Monty ki baat sun Sahil hasne laga … Par Monty ko badi gussa aayi … wo muhh bana kar bola…
Monty — abe has kyu raha hai bey aakhir chal kya raha hai tere dimag me ? Jab sab haste hai to matam chhaya rahta hai tere thobde par aur jab sab chup rahte hain to bina baat teri hasi ke fawware chhot jate hain…
Monty ne khisiya Kar kaha …
Sahil — Yaar tu aise bata raha hai ki jaise trusty sahab naa ho gaye koi top hon … trusty ki beti hai to kya hua pyaar to abb ho hi gaya … abb age kya karna hai ye bol …
Sahil aur Monty baat kar hi rahe the ki samne se Meera aate dikhi wo bhi paidal … apni cute si sports dress me ek baar phir Sahil par bijli ban kar gir gayi … Uski bechare najar wapas Meera ke suhane roop par atak gayi lekin Monty ne bade asmanjas bhari awaaj me Sahil se poonchha …
Monty — abe trusty ki beti hai phir bhi paidal hai … soch iska baap kitna bada atyachari hoga jo phool si beti ko 11 no ki gadi pakda di … wakai yaar Ye budhau log pata ni kis baat ka badla lete hain ham bacho se …
Monty ne sir peet te huye kaha …
Sahil — mere wale jaisa ??
Sahil ne ye baat kahi to bahut dheere thi par awaaj me dard koot koot kar bara tha … Sahil dheeme kadmo se Meera ke peechhe chal raha tha …
Monty — bhai yaa to tu bhi uske peechhe ground jaa nahi to mere sath class me chal … yahan notice bord ke jaise chipka to naa rah … khuda na khasta usne notice kar liya to maa kasam jamm kar pitwa degi …
Monty ne muhh banate huye kaha …
Sahil — chal ground me chalte hain …
Sahil ki har baat Monty ko tagda jhatka de rahi thi …
Monty — tu sach me pagla gaya hai kya yaa to wakai tere sar par ishq sawaar ho gaya hai … ?? Pichhle char saal to tujhe ye rasta bogus lagta tha par abhi kya ho gaya …
Sahil — murkh tha mai jaan hi nahi paya ki manjil isi raste par chal kar milegi …
Sahil seedha basket ball court me Meera ke pas pahunch gaya aur dosti ka haath aage badhate huye bola …
Sahil — hi … pahchana… ham kal mile the…
Meera– ji mile nahi gire the … abb kya aap mujhe yahan bhi girane aaye ho ?
Meera ne fullon attitude me reply kiya …
Sahil — nahi mai bhi yahan footbaal kelne aaya hoon …
Meera — ohh rally aap basket ball court me football kheloge …
Meera ne aankhein ghumate huye kaha to Sahil muskura kar chal diya court ki ore … Monty bhi Meera se bachte huye court ki ore chal diya…
Monty — mujhe bhi jane do … ye ban sakta hai to mai kyu footballer ni ban sakta hoon…
Meera — tum to footbaal , basket ball sab ban sakte ho lekin footballer nahi … huh
Meera bhi chal di apni practice ke liye … Sahil ka roj ka niyam ban chuka tha … jaldi ata tha Basketball ke bahane Meera Ko dekhna aur sari takat ikattha karna apne dil ki baat kahne ke liye jo Meera ki ek awaaj sun ke hi fuss ho jati thi…
Doosri taraf ghar par Nikhil ke jaate hi Meera ki maa uske paas pahunch gayi… Meera bed par sir thame baithi aansu baha rahi thi … Meera ki ye haalat shayad aaj pahli baar uski maa gaur se dekh rahi thi … Unki aankhein bhar uthi … kabhi vaibhaw ke ghamand se labrej rahne wali aankhon me aaj aulaad ka dard aur uske liye mamta umad ghumad rahi thi … jab Maa ne Meera ke kandhe par haath rakha to pahle to Meera chaunk gayi… lekin apni maa ko dekh uska chehra aur bhi jyada bujh gaya …
Meera — kuchh chahiye tha aapko yaa meri haalat par koi sujhaw dene aayi hain aap ?
50 saal ki hone wali thi Meera lekin ye lines bolte huye kisi ashasy aur chhale huye bache ki bhanti aankhon me moti chhalak uthe aur atishay dard aur apmaan mahsoos kar honth fadfada uthe … Batane ki jarurat nahi hai Maa ka kya haal hua hoga yah drishya dekh kar …
Maa — Mujhe maaf kar de meri bachi … mujhse bahut badi bhool ho gayi … aisa ho jayega maine kabhi socha bhi nahi tha … mujhse paap ho gaya meri lado kabhi nahi socha tha khud apni pari beti ke pankh noch kar use pinjre me feink rahi hoon… badi abhagi hai tu jo meri kokh ko tarne aayi…
Maa ne sari bhadaas udel di aur Meera ko khud me sametne aage badhi to Meera ne unka haath jhatak diya aur rundhe gale se boli…
Meera — please aap yahan se chali jaiye mai theek hoon mujhe kisi ke sahanubhooti ki jarurat nahi hai … 30 saal nikal gaye hain abb kuchh bhi nahi bacha hai naa kisi se pyaar ki ummeed na jeene ki chhah … jitna naseeb me tha wo mil gaya … abb aap koi naya bakheda naa kariye meri jaan ka…
Meera ka bhi sabra toot gaya … aaj theek usi tarah ro rahi hai jis tarah apni vidaai me ro rahi thi … Maa ne use jabaran apne seene se laga liya aur apne haathon se uska sir sahlane lagi …
Maa — meri wajah se tujhe ye narak bhugtna pad raha hai beta … mar bhi nahi paungi abb to mai … bahut badi papi hoon mai …
Meera ke maathe ko choomte huye maa ne kaha to Meera masoom bache ki tarah aankhon me hajjar hajjar shikayatein bhar kar use dekhne lagi …
Meera — apne aap ko dosh dene ki jarurat nahi hai maa … bhagya se jyada kisi ko kuchh nahi milta hai… mera bhagya hi foota hua tha … aap to bahan maatra thi Shayad mai yahi bhogne yahan aayi thi… par abb bardasht nahi hota hai maa … abb thak gayi hoon… Sahil bhi bada ho gaya hai … abb to dua hai ye behaya saanse tham jaayein jo har sharmindgi ke bawjood jinda hain…
Meera ne aaj 30 saal baad maa ko dil se maa pukara tha … apni maa ki god me sir rakh wo apne liye maut ki dua maang rahi thi … aur maa papne kaampte boodhe haanthon se use ji bhar kar pyaar kar rahi thi jaise use darr ho ki uska bacha phir usse door naa chala jaye …
Meera ne aaj 30 saal baad maa ko dil se maa pukara tha … apni maa ki god me sir rakh wo apne liye maut ki dua maang rahi thi … aur maa papne kaampte boodhe haanthon se use ji bhar kar pyaar kar rahi thi jaise use darr ho ki uska bacha phir usse door naa chala jaye …
Maa– tujh jaisi beti pakar dhanya hone ki jagah mai papi ho gai Meeru … kisi ki nahi suni kabhi maine par yakeen kar Meeru mujhe sirf tera bhala dikh raha tha … samne ka najara bahut chamkeela tha … bhool gayi ki har chamk sone ki nahi hoti hai…
Maa ne khol hi diya dil aur Meera ko bata diya ki aaj ahsaas ho gaya ki wo galat thi …
Meera — mera bhala … ye kaisa bhala kiya maa apne mera … dojakh jaisi jindgi diya hai aapne mujhe … meri shadi karne se pahle aapne sirf unn logon ki daulat dekhi … kaash kabhi jakar unka vyawhaar yaa unke andar ki insaniyat dekhti maa … ek jaanwar se badtar rakha gaya mujhe wahan … din raat khatne par bhi mere pati ke kaan bharne ke siva kuchh nahi karti thi meri saas … Nikhil bhi kab tak baatein samhalta wo bhi ho gaya apni maa jaisa … aur to aur aap logo ko bhi galiyan deti thi apki ghatiya parwarish ke liye …
Meera itne dino baad abb kahi jaakar shikaytein karna shuru ki thi …
Maa — beta tune kabhi batata kyu nahi mujhse …
Meera — kisse batati maa … batati to aap manti kya ?? Jab aapke ghar thi tab to apne mere dukh ko apna samjh hi nahi tha to doosre ke ghar ki bahu banne ke baad kya khak samjhti …
Meera ne sateek shabd do boond aansu ke sath daag diye …
Maa — Beta apni saheli ke bete se shadi karwa kar to mai yahi soch rahi thi ki tujhe doosri maa de di hai maine … mai to ghamand se jhoomti rahti thi…
Maa ki awaaj dard se gali jaa rahi thi …
Meera — mujhe to meri pahli aur doosri dono maa ne jeene naa diya … Dono ne pal pal mujhe maut se badtar jindgi aur ghutan di hai khair janna chahti hain aapki saheli ne kya kiya tha to suniye maa aap bhi ki mai kaise mari hoon pal pal …

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.