Viraat aur Atul ne takreeban 30 min Viraat ke car me hi Nikhil ke phone ko khangalne ka kaam kiya … Dono ke chehre behad sanjeeda najar aa rahe the aasani se andaja lagaya jaa sakta tha mauke ki gambeerta ko … Uske baad Atul wapas apne kaam par lag gaya jabki Viraat thodi der tak car me baithne ke baad wapas chal diya Sahil ki taraf…
Sahil abb bhi ICU ke samne hi sir haathon me thame baitha tha … Viraat ko dekh kar Sahil teji se Viraat ke paas aa gaya jaise use bahut bharosa ho Viraat par … Viraat ne Sahil ko Nikhil ka phone lauta diya … abhi Viraat aur Sahil baat kar hi rahe the ki Nikhil ke ek dost ke sath Meera ki maa bhi waiting room se icu ke samne aa pahunchi… Viraat unki taraf dekh kar behadd buri tarah chaunk gaya …
Sakshat Viraat ko apne samne dekh kar Meera ki maa baukhla si gayi … unke chere ko dekh kar lag raha tha jaise Unhone bhoot dekh liya ho ya koi asambhaw baat ho gayi ho … unko jarra bhi samay nahi laga Viraat tak pahunchne me … wo teji se aakar Viraat ke samne khadi ho gayi … Sahil apni nani ko Viraat ke baare me batana hi chahta tha par unhone use Meera ke paas jane ko kaha .… Sahil iPhone thame chala bhi gaya … Sahil ke jate hi Meera ki maa ne Viraat par jabaani hamla kiya …
Meera ki maa — tum ?
Viraat — haan mai… kyu apko kya laga mai marr gaya hoon naa ?
Meera ki maa — B…bakwas mat karo aur ye batai tum yahan kya kar rahe ho ? Kahi ye sab tumhara hi to kiya dhara nahi hai ?
Meera ki maa ke sawaal par Viraat baukhlaye bina nahi rah saka …
Viraat — Meera kahan hai ? Use bulaiye usi ke samne batata hoon ki mai yahan kyu hoon ?
Meera ki maa — kyu uski jindgi ke peechhe padd gaye ho … chale jao yahan se ? Samjhte kyu nahi ho ?
Viraat — Mera chhodiye aap samjhne ki koshish kijiye … aap ko iss wakt uske paas hona chahiye … uski jaan bhi khatre me hai… aur uske bete ki bhi …
Meera ki maa — tumhari salaah ki jarurat nahi hai yahan kisi ko …
bahas jaari thi … Atul bhi Achanak wahi aa pahuncha … usne bhi chaunk kar poonchha Meera ji kahan hain… lekin Meera ki maa ne ulte Viraat par hi thop diya sab ye bhi bol diya ” mujhe inn par shaq hai … ” lekin Atul ko unki baat me koi khas dilchaspi nahi thi … wo icu ki taraf badh gaya Lekin tabhi Sahil tej kadmo se aaya aur Usne bataya iPhone gayab hai … Atul behad buri tarah chaunk gaya par Viraat ke chehre par kutil muskan aa gayi …
Apne chehre par arth purn muskan ke sath Viraat bahar ki ore kadam badhane hi wala tha ki achanak kisi ne peechhe aakar uske bajuon ko haule se chhua … jaane kya tha iss chhuwan me bin peechhe palte hi Viraat ki aankhei bhar uthi aur dhadkano ki raftaar itni badh gayi jaise seena faad kar dil baahar aa jayega … usne apni aankhein joron se meech li jaise uski aankhe sahh nahi payengi aane wale ke chehre ko …
Ek lamhe mein simat aaya hai sadiyon ka safar
Zindagi tej bahut tej chali ho jaise
Is tarah pehron tujhe sochta rehta hoon main
Meri har saas tere naam likhi ho jaise
Koyi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise
Tune aankhon se koyi baat kahi ho jaise
Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise
Jaan baaki baaki hai magar saas ruki ho jaise

