Hospital le jakar Viraat ne uss aadmi ko aanan faanan me admit karaya … ek aur jhatka laga jab Dr ne bataya ki uss sakhs ko to goli lagi huyi hai turant surgery karni padegi and most imp thing ki ye police case tha … khair Viraat ki pahchan police mahkme me achhi khasi thi usne Ins. Atul kumar ko call kar ke sari ghatna ki jankari de dali … Atul ne hi Dr se baat karke surgery karne ko bola kyu ki abhi to waise bhi sakhs jyada khoon bah jane ki wajah se behosh tha … Bayan hosh me ane ke baad hi liya jaa sakta tha …
ghayal sakhs ka Blood group rare tha … Dr ne Virat ko uss sakhs ki family ko call karne ko kaha kyu ki iss group ke blood ki kami thi blood banks me … Viraat ne uss sakhs ke cell se ” home ” naam se saved no par apne no se call kiya … uss side se kisi aurat ne call li … uski awaaj sun kar ek baargi to Viraat chakra gaya … uss awaaj ko dobara , teebara sunne ke liye Viraat jaan boojh kar khamosh raha … poore badan me kampkapi chootne lagi Viraat ke … paseene se naha utha uska sara shareer … yahan tak ki deewal ka sahara lekar khada hona pada kyu ki pairon me khade hone ki taqat hi ni bachi thi … awaaj ko doosri baar sunte hi uski Meeru ka haseen chehra naach gaya tha aankhon me … kitni thahri huyi awaaj lag rahi thi uski …
Viraat ke seene me ek hook si uthi aur mann aaj ki Meeru ko dekhne ke liye tadap utha … pal bhar me hi uske dil ne usse kaha ” Kaisi dikhti hogi abb wo … kya Uske baalon ne bhi chandi aa gayi hogi … i m sure usko chashma lag gaya hoga itna roti jo thi … kaisi dikhti hogi wo sadi me … kya use mera bhi khayal aata hoga … kya meri Meeru mujhe yaad karti hogi … ”
Viraat ke cell phone par ati call ne uska dhyan apni ore kheencha … ye wahi no tha jisne thodi der pahle bina mange hi Viraat ko bahut kuchh de diya tha … call le li Viraat ne par isse pahle wo kuchh bolta doosri side se koi male voice ubhri … Viraat ne ek saans me sari ghatna kah dali bina ruke … hospital ka naam bhi bata diya … lage haatho Viraat ne apne ghar bhi msg drop kar diya ” beta mujhe aaj late hoga bahut jaruri kaam me uljha hoon … kya pata raat me aau yaa nahi …tum apni mom ke ghar jakar kuchh kha lena aur wahi ruk jana … mai aate wakt tumko sath launga … ”
Viraat wahi kone me Pade sofe par baith gaya , Atul ne aakar kagji karyawahi kar li thi … use abb ghayal sakhs yani Nikhil ke surjery khatm hone ka intejaar tha … security dekh ye to pata chal gaya tha Viraat ko ki kuchh to locha hai … khair kareeb 25 min ke andar Viraat ki aankhon ke samne wo najara tha jisko dekhne ke liye wo yayan baitha tha … Meera apne bete aur maa- baap ke saath aa chuki thi … abb bhi rona muhh bana hua tha ghabrahat me chehra abb bhi laal hota tha uska …
Viraat ki duniya ek baar phir ghoom gayi … neele rang ki sadi me Meera aaj bhi behad haseen lag rahi thi … uski sundarta par umra ne kuchh khas asar nahi dala tha … sada pan abb bhi uske roop ko sawaar raha tha … Meera ke sath aaya hua ladka Atul se baat kar raha tha … Usme Meera ki parchhai ko dekh bhamp gaya Viraat ki ye Meera ka beta hai … Meera apne maa baap ke sath Dr ke cabin side chali gayi par wo ladka Atul ke sath Viraat ke paas aaya aur apne pita ki sahayata karne ke liye Viraat ka shukriya ada kiya … abb Viraat ke paas wahan rukne ke liye kuchh bhi nshi tha… bhari kadmo se wo ghar chal diya …
Jo Na Hona Tha, Woh Mujhey Hona Pada
Aaj Kho Kar Tujhey Jinda Rehna Pada
Waqt Se Jo Mila Mujhey Woh Zakhm
Seena Pada, Seena Pada, Seena Pada
Fhir Kahin Sahar Mein
Chhotaa Sa Ghar Bana Loongaa
Tu Sajaataa Us Tarah
Main Sajaa Longaa
Fhir Naye Rangon Se
Rang Loonga Uski Deewarein
Fhir Naye Khawaab Bbhi
Gamlon Mein Main Lagaa Loongaa
Tere Gham Ka Zahar,
Yun Bhi Peena Pada
Aaj Kho Kar Tujhey
Jinda Rehna Pada
Waqt Se Jo Mila Mujhey Woh Zakhm
Seena Pada, Seena Pada, Seena Pada

