sahil — bas apne jaisa insaan meri maa ko bhi samajh lo itni kripa karo … aur Diya aunti apko ye shikayat hai meri maa se ki unhone palat kar kabhi kyu nahi dekha apke dost ko ki unki kya halat hai ??
Diya — hmmm … par beta iska jawaab tumhari maa hi de to jyada achha hai …
Sahil — best friend thi naa aap unki aur itna bhi nahi yaad hai aapko ki aapki Meeru aaj tak khud ke liye nahi lad payi hai … wo sirf aapse sorry bol sakti hain par apne naseeb ki vidambna kabhi nahi kah sakti hain …
Diya — Sahil kya bol rahe ho beta …
Sahil — Diya aaunti ek sawaal poonchhu ?
Diya — hmm …
Sahil — aap meri maa ki bhi dost thi ??
Diya — haan …
Sahil — to aapne sirf Viraat sir ki hi dosti kyu nibhayi ? Meri maa ko kyu bhool gayi … agar aap bachpan ki dost thi to aapko itna to pata hi hona chahiye tha naa ki apni badkismti par meri maa to roj marti rahi hogi … kya aapne janne ki koshish ki Meeru jinda bhi hai ya …
Diya — k … kahna kya chahte ho tum ??
Diya thoda tej swar me boli …
Sahil — yahi ki jo pratadna Viraat sir ne ek baar me jhel li meri maa kishton me uss sharirik aur mansik pratadna ko 30 saalo se jhel rahi hai … saas ki nafarat aur jalan ne maa ki kami nahi mahsoos hone di aur yahan bhi laalchi aur kamjarf sasur ne pita ka pahle wala ohda kayam rakha … din raat kaam kar ke bhi ek boond sneh pati se bhi nahi mila unko haan hafte me ek baar do char thappad jarur mil jate the aur karan naa hota tha naa meri maa ne aaj tak poonchha … haan bua batati thi ki mom ki khamoshi unki dushman ban gayi hai …
Diya — M…Meeru …
Diya Meeru ke gale lag kar fafak padi wahi haal Meeru ka tha par Meeru ki dard bhari aankhein abb bhi apni maa ka chehra padh rahi thi …
Sahil — Viraat sir aap ki kya shikayat hai maa se meri … please bataiye mai aapko sare jawaab deta hoon …
Viraat — mujhe Meeru se kabhi koi shikayat nahi thi Sahil … mere liye kuchh bhi nahi badla hai naa uska sthan naa uski muhobbat … mujhe usse koi shikayat nahi hai …
Viraat ne apni bitiya ko apne kaleje se laga Sahil aur uski maa ki taraf peeth kar li thi kyu ki use pata tha uska rona meeru se bardaasht nahi hoga par kaise chhipta Meeru se …
Meeru — Viraat s…sorry , ho sake to mujhe maaf kar do … aaj Ishu ne mujhe call karke naa bulaya hota to shayad mai ye baat tumse kabhi nahi kah pati … Viraat maine apne bhavishya ki jagah apno ka bhavishya chuna … meri jagah koi bhi ladki hoti to shayad yahi karti Viraat … mere saath chhal kiya mere maa baap ne meri aatma ki hatya ki hai unn logon ne … mere vishwas ka anadar kiya hai … Viraat mujhe shadi ke baad bhi aisi hi duniya mili … mujhe mara peeta bhi gaya par kya karti mere naseeb ke kagaj par ye bhagya to mere maa baap ne likha tha kalikh se …
Meeru ne aage badh kar Viraat ki hatheli par maatha rakh diya tha …
Viraat — Ro mat Meeru mai janta hoon tumhare sath problem thi isliye tumne khud ko mujhse chheen liya tha par mere saath koi problem nahi thi to mai kaise tumhari jagah kisi aur ko deta … tumhe nahi yaad haad hai par mujhe yaad hai ki tumne mujhe pahli aur akhiri baar kuchh maanga tha to sirf yahi ki chahe jo ho jaaye “Jeena sirf mere liye “…aur mai aaj tak ye wada nibha raha hoon aur aakhiri saana tak nibhaunga…
abb kya kahne sunne ko rah gaya tha … Nani se baat karne se sabhi ne saaf inkaar kar diya tha .… wo akeli ghar chali gayi jabki Diya Meeru ko apne sath apne ghar jo Viraat ke pados me tha le gayi … Monty , Ishu aur Sahil Meera j ko dekh rahe the jab ki Meera j Viraat ka chehra padhne ki koshish kar rahi thi… unn charon ko aise dekh Viraat khilkhila kar has diya aur Meera j ka haath chhod apne kamre ki ore badh gaya …

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.