Reading Mode

FLASH BACK

Diya — Rudra ye kya bol rahe ho ?

 

Rudra — bilkul sahi bol raha hoon mai aur sirf yahi ek rasta hai … kai Dr se poonchh kar tab ye rasta nikala hai …

 

Diya — par ye galat hai , dhoka hai uske saath … mai ye nahi kar saki …

 

Rudra — ohh really ?? Baki to sab jaise sahi hi ho raha hai naa uske saath ?

 

 

Diya — are duniya ne anyaay kiya to kya ham usme bhi apne yogdaan denge ?? Pagal to nahi ho gaye ho aap ? Mai use jhooth nahi bol sakti bas…

 

 

Rudra — mujhe use theek karna hai aur mere paas only yahi option hai … isse better koi option ho to bolo …

Rudra ke iss sawaal se Diya ki bolti band ho gayi thi … kya bolti wo kar diya usne bhi Anmane mann se haan …

 

Diya — ok karna kya hai boliye …

 

Rudra — jaisa jaisa mai bolu bas karti jaao …

Wakai Rudra ne achha khasa home work kar rakha tha … thodi mehnat aur thoda wakt jarur laga par jab Rudra ne Diya ko Meeru ka getup karwaya aur door se usi ki Video bana kar use dikhai to diya bhi hairaan thi … hubahu Meeru lag rahi thi wo …

 

dosto waise to Diya aur Meera dono bilkul alag insaan hain par Meera ko copy karne me Diya ko jyada mushkil nahi huyi kyu ki dono ka bachpan ka saath tha … ek doosre ki aadton aur adaaon se dono hi bhali bhanti parichit thi… abb plan par kaam shuru hua …

 

Rudra — abb tumko theek waise hi karna hai jaise mai kahoon bas ye yaad rakhna ki uski taraf apni peeth hi rakhna kyu ki bada sacha ashiq hai parchhai bhi pahchan lega …

 

 

Diya — Ek baar aur soch lo , mujhe ye sab theek nahi lag raha hai Rudra …

 

Rudra — I am a Dr sweet heart , you can trust on me … mai jo kar raha hoon soch samjh kar apne seniors se salaah lekar Viraat ke bhale ke liye kar raha hoon …

 

Diya — par ye jhoot aur Dhooka hai ? Uski bhawnaaon se khilwaad hai…

Diya ro padi wo apna darr daba ni paa rahi thi…

 

Rudra — ye dhoka nahi mano vaigyanik tareeke se rog ka upchaar hai aur tumne to suna hi hoga ” jis jhooth se kisi ka ghar basta hai use jhoot nahi kahte hain “…

Diya abb poori tareeke se raji ho gayi thi waise koi option bhi nahi tha uske paas … abb dheere dheere roj Viraat ko Meera ki jhalak dikhai jati … no doubt Rudra ka plan kaamyaab ho gaya tha … jab Diya Meeru banti to Rudra aas paas hi hota … usi wakt dawa , injection aur exercise wagira sab karwa leta tha … Viraat bhi Rudra ki baat manta tha kyu ki Rudra ne bol rakha tha ki agar nahi karoge to Meeru chali jayegi Pyaar cheez hi aisi hoti hai , jis pyaar ne bigaada tha Viraat ko wahi bana bhi raha tha …

 

Ek shaam Rudra ki chook se Diya ko Meeru samajh Viraat ne apne baahon me bhar liya … Diya ke kato to khoon nahi par Rudra gaur se Viraar ki baatein sunne ki koshish kar raha tha … Viraat aspshth lahje me Meeru ko wapas aane ke liye bol raha tha … achanak Viraat ne Diya ko choomna shuru kar diya … Diya apne dono haathon se apna chehra chhipaye huye thi par wo Viraat ko rok nahi rahi thi … Rudra bhi chup chap khada tha , usne bhi ek bhi baar Viraat ko nahi roka … lekin Diya ek ladki thi Viraat bhale kamjor ho gaya tha par Diya ki takat se abb wo jyada majboot tha … usne jabarjasti Diya ke chehre se uske haath ko hataya … aage wo hua jiska Diya ko darr tha … Viraat ye aghaat jhel nahi paya aur besudh hokar jameen par ludhak gaya …

jab hosh aaya to Viraat ne Diya se muh fer liya … Diya ke dukh ka thikana nahi tha … Rudra bhi bahut pareshan tha …

Diya — sorry Viraat …

 

Viraat — meri kismat ka kasoor hai tum mat aansu bahao mere liye …

Viraat Diya se dukhi tha par naraaj nahi …

 

Diya — Viraat mujhe please galat mat samjhna mai buri nahi hoon …

 

Viraat — Diya naa tu buri hai naa wo thi … sara dosh mere naseeb ka hai … tu darr mat mujhe papa ne sab bata diya hai … unhone tum dono ki baat sun li thi… Diya tum aur Rudra mujh abhage ke wajah se apni jindgi mat barbaad karo … tum dono apni jindgi me aage badh jao … kal mai di aur papa ke sath wapas jaa raha hoon …

 

Rudra — koi kahi nahi jayega … tu mera chhota bhai hai aur hamwsha mere sath rahega …

 

Viraat — aur kitne upkaar karoge tum dono mujh par … mujhe jindgi de di … mai khaunga dawa … koi jidd nahi karuna … tum dono daro mat…

aaj Viraat hadd se jyada toota hara aur pahle se bhi jyada dukhi lag tha … aakhir ummid ki ek kiran jo chamak kar bujh gayi thi … Rudra Viraat ko yahan se bhej kar uske ilaaj ko adhoora chhodne ka paksh dhar bilkul nahi tha …

Doston achhe Dr ki yahi khas baat hoti hai ki wo har case ko apne target ke roop me dekhta hai aur har sambhav koshish karta hai use hasil karne ki …

 

Rudra — theek hai jaa raha hai to jaa par apni dost bhi le jaa … tu meri baat nahi manega to mai isse shadi hi nahi karunga … abb tere upar hai sab kuchh …

Yahi fas gaya Viraat … Kaise karta inkaar manna hi pada Rudra ki baat ko … sade samaroh me wahi hospital ke mandir me Diya aur Rudra ne shadi kar li … kisi ko nahi pata tha ki bhavishya ke garbh me Viraat ki kismat ne nanhi angdaiyan leni shuru bhi kar di thi …

Please complete the required fields.